SHAWORDS

qabaa-e-jaan ko sar-e-raah taar-taar na kar — Ahmad Raees

HomeAhmad RaeesGhazal
"qabaa-e-jaan ko sar-e-raah taar-taar na kar ye zindagi hai ise nazr-e-intishaar na kar ham ahl-e-dil hain mohabbat hamaaraa sheva hai hamaare saath siyaasat kaa kaarobaar na kar judaa huaa hai to mujh ko na DhunD raston par bichhaD gayaa hai to ab meraa intizaar na kar hamein na dekh hamaare amal ki kar tauqir vajud-e-asl-e-haqiqat ko sangsaar na kar qubul ham ko tiri be-rukhi kaa har andaaz magar tu yuun sar-e-baazaar ham pe vaar na kar uchhaal phir na fazaa mein lahu ki ye bundein sitam ki tegh ko yaaron ke dil ke paar na kar"
Urdu

قبائے جاں کو سر راہ تار تار نہ کر یہ زندگی ہے اسے نذر انتشار نہ کر ہم اہل دل ہیں محبت ہمارا شیوہ ہے ہمارے ساتھ سیاست کا کاروبار نہ کر جدا ہوا ہے تو مجھ کو نہ ڈھونڈ رستوں پر بچھڑ گیا ہے تو اب میرا انتظار نہ کر ہمیں نہ دیکھ ہمارے عمل کی کر توقیر وجود اصل حقیقت کو سنگسار نہ کر قبول ہم کو تری بے رخی کا ہر انداز مگر تو یوں سر بازار ہم پہ وار نہ کر اچھال پھر نہ فضا میں لہو کی یہ بوندیں ستم کی تیغ کو یاروں کے دل کے پار نہ کر

Hindi

क़बा-ए-जाँ को सर-ए-राह तार-तार न कर ये ज़िंदगी है इसे नज़्र-ए-इंतिशार न कर हम अहल-ए-दिल हैं मोहब्बत हमारा शेवा है हमारे साथ सियासत का कारोबार न कर जुदा हुआ है तो मुझ को न ढूँड रस्तों पर बिछड़ गया है तो अब मेरा इंतिज़ार न कर हमें न देख हमारे अमल की कर तौक़ीर वजूद-ए-अस्ल-ए-हक़ीक़त को संगसार न कर क़ुबूल हम को तिरी बे-रुख़ी का हर अंदाज़ मगर तू यूँ सर-ए-बाज़ार हम पे वार न कर उछाल फिर न फ़ज़ा में लहू की ये बूँदें सितम की तेग़ को यारों के दिल के पार न कर

qabā-e-jāñ ko sar-e-rāh tār-tār na kar
Ahmad Raees
Ahmad Raees
Ahmad Raees
poet9 quotes

More by Ahmad Raees

View all →
Quote
"jo likhaa vo likh diyaa jaan-e-jaan karun aaj is kaa malaal kyaa tiraa zikr ho tiri baat ho to karun main jag kaa khayaal kyaa mili dam-ba-dam hasin raushni ki hayaat meri nikhar gai tire qurb se tire pyaar se ho qaraar-e-jaan to kamaal kyaa abhi saath thaa abhi kho gayaa abhi tirgi mein Dubo gayaa abhi us ki aas na pyaas hai to khayaal-e-qurb-o-visaal kyaa rah-e-zindagi hai dhuaan dhuaan nahin ik kiran kaa kahin nishaan main huun be-yaqini ki chhaanv mein to numud-e-rang-o-jamaal kyaa rah-e-aashiqaan jo huaa sitam kabhi zikr hogaa na us kaa kam yunhi hogaa tan jo lahu lahu to karun main jang-o-qitaal kyaa tiri chaah thi tiraa pyaar thaa tiraa qurb thaa tiri dosti tu nahin to phir ye hikaayatein ye shikaayatein ye malaal kyaa tujhe tujh se main ne talab kiyaa tujhe lutf-e-jaan kaa sabab kiyaa ye sitam hai tu ne ghazab kiyaa to karun main tujh se savaal kyaa"
Ahmad RaeesAhmad Raees
Quote
"milaa vo shakhs magar arsa-e-bahaar ke baad hazaar chaand sitaaron ke intizaar ke baad zamin pe phuul khile hain to kis zamaane mein mohabbaton se mahakte hue dayaar ke baad tiri talaash mein nikle hain laakh divaane baDe azaab baDe zulm-o-intishaar ke baad hazaar ahl-e-tamannaa se ham-kalaam rahaa magar mili na tasalli sukut-e-yaar ke baad hamaaraa haal to us se kahe koi jaa kar ki intizaar hai us kaa har intizaar ke baad charaagh-e-laala-o-gul hain ki hain bahut raushan vahi bahaar hai har mausam-e-bahaar ke baad"
Ahmad RaeesAhmad Raees
Quote
"meri bayaaz-e-sher pe vo naam likh gayaa ik khvaab aur ek hasin shaam likh gayaa dil us ko DhunDhtaa hai usi ki talaash hai chupke se ik duaa jo mire naam likh gayaa phir us se kab ho meri mulaaqaat dekhiye aaghaaz hi mein jo miraa anjaam likh gayaa jalti zamin pe main hi khaDaa thaa koi na thaa jhonkaa havaa kaa aayaa to sau naam likh gayaa khushbu thaa vo ki ek nai rut nayaa samaan chupke se mere naam jo ye shaam likh gayaa vo mujh se chhin kar miri binaaiyaan tamaam patthar kaa kaisaa shahr mire naam likh gayaa khud apni aag hi mein jalaa huun magar 'rais' sab ke liye mahakti hui shaam likh gayaa"
Ahmad RaeesAhmad Raees
Quote
"hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh liyaa zamaane ham ne tire saath chal ke dekh liyaa milaa na ham ko zaraa bhi qaraar duniyaa mein qadam milaa ke tire saath chal ke dekh liyaa vahi hai tira-shabi aur vahi hai sannaaTaa khalaa mein duur bahut duur chal ke dekh liyaa jalaa na diip koi chaahaton kaa raste mein hujum-e-shahr mein tanhaa bhi chal ke dekh liyaa ataa huaa na hamein koi tamgha-e-ulfat tumhaare rang mein ham ne bhi Dhal ke dekh liyaa hue na aaj talak ham shumaar zindon mein har ik libaas badan kaa badal ke dekh liyaa"
Ahmad RaeesAhmad Raees

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi