"is bazm mein meraa koi dam-saaz nahin hai shaahin huun magar taaqat-e-parvaaz nahin hai ai zauq-e-talab mujh ko tiri daad kaa shikva maanaa ki abhi tu miraa hamraaz nahin hai takmil-talab hai abhi ulfat kaa fasaana shokhi nahin vahshat nahin andaaz nahin hai jannat se chali aae agar huur to be-kaar vo naaz nahin us mein vo andaaz nahin hai hangaama-e-hasti mein huun 'armaan' main majbur ye teri sadaa hai miri aavaaz nahin hai"
paainda husn-o-zinat-e-baagh-e-jahaan nahin — Arman Rampuri
"paainda husn-o-zinat-e-baagh-e-jahaan nahin vo kaun si bahaar hai jis ko khizaan nahin vaaqif vo mere haal se main un ke haal se sharm-o-hayaa se guftugu go darmiyaan nahin us ki nigaah phirte hi sab ham se phir gae vo mehrbaan nahin to koi mehrbaan nahin ai baada-nosh piitaa hai khalvat mein chhup ke tu vo kaun si jagah hai bataa vo jahaan nahin ulfat kaa ye asar hai ki rag rag mein Tiis hai main kyaa bataaun dard kahaan hai kahaan nahin duniyaa ho bad-gumaan nahin is kaa gham mujhe ai dil hazaar shukr ki vo bad-gumaan nahin"
پایندہ حسن و زینت باغ جہاں نہیں وہ کون سی بہار ہے جس کو خزاں نہیں واقف وہ میرے حال سے میں ان کے حال سے شرم و حیا سے گفتگو گو درمیاں نہیں اس کی نگاہ پھرتے ہی سب ہم سے پھر گئے وہ مہرباں نہیں تو کوئی مہرباں نہیں اے بادہ نوش پیتا ہے خلوت میں چھپ کے تو وہ کون سی جگہ ہے بتا وہ جہاں نہیں الفت کا یہ اثر ہے کہ رگ رگ میں ٹیس ہے میں کیا بتاؤں درد کہاں ہے کہاں نہیں دنیا ہو بد گمان نہیں اس کا غم مجھے اے دل ہزار شکر کہ وہ بد گماں نہیں
पाइंदा हुस्न-ओ-ज़ीनत-ए-बाग़-ए-जहाँ नहीं वो कौन सी बहार है जिस को ख़िज़ाँ नहीं वाक़िफ़ वो मेरे हाल से मैं उन के हाल से शर्म-ओ-हया से गुफ़्तुगू गो दरमियाँ नहीं उस की निगाह फिरते ही सब हम से फिर गए वो मेहरबाँ नहीं तो कोई मेहरबाँ नहीं ऐ बादा-नोश पीता है ख़ल्वत में छुप के तू वो कौन सी जगह है बता वो जहाँ नहीं उल्फ़त का ये असर है कि रग रग में टीस है मैं क्या बताऊँ दर्द कहाँ है कहाँ नहीं दुनिया हो बद-गुमान नहीं इस का ग़म मुझे ऐ दिल हज़ार शुक्र कि वो बद-गुमाँ नहीं
More by Arman Rampuri
View all →"husn jab be-naqaab hotaa hai ishq khaana-kharaab hotaa hai kitne maasum dil jalaa Daale ik qayaamat shabaab hotaa hai ghair se baandhte ho ahd-e-vafaa ham se lekin hijaab hotaa hai main ne maanaa ki khvaab hai ulfat kitnaa shirin ye khvaab hotaa hai kis ki nazron se pi rahaa huun main kaun mast-e-sharaab hotaa hai jab lab-e-baam aap aate hain jalva-gar maahtaab hotaa hai aaina us ke ru-ba-ru ho to vo aap apnaa javaab hotaa hai"
"miri nigaah mein saaqi bhi hai sharaab bhi hai ki maahtaab bhi hai aur aaftaab bhi hai mujhi ko khanjar-e-qaatil ne intikhaab kiyaa miraa hi qatl gunah bhi hai aur savaab bhi hai khudaai bhar kaa jo hissa thaa de diyaa mujh ko mire ghamon kaa ilaahi koi hisaab bhi hai bhulaae baiThe hain 'armaan' nizaam-e-roz-o-shab miri nigaah mein gul-ru bhi hai naqaab bhi hai"
"tire naam se mujhe ishq hai tiraa kyaa nishaan hai khabar nahin hai khabar bhi gar to isi qadar tu kahaan nahin tu kidhar nahin kabhi jaa ke koh mein ghir gayaa kabhi jaa ke dasht basaa liyaa jise laa-makaan ki ho justuju kahin us kaa ghar nahin dar nahin gham-e-zindagi bhi luTaa diyaa zahe jis ne raah-e-firaaq mein jise apne tan kaa na hosh ho vo hai aur koi bashar nahin mujhe mast-e-jaam-e-sharaab kar na tu rukh ko zer-e-naqaab kar kise be-khudi mein ye hosh ho tiraa jalva shaam-o-sahar nahin koi dekhe 'armaan' ki bebasi hai ajiib haalat-e-be-kasi nahin zabt se koi faaeda kare aah to bhi asar nahin"
More on Dil
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"