SHAWORDS

partav-e-saaghar-e-sahbaa kyaa thaa — Asrarul Haq Majaz

"partav-e-saaghar-e-sahbaa kyaa thaa raat ik hashr saa barpaa kyaa thaa kyuun javaani ki mujhe yaad aai main ne ik khvaab saa dekhaa kyaa thaa husn ki aankh bhi namnaak hui ishq ko aap ne samjhaa kyaa thaa ishq ne aankh jhukaa li varna husn aur husn kaa pardaa kyaa thaa kyuun 'majaaz' aap ne saaghar toDaa aaj ye shahr mein charchaa kyaa thaa"
Urdu

پرتو ساغر صہبا کیا تھا رات اک حشر سا برپا کیا تھا کیوں جوانی کی مجھے یاد آئی میں نے اک خواب سا دیکھا کیا تھا حسن کی آنکھ بھی نمناک ہوئی عشق کو آپ نے سمجھا کیا تھا عشق نے آنکھ جھکا لی ورنہ حسن اور حسن کا پردا کیا تھا کیوں مجازؔ آپ نے ساغر توڑا آج یہ شہر میں چرچا کیا تھا

Hindi

परतव-ए-साग़र-ए-सहबा क्या था रात इक हश्र सा बरपा क्या था क्यूँ जवानी की मुझे याद आई मैं ने इक ख़्वाब सा देखा क्या था हुस्न की आँख भी नमनाक हुई इश्क़ को आप ने समझा क्या था इश्क़ ने आँख झुका ली वर्ना हुस्न और हुस्न का पर्दा क्या था क्यूँ 'मजाज़' आप ने साग़र तोड़ा आज ये शहर में चर्चा क्या था

partav-e-sāġhar-e-sahbā kyā thā
Asrarul Haq Majaz
Asrarul Haq Majaz
Asrarul Haq Majaz
poet79 quotes

More by Asrarul Haq Majaz

View all →
Quote
"'aql ki sath se kuchh aur ubhar jaanaa thaa 'ishq ko manzil-e-pasti se guzar jaanaa thaa jalve the halqa-e-sar daam-e-nazar se baahar main ne har jalve ko paaband-e-nazar jaanaa thaa husn kaa gham bhi hasin fikr hasin dard hasin un ko har rang mein har taur sanvar jaanaa thaa husn ne shauq ke hangaame to dekhe the bahut 'ishq ke daava-e-taqdis se Dar jaanaa thaa ye to kyaa kahiye chalaa thaa main kahaan se hamdam mujh ko ye bhi na thaa maa'lum kidhar jaanaa thaa husn aur 'ishq ko de taana-e-bedaad 'majaaz' tum ko to sirf isi baat pe mar jaanaa thaa"
Asrarul Haq MajazAsrarul Haq Majaz
Quote
"aao ab mil ke gulistaan ko gulistaan kar dein har gul-o-laala ko raqsaan o ghazal-khvaan kar dein 'aql hai fitna-e-bedaar sulaa dein is ko 'ishq ki jins-e-giraan-maaya ko arzaan kar dein dast-e-vahshat mein ye apnaa hi garebaan kab tak khatm ab silsila-e-chaak-e-garebaan kar dein khun-e-aadam pe koi harf na aane paae jinhein insaan nahin kahte unhein insaan kar dein daaman-e-khaak pe ye khuun ke chhinTe kab tak inhin chhinTon ko bahisht-e-gul-o-raihaan kar dein maah o anjum bhi hon sharminda-e-tanvir 'majaaz' dasht-e-zulmaat mein ik aisaa charaaghaan kar dein"
Asrarul Haq MajazAsrarul Haq Majaz
Quote
"ye jahaan baargah-e-ritl-giraan hai saaqi ik jahannam mire siine mein tapaan hai saaqi jis ne barbaad kiyaa maail-e-fariyaad kiyaa vo mohabbat abhi is dil mein javaan hai saaqi ek din aadam o havvaa bhi kiye the paidaa vo ukhuvvat tiri mahfil mein kahaan hai saaqi har chaman daaman-e-gul-rang hai khun-e-dil se har taraf shevan-o-fariyaad-o-fughaan hai saaqi maah o anjum mire ashkon se guhar-taab hue kahkashaan nuur ki ek ju-e-ravaan hai saaqi husn hi husn hai jis samt bhi uThti hai nazar kitnaa pur-kaif ye manzar ye samaan hai saaqi zamzama saaz kaa paael ki chhanaake ki tarah behtar-az-shorish-e-naaqus-o-azaan hai saaqi mere har lafz mein betaab miraa shor-e-darun meri har saans mohabbat kaa dhuaan hai saaqi"
Asrarul Haq MajazAsrarul Haq Majaz
Quote
"ye tirgi-e-shab hi kuchh subh-taraaz aati khud vaada-e-fardaa ki chhaati bhi dhaDak jaati honTon pe hansi paiham aate hue sharmaati ab raat nahin kaTti ab niind nahin aati jo avval o aakhir thaa vo avval o aakhir hai main naala-ba-jaan uThtaa vo naghma-ba-saaz aati soz-e-shab-e-hijraan phir soz-e-shab-e-hijraan hai shabnam ba-mizha uThti yaa zulf-e-daraaz aati yaa-rab vo javaani bhi kyaa mahshar-e-armaan thi angDaai bhi jab leti ek aankh jhapak jaati aaghaaz-e-siyah-masti anjaam-e-siyah-masti aaine mein surat bhi aane ki qasam khaati siine mein 'majaaz' ab tak vo jazba-e-kaafir thaa taslis ki joinda vahdat ki qasam khaati"
Asrarul Haq MajazAsrarul Haq Majaz

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari