SHAWORDS

phir koi mushkil javaan hone ko hai — Amar Singh Figar

"phir koi mushkil javaan hone ko hai doston kaa imtihaan hone ko hai jhonke dam saadhe khaDe hain chaar-su koi hangaama yahaan hone ko hai bhiig jaane par bhi jo bujhtaa na thaa aaj vo shoala dhuaan hone ko hai ye bahaarein aur gul buuTe niDhaal fasl-e-gul daur-e-khizaan hone ko hai zindagi se kijiye ummid kyaa zindagi khud raaegaan hone ko hai zabt kaa had se guzarnaa dekhiye raaz aankhon se bayaan hone ko hai manzil-e-maqsud jab aai nazar raahbar sang-e-garaan hone ko hai"
Urdu

پھر کوئی مشکل جواں ہونے کو ہے دوستوں کا امتحاں ہونے کو ہے جھونکے دم سادھے کھڑے ہیں چار سو کوئی ہنگامہ یہاں ہونے کو ہے بھیگ جانے پر بھی جو بجھتا نہ تھا آج وہ شعلہ دھواں ہونے کو ہے یہ بہاریں اور گل بوٹے نڈھال فصل گل دور خزاں ہونے کو ہے زندگی سے کیجیے امید کیا زندگی خود رائیگاں ہونے کو ہے ضبط کا حد سے گزرنا دیکھیے راز آنکھوں سے بیاں ہونے کو ہے منزل مقصود جب آئی نظر راہبر سنگ‌ راں ہونے کو ہے

Hindi

फिर कोई मुश्किल जवाँ होने को है दोस्तों का इम्तिहाँ होने को है झोंके दम साधे खड़े हैं चार-सू कोई हंगामा यहाँ होने को है भीग जाने पर भी जो बुझता न था आज वो शो'ला धुआँ होने को है ये बहारें और गुल बूटे निढाल फ़स्ल-ए-गुल दौर-ए-ख़िज़ाँ होने को है ज़िंदगी से कीजिए उम्मीद क्या ज़िंदगी ख़ुद राएगाँ होने को है ज़ब्त का हद से गुज़रना देखिए राज़ आँखों से बयाँ होने को है मंज़िल-ए-मक़्सूद जब आई नज़र राहबर संग-ए-गराँ होने को है

phir koī mushkil javāñ hone ko hai
Amar Singh Figar
Amar Singh Figar
Amar Singh Figar
poet17 quotes

More by Amar Singh Figar

View all →
Quote
"na vo jazbaat ki lahrein na ehsaasaat kaa dariyaa liye phirtaa huun aankhon mein ajab khadshaat kaa dariyaa machalti shokh maujon ko main apne naam kyuun likkhun ki aakhir khushk hogaa mausam-e-barsaat kaa dariyaa kise maalum ye kashti lage kis ghaaT par jaa kar bahaa le jaae kyaa jaane kidhar haalaat kaa dariyaa kahaan is aankh kaa jugnu ki chamke bhi to chhupne ko kahaan ham bekason ki baatini zulmaat kaa dariyaa havaaein chup khalaa viraan fazaa ghamgin safar mushkil ravaan hadd-e-nazar tak jabr ke lamhaat kaa dariyaa zabaan ki khaamushi taqrir ko dafnaa nahin sakti nahin ruktaa 'figaar' alfaaz-o-takhliqaat kaa dariyaa"
Amar Singh FigarAmar Singh Figar
Quote
"kaun kahtaa hai ki tum socho nahin soch mein itne magar Duubo nahin chup hain divaarein to kyaa bahri bhi hain sab hama-tan-gosh hain bolo nahin phuul to kyaa khaar bhi manzur hain be-rukhi se yuun magar pheinko nahin apni hi surat se tum Dar jaaoge aaine mein aaj-kal jhaanko nahin aaj kuchh tum ko ziyaada ho gai jaao so jaao miyaan uljho nahin faasla vo hai ki baDhtaa jaaegaa lams ke khvaabon mein yuun bhaTko nahin main zamin kaa dard huun yaaro mujhe aasmaanon kaa pata puchho nahin"
Amar Singh FigarAmar Singh Figar
Quote
"baiThaa hai sogvaar sitamgar ke shahr mein kis ko pukaare aaina patthar ke shahr mein bejaa nahin fazaaon kaa hairat mein Dubnaa itnaa sukut aur sukhan-var ke shahr mein is daur mein usi ko hunar-mand maaniye jiinaa nahin paDaa jise mar mar ke shahr mein manzil qarib aai to rasta bhulaa gayaa phirte hain khaak chhaante rahbar ke shahr mein suraj nazar bachaa ke to guzraa na thaa magar utrin nahin shuaaein muqaddar ke shahr mein insaan kahun unhein ki farishton kaa naam duun jo log dard-mand hain be-ghar ke shahr mein shaayad nikal hi aae koi chaaragar 'figaar' ik baar aur dekh sadaa kar ke shahr mein"
Amar Singh FigarAmar Singh Figar
Quote
"kise khayaal ki ishrat ke baab kitne hain ye pyaas kitni hai is par saraab kitne hain safina ghaaT lagaa dekh ham ye bhuul gae ki vo safine jo hain gharq-e-aab kitne hain tu ye na puchh mire gaanv mein hain ghar kitne ye puchh kaun se ghar mein azaab kitne hain sharik-e-gham use kar to liyaa magar socho ki zimmedaar ke zimme javaab kitne hain baDaa ghurur hai tujh ko aziim lashkar par kabhi to soch tire ham-rikaab kitne hain lachakti shaakh pe kaanTe bhi kam nahin hote yahi na dekhiye kis par gulaab kitne hain"
Amar Singh FigarAmar Singh Figar
Quote
"josh-e-takmil-e-tamannaa hai khudaa khair kare khaak hone kaa andesha hai khudaa khair kare jaan-nisaaron ko natije kaa tasavvur hi kahaan aaina sang pe martaa hai khudaa khair kare sab ne rasmi hi hansi lab pe sajaa rakkhi hai har koi dard mein Duubaa hai khudaa khair kare pyaas paani ke tajassus mein bhaTakti hai jahaan duur tak ret kaa dariyaa hai khudaa khair kare ik taraf vaqt ke munh-zor bagulon kaa hujum ik taraf zard saa pattaa hai khudaa khair kare tu ne ghar yuun to bulandi pe banaayaa hai 'figaar' tu magar niind mein chaltaa hai khudaa khair kare"
Amar Singh FigarAmar Singh Figar

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi