SHAWORDS

pichhli rafaaqaton kaa na itnaa malaal kar — Arman Najmi

HomeArman NajmiGhazal
"pichhli rafaaqaton kaa na itnaa malaal kar apni shikastagi kaa bhi thoDaa khayaal kar Das le kahin tumhin ko na mauqaa nikaal kar rakkho na aastin mein koi saanp paal kar sharmindagi kaa zakhm na gahraa lage kahin kuchh is qadar daraaz na dast-e-savaal kar meri tarah na tu bhi ghuTan kaa shikaar ho khud apni khvaahishon ko na yuun paaemaal kar jo aap ki nigaah mein itnaa buland hai dekhaa hai us kaa zarf bhi main ne khangaal kar lamhon ki tund mauj se bachnaa muhaal hai rakhkhoge kaise yaad ki khushbu sambhaal kar 'armaan' bas ek lazzat-e-izhaar ke sivaa miltaa hai kyaa khayaal ko lafzon mein Dhaal kar"
Urdu

پچھلی رفاقتوں کا نہ اتنا ملال کر اپنی شکستگی کا بھی تھوڑا خیال کر ڈس لے کہیں تمہیں کو نہ موقع نکال کر رکھو نہ آستیں میں کوئی سانپ پال کر شرمندگی کا زخم نہ گہرا لگے کہیں کچھ اس قدر دراز نہ دست سوال کر میری طرح نہ تو بھی گھٹن کا شکار ہو خود اپنی خواہشوں کو نہ یوں پائمال کر جو آپ کی نگاہ میں اتنا بلند ہے دیکھا ہے اس کا ظرف بھی میں نے کھنگال کر لمحوں کی تند موج سے بچنا محال ہے رکھو گے کیسے یاد کی خوشبو سنبھال کر ارماںؔ بس ایک لذت اظہار کے سوا ملتا ہے کیا خیال کو لفظوں میں ڈھال کر

Hindi

पिछली रफ़ाक़तों का न इतना मलाल कर अपनी शिकस्तगी का भी थोड़ा ख़याल कर डस ले कहीं तुम्हीं को न मौक़ा निकाल कर रक्खो न आस्तीं में कोई साँप पाल कर शर्मिंदगी का ज़ख़्म न गहरा लगे कहीं कुछ इस क़दर दराज़ न दस्त-ए-सवाल कर मेरी तरह न तू भी घुटन का शिकार हो ख़ुद अपनी ख़्वाहिशों को न यूँ पाएमाल कर जो आप की निगाह में इतना बुलंद है देखा है उस का ज़र्फ़ भी मैं ने खंगाल कर लम्हों की तुंद मौज से बचना मुहाल है रख्खोगे कैसे याद की ख़ुश्बू सँभाल कर 'अरमाँ' बस एक लज़्ज़त-ए-इज़हार के सिवा मिलता है क्या ख़याल को लफ़्ज़ों में ढाल कर

pichhlī rafāqatoñ kā na itnā malāl kar
Arman Najmi
Arman Najmi
Arman Najmi
poet26 quotes

More by Arman Najmi

View all →
Quote
"dimaagh-o-dil pe ho kyaa asar andhere kaa ki dida-var bhi hai ab ham-safar andhere kaa dayaar-e-nur mein har samt khaak uDne lagi vajud hone lagaa mo'atabar andhere kaa ye raasta to charaaghon se jagmagaataa hai idhar se hone lagaa kyuun guzar andhere kaa ab is ke phulne-phalne mein din hi kitne hain jaDein jamaa to chukaa hai shajar andhere kaa yahaan to raushniyon kaa paDaav hotaa hai to kyaa yahin pe basegaa nagar andhere kaa sisakti shamon kaa ye aakhiri Thikaanaa hai shurua hogaa yahin se safar andhere kaa basiraton ke amiin hain hamin magar ham ne basaa liyaa hai rag-o-pai mein Dar andhere kaa manaao khair ujaalon ke baam-o-dar vaalo fazaa mein raqs-kunaan hai sharar andhere kaa vo apne saath to le kar charaagh chalte the shikaar kyuun hue ahl-e-nazar andhere kaa"
Arman NajmiArman Najmi
Quote
"jaane kis aalam-e-ehsaas mein khoe hue hain ham hain vo log ki jaage hain na soe hue hain apne anjaam kaa dekhegaa tamaashaa kabhi vo jite-ji ham to abhi se use roe hue hain daagh miTtaa nahin kuchh aur numaayaan huaa hai apne haath aap ne kis chiiz se dhoe hue hain kuchh samajh mein nahin aataa ye mukaafaat-e-amal kaaTte kyuun nahin jo aap ne boe hue hain ruuh apni rahi hai qurb-e-badan se sarshaar ham farishte nahin daaman ko bhigoe hue hain saans lene ko bhi ab in ki taraf dekhtaa huun nok-e-nashtar jo rag-e-jaan mein chubhoe hue hain kyaa milaa un se hamein khaak nadaamat ke sivaa ham bhi kin khvaabon ki taabir ko Dhoe hue hain itne naadaan bhi nahin ham ki samajh bhi na sakein aap lahje mein jo shirini samoe hue hain"
Arman NajmiArman Najmi
Quote
"badlegaa rukh havaa kabhi to khul jaaegaa raasta kabhi to ghaflat pe khud apni chaunk uTThegaa sun kar vo miri sadaa kabhi to ho jaaegaa munkashif bhi khud par dekhegaa vo aaina kabhi to kab tak ye adaa-e-be-niyaazi TuTegaa ye silsila kabhi to kholegaa vo mujh pe baab-e-rahmat sun legaa miri du'aa kabhi to qaaem hai umiid par hi duniyaa hal hogaa ye masala kabhi to kar degaa zamin kaa bojh halkaa uTThegaa giraa huaa kabhi to baiThaa huun main us ke raaste par ho jaaegaa saamnaa kabhi to di hai dard-e-dil pe us ke dastak tai hogaa ye faasla kabhi to"
Arman NajmiArman Najmi
Quote
"kabhi to aa ke milo meraa haal to puchho ki mujh se chhuT ke bhi aaj kaise zinda ho javaaniyon ki ye rut kis tarah guzarti hai bas ek baar tum apni nazar se dekh to lo vo aarzuon kaa mausam to kab kaa biit chukaa main kab se jhel rahaa huun dukhon ke sahraa ko masarraton ki rutein to tumhaare saath gaiin main kaise duur karun ruuh ki udaasi ko guzar na jaao sar-e-raah ajnabi ki tarah tumhaaraa khvaab huun main tum to mujh ko pahchaano jo jaa chuke vo musaafir na aaeinge armaan bas ab to dafn karo nim-jaan umidon ko"
Arman NajmiArman Najmi
Quote
"nigaah-e-tishna se hairat kaa baab dekhte hain bisaat-e-aab pe raqs-e-saraab dekhte hain ukhaDte khemon pe kyaa qahr-e-shaam TuuTaa hai lahu mein Duubaa huaa aaftaab dekhte hain nahin hai qatre ki auqaat bhi jinhein haasil vo kam-nazar bhi samundar ke khvaab dekhte hain unhein to vaqt ki gardish asiir kar bhi chuki vo ab guzishta zamaane kaa khvaab dekhte hain hamein to mauj-e-ravaan bhi nazar nahin aati vo log aur hain jo zer-e-aab dekhte hain dayaar-e-shauq ki miTTi mein kyaa guhar hi nahin numu ki rut ko bhi be-aab-o-taab dekhte hain sazaa milegi hamein to ziyaa-ba-doshi ki charaagh-e-jaan pe havaa kaa itaab dekhte hain milaa nahin unhein sairaabi-e-vujud kaa lams ye dasht sadiyon se raah-e-sahaab dekhte hain"
Arman NajmiArman Najmi
Quote
"jo gum-gashta hai us ki zaat kyaa hai gharib-e-shahr ki auqaat kyaa hai saron par saaya-e-aafaat kyaa hai jo kaTti hi nahin vo raat kyaa hai na hone aur hone ki haqiqat savaal-e-nafi-o-isbaat kyaa hai jami hai gard ki tah bastiyon par havaa ke haath mein saughaat kyaa hai hiqaarat mein bujhe kuchh tir-o-nashtar mire kashkol mein khairaat kyaa hai bujhaa paaein na un ko oDh paaein guzishta mausamon ki baat kyaa hai kabhi dekhaa na us ko baar-aavar hamaari fasl-e-imkaanaat kyaa hai varaq par kyuun utarte hain sharaare lahu mein shoala-e-jazbaat kyaa hai ubharte Dubte rahte hain saae tamaashaa ek saa din raat kyaa hai"
Arman NajmiArman Najmi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb