SHAWORDS

pahle jhuTaa-sachchaa vaada kar legi — Gyanendra Vikram

"pahle jhuTaa-sachchaa vaada kar legi phir duniyaa chaahat kaa saudaa kar legi us ke bichhue pairon mein jab pahnungi meri paael tum se jhagDaa kar legi zikr hamaaraa mahfil mein karke dekho vo mahfil se khud ko tanhaa kar legi jannat kaa paT dhire dhire khultaa hai pahle to sharmaa kar pardaa kar legi"
Urdu

پہلے جھوٹا سچا وعدہ کر لے گی پھر دنیا چاہت کا سودا کر لے گی اس کے بچھوئے پیروں میں جب پہنوں گی میری پائل تم سے جھگڑا کر لے گی ذکر ہمارا محفل میں کرکے دیکھو وہ محفل سے خود کو تنہا کر لے گی جنت کا پٹ دھیرے دھیرے کھلتا ہے پہلے تو شرما کر پردا کر لے گی

Hindi

पहले झूटा-सच्चा वा'दा कर लेगी फिर दुनिया चाहत का सौदा कर लेगी उस के बिछुए पैरों में जब पहनूँगी मेरी पायल तुम से झगड़ा कर लेगी ज़िक्र हमारा महफ़िल में करके देखो वो महफ़िल से ख़ुद को तन्हा कर लेगी जन्नत का पट धीरे धीरे खुलता है पहले तो शर्मा कर पर्दा कर लेगी

pahle jhūTā-sachchā va.ada kar legī
Gyanendra Vikram
Gyanendra Vikram
Gyanendra Vikram
poet18 quotes

More by Gyanendra Vikram

View all →
Quote
"falak khaamosh hai baadal ghanere baat karte hain andheraa biit jaae to savere baat karte hain havaaein le hi jaati hain nae mausam ke panchhi ko parinde bhuul jaate hain basere baat karte hain fazaaon mein ubhar kar phir vahi tasvir banti hai khayaalon se lipaT kar jab chitere baat karte hain mire haq mein miri khaatir khamoshi chikh uThti hai mire kamre mein jab aksar andhere baat karte hain mohabbat mein divaane chaar pal mein khaak hote hain khudaayaa 'umr bhar ko saat phere baat karte hain"
Gyanendra VikramGyanendra Vikram
Quote
"vasl ke do-chaar lamhe roz gin-gin dekhnaa rah gayaa thaa zindagi mein kyaa yahi din dekhnaa us taraf hai vaadiyon se baam tak utraa dhanak is taraf majburiyaan manzar ye tum bin dekhnaa aaj tere gham mein murjhaae hain jo khilte shajar teri khvaahish mein hi mar jaaeinge ik din dekhnaa gham mile mujh ko tire tujh ko mili meri khushi teraa zaahir dekhnaa aur meraa baatin dekhnaa ai masihaa marz meraa ho chukaa hai laa-'ilaaj dekhnaa hai be-asar ik baar lekin dekhnaa"
Gyanendra VikramGyanendra Vikram
Quote
"piyaala zahr kaa laae ho piine kyon nahin dete mire marne pe ronaa hai to jiine kyon nahin dete nishaan be-shak bachein lekin ye ik din-bhar hi aate hain khurachnaa kyon mujhe zakhmon ko siine kyon nahin dete ilaahi chand lamhe de ke sab kuchh chhin lete ho mohabbat karne vaalon ko mahine kyon nahin dete pareshaan kar rahe ham ko hamin ko dost kahte hain chhupaate ho miraa pyaala kamine kyon nahin dete khudaayaa zalzale kaa din muqarrar khud kiyaa tum ne to phir har ik ki qismat mein safine kyon nahin dete"
Gyanendra VikramGyanendra Vikram
Quote
"faqat ye vaasta hai zindagi se tumhaari baat karte hain kisi se andheraa hi andheraa hai falak par judaa hai chaand apni chaandni se miraa apnaa nahin koi magar main mukhaatib ho rahaa huun har kisi se payaade shor barpaae hue hain masihaa sun rahaa hai khaamushi se vo mere paas aati jaa rahi hai magar matlab hai meri shaa'iri se ghamon ki chaadarein sab pheink bhi duun agar kuchh farq paDtaa ho khushi se kuaan hai pyaas hai paani nahin hai musaafir mar rahaa hai bebasi se ta'alluq thaa na koi dushmani thi amaan maare gae ham dil-lagi se ye gahre zakhm de kar ke na jaae zaraa saa bach ke chaliye saadgi se mohabbat dhaar hai chaDhti nadi ki ye saahil bolte kab hain nadi se"
Gyanendra VikramGyanendra Vikram
Quote
"abhi qaail hue hi the tumhaari rahnumaai ke tabhi anjaam dekhe kuchh khudaaon ki khudaai ke yuun mujh se duur jaane kaa safar ye raaegaan hogaa kabhi vo din na bhuleinge teri mujh se rihaai ke dilon se jo nikalti hai miTaae se nahin miTti nahin jaate kabhi ye rang dil ki raushnaai ke diye ke ek ishaare par lapak kar jaan dete hain abhi tevar kahaan dekhe hain tum ne paarsaai ke koi hiiraa koi moti vo phulon se sajaa bistar bataao daam kyaa paae ho apni munh-dikhaai ke banaane mein miTaane mein zaraa to vaqt lagtaa hai abhi din hi hue kitne tumhaari bevafaai ke hamesha kuchh nami baaqi bachi rahti hai aankhon mein kuchh aisaa haal hai un kaa ki jangal hon taraai ke miloge khaak mein tum bhi to mujh se mil hi jaaoge faqat kuchh saal baaqi hain meri tum se judaai ke"
Gyanendra VikramGyanendra Vikram

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb