"'azaab-e-dil se kabhi karb-e-jaan se guzregaa jo sach kahegaa gham-e-bekaraan se guzregaa abhi na band karo maqtalon ke darvaaze abhi ik aur masihaa yahaan se guzregaa chaman chaman mein khaDe hain khizaan ke pahre-daar julus-e-fasl-e-bahaaraan kahaan se guzregaa ye inqalaab kaa pahlu bhi kis ne sochaa thaa khizaan ke baa'd gulistaan khizaan se guzregaa koi bhi fitna ho yaaro kahin bhi barpaa ho hamaare shahr hamaare makaan se guzregaa maqaam-e-sud-o-ziyaan ho ki arz-e-daar-o-rasan guzarne vaalaa har ik imtihaan se guzregaa ravish ravish pe sajaa do gulon ki qindilein ki aaj jaan-e-chaman gulsitaan se guzregaa jabin-e-vaqt ke tevar bataa rahe hain 'aziz' ki fard-fard abhi imtihaan se guzregaa"
nihaan the phuul nazar se sharaar saamne thaa — Azeez Baghravi
"nihaan the phuul nazar se sharaar saamne thaa bahaar thi ki 'azaab-e-bahaar saamne thaa khaDe the ahl-e-nazar gardanein jhukaae hue tiraa taraashaa huaa shaahkaar saamne thaa khizaan ba-zid thi kaho mausam-e-bahaar use libaas-e-ghuncha-o-gul taar-taar saamne thaa gharon mein ahl-e-nazar apne baiThte kyunkar hayaat-e-nau kaa dahaktaa chinaar saamne thaa uThaa ke saaghar-e-zahraab pi gae mai-kash hazaar shauq kaa anjaam-e-kaar saamne thaa havaa kuchh aisi chali gulsitaan mein ab ke baras lahu gulon ke ba-naam-e-bahaar saamne thaa milaa khulus na jab anjuman se uTh aae ki ahl-e-fikr-o-nazar kaa shi'aar saamne thaa nazar na aataa thaa chehra koi bhi saaf 'aziz' 'ajib vaqt kaa gard-o-ghubaar saamne thaa"
نہاں تھے پھول نظر سے شرار سامنے تھا بہار تھی کہ عذاب بہار سامنے تھا کھڑے تھے اہل نظر گردنیں جھکائے ہوئے ترا تراشا ہوا شاہکار سامنے تھا خزاں بضد تھی کہو موسم بہار اسے لباس غنچہ و گل تار تار سامنے تھا گھروں میں اہل نظر اپنے بیٹھتے کیوں کر حیات نو کا دہکتا چنار سامنے تھا اٹھا کے ساغر زہراب پی گئے مے کش ہزار شوق کا انجام کار سامنے تھا ہوا کچھ ایسی چلی گلستاں میں اب کے برس لہو گلوں کے بہ نام بہار سامنے تھا ملا خلوص نہ جب انجمن سے اٹھ آئے کہ اہل فکر و نظر کا شعار سامنے تھا نظر نہ آتا تھا چہرہ کوئی بھی صاف عزیزؔ عجیب وقت کا گرد و غبار سامنے تھا
निहाँ थे फूल नज़र से शरार सामने था बहार थी कि 'अज़ाब-ए-बहार सामने था खड़े थे अहल-ए-नज़र गर्दनें झुकाए हुए तिरा तराशा हुआ शाहकार सामने था ख़िज़ाँ ब-ज़िद थी कहो मौसम-ए-बहार उसे लिबास-ए-ग़ुंचा-ओ-गुल तार-तार सामने था घरों में अहल-ए-नज़र अपने बैठते क्यूँकर हयात-ए-नौ का दहकता चिनार सामने था उठा के साग़र-ए-ज़हराब पी गए मय-कश हज़ार शौक़ का अंजाम-ए-कार सामने था हवा कुछ ऐसी चली गुलसिताँ में अब के बरस लहू गुलों के ब-नाम-ए-बहार सामने था मिला ख़ुलूस न जब अंजुमन से उठ आए कि अहल-ए-फ़िक्र-ओ-नज़र का शि'आर सामने था नज़र न आता था चेहरा कोई भी साफ़ 'अज़ीज़' 'अजीब वक़्त का गर्द-ओ-ग़ुबार सामने था
More by Azeez Baghravi
View all →"khaar hai khaar na gul hai gul-e-tar ki surat andalibaan-e-chaman kyaa hai ye ghar ki surat nuur ke saamne jaltaa nahin zulmat kaa charaagh ‘arsa-e-shab mein tum aao to sahar ki surat faiz kyaa ham se uThaaegaa musaafir koi ham na divaar ki surat na shajar ki surat baaryaab-e-nigah-e-naaz koi hotaa hai ashk sab hote nahin laa'l-o-guhar ki surat hosh daaman kaa unhein hai na garebaan kaa khayaal kyaa se kyaa ho gai arbaab-e-nazar ki surat raaste band har ik moD pe rahzan hi sahi hausla ho to nikalti hai safar ki surat kal mire naqsh the is bazm-e-jahaan ki zinat aaj paDhte hain mujhe log khabar ki surat muztarib kyon hain andheron ke parastaar 'aziz' kyaa nazar aa gai qindil-e-sahar ki surat"
"hisaar-e-zaat mein koi simaT gayaa to kyaa huaa tamaam kaaenaat se vo kaT gayaa to kyaa huaa bahut se tishna-kaam-e-shauq surkh-ru to ho gae hamaaraa khuun doston mein baT gayaa to kyaa huaa abhi to moD moD par pahaaD hi pahaaD hain vo ek sang raaste se haT gayaa to kyaa huaa dilon mein ikhtilaaf ki khalij aur baDh gai ba-zor-e-tegh masala nipaT gayaa to kyaa huaa ghubaar nafraton kaa to dilon mein hai bharaa huaa fazaa se abr-e-kusht-o-khun chhaT gayaa to kyaa huaa zabaan kaa paas laazmi khudaa-parast ke liye zabaan se bul-havas koi palaT gayaa to kyaa huaa nazar-navaaz khil'atein to zindagi ko mil gaiin libaas-e-gard-gard ek phaT gayaa to kyaa huaa hazaaron sarfarosh hain kafan-badosh to abhi sar-e-'aziz-baghravi’ jo kaT gayaa to kyaa huaa"
"dil-o-nazar ke liye baais-e-qaraar jo thaa 'azaab-e-jaan hai vahi jaan-e-e'tibaar jo thaa kisi se ho na saki zakhm-e-dil ki bakhiya-gari har ek chaaraagar-e-dard khaam-kaar jo thaa fanaa ke baa'd bhi baaqi rahaa vujud miraa mire khulus mein rang-e-sadaabahaar jo thaa qabaa-darida the ghunche lahuluhaan the gul chaman mein ab ke baras mausam-e-bahaar jo thaa havaa-e-vaqt uDaa le gai kahaan us ko vo nakhvaton kaa falak-bos kohsaar jo thaa tabassumon ki naqaabon mein kaise chhup jaataa dilon kaa dard jabinon se aashkaar jo thaa sukun miltaa kahaan se dil-e-tabaah tujhe hamaaraa dushman-e-jaan apnaa gham-gusaar jo thaa zamaana gard-e-rifaaqat bhi us ki paa na sakaa libaas-e-faqr mein vo ek taajdaar jo thaa sar-e-'aziz' jhukaa bhi to sarfaraaz huaa ki tere 'ishq ki 'azmat kaa paasdaar jo thaa"
"kuchh ghaTaa di gai kuchh baDhaa di gai kyaa kahaani thi aur kyaa banaa di gai shahr kaa shahr hai aaj khanjar-ba-kaf kyaa mire sar ki qimat lagaa di gai tiir baaqi hain kyaa tarkashon mein abhi jo hamein zindagi ki du'aa di gai aashiyaanon ki barbaadiyon kaa sabab bijliyon ki sharaarat bataa di gai aap to un ke halqa-bagoshon mein the aap ko kis khataa ki sazaa di gai raushni ghar mein daakhil na ho is liye har dariche ki chilman giraa di gai munh se labbaik labbaik kahte hue jaan-nisaar aa gae jab sadaa di gai gham bhi duniyaa se baDh-chaDh ke ham ko mile sarfaraazi bhi sab se sivaa di gai bas isi par hai barham zamaana 'aziz' us ko tasvir us ki dikhaa di gai"
"sho’la-e-dard liye dida-e-tar mein aae chaaraagar aag lagaane mire ghar mein aae chand tinke hi sahi apne nasheman ki bisaat kuchh to hain jo nigah-e-barq-o-sharar mein aae ab jo phirte hain sukun DhunDte maqtal maqtal tujh se bhaage to tire daam-e-asar mein aae koi darvaaza na rauzan na daricha koi raushni aae to kis raah se ghar mein aae un ko manzil hi nahin 'azmat-e-manzil bhi mili le ke jo tosha-e-jaan raahguzar mein aae zakhm-e-dil mahke to un ko na mili daad koi phuul mahke to zamaane ki nazar mein aae ho tire fan mein 'aziz' us ke sukhan ki khushbu rang us kaa tire andaaz-e-hunar mein aae"
More on Gul
View all →"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"saanvli dhuup surmai mausam phir vahi ham hain phir vahi mausam khair ho saaebaan-e-gum-gashta jhelne paD gae kai mausam daastaan-e-tazaad hai goyaa shahr-e-khubaan samundari mausam ham ne apni bayaaz mein likkhe dil pe biite hue sabhi mausam ik ta'alluq hai 'aarzi yaa'ni mausam-e-gul hai 'aarzi mausam dil-figaaron ko kaun samjhaae lauTte kab hain makhmali mausam"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"