SHAWORDS

raah-e-hasti ke har ik moD se bach kar nikle — Amanullah Khalid

"raah-e-hasti ke har ik moD se bach kar nikle ahl-e-daanish se to divaane hi behtar nikle vaqt ki tez havaaon ne ajab moD liyaa phuul se haath jo the un mein bhi patthar nikle teri yaadon ke sahaare jo guzaare ham ne vo hi lamhaat faqat apnaa muqaddar nikle ham ne ghairon ke bhi ashkon ko liyaa daaman par chaahe khud gham ke samundar mein nahaa kar nikle un ki fariyaad kaa aahon kaa asar hogaa apne haathon se jo ghar apnaa jalaa kar nikle gham zamaane ki jafaaon kaa karein kyaa 'khaalid' jab garebaan hi kaanTon se sajaa kar nikle"
Urdu

راہ ہستی کے ہر اک موڑ سے بچ کر نکلے اہل دانش سے تو دیوانے ہی بہتر نکلے وقت کی تیز ہواؤں نے عجب موڑ لیا پھول سے ہاتھ جو تھے ان میں بھی پتھر نکلے تیری یادوں کے سہارے جو گزارے ہم نے وہ ہی لمحات فقط اپنا مقدر نکلے ہم نے غیروں کے بھی اشکوں کو لیا دامن پر چاہے خود غم کے سمندر میں نہا کر نکلے ان کی فریاد کا آہوں کا اثر ہوگا اپنے ہاتھوں سے جو گھر اپنا جلا کر نکلے غم زمانے کی جفاؤں کا کریں کیا خالدؔ جب گریبان ہی کانٹوں سے سجا کر نکلے

Hindi

राह-ए-हस्ती के हर इक मोड़ से बच कर निकले अहल-ए-दानिश से तो दीवाने ही बेहतर निकले वक़्त की तेज़ हवाओं ने अजब मोड़ लिया फूल से हाथ जो थे उन में भी पत्थर निकले तेरी यादों के सहारे जो गुज़ारे हम ने वो ही लम्हात फ़क़त अपना मुक़द्दर निकले हम ने ग़ैरों के भी अश्कों को लिया दामन पर चाहे ख़ुद ग़म के समुंदर में नहा कर निकले उन की फ़रियाद का आहों का असर होगा अपने हाथों से जो घर अपना जला कर निकले ग़म ज़माने की जफ़ाओं का करें क्या 'ख़ालिद' जब गरेबान ही काँटों से सजा कर निकले

rāh-e-hastī ke har ik moḌ se bach kar nikle
Amanullah Khalid
Amanullah Khalid
Amanullah Khalid
poet17 quotes

More by Amanullah Khalid

View all →
Quote
"dard aisaa diyaa ehsaas-e-vafaa ne ham ko na davaa ne hi shifaa di na duaa ne ham ko ye to sahraa ki havaaein hain gila kyaa un kaa khuub jhulsaayaa hai gulshan ki sabaa ne ham ko soz-e-aafaaq kaa ehsaas bhi ham ko na huaa itnaa behosh kiyaa teri adaa ne ham ko duur hotaa hi gayaa chehra-e-manzil ham se raah dikhlaai hai vo raah-numaa ne ham ko dekhti hi rahi ye aql tamaashaa-e-junun jab bhi majbur kiyaa ahd-e-vafaa ham ko zulf-e-idraak chhupaati rukh-e-hasti kab tak aakhirash thaam liyaa dast-e-fazaa ne ham ko Duubi kashti jo hamaari lab-e-saahil 'khaalid' naa-khudaa ne nahin dekhaa ki khudaa ne ham ko"
Amanullah KhalidAmanullah Khalid
Quote
"kuchh sochon ke kuchh fikron ke kuchh the ehsaasaat ke naam jitne bhi patthar aae sab aaina-e-jazbaat ke naam un ki nigaahein be-parvaa hain kuchh bhi nahin jazbaat ke naam vaqf kiye hain jin logon ne din ke ujaale raat ke naam tapte hue sahraa mein jaise shabnam ki be-rang numud jaane kitne khat likkhe hain main ne bhi barsaat ke naam vaqt ke honTon pe raqsaan hain masti kaa ik raag liye subh-e-qayaamat ke hangaame husn-e-maujudaat ke naam mauj-e-sukun ke saath mile zanjir-e-alam be-taabi-e-dil ham ne kitni daulat paai ulfat ki saughaat ke naam un ki tamannaa meri koshish baaham vaade aur qasmein kuchh meri taqdir ke sadqe baaqi sab haalaat ke naam saji hui hai adab ki mahfil haal ke aise naghmon se be-maqsad be-kaif kitaabein husn-e-takhliqaat ke naam hasrat-o-armaan bazm-e-tasavvur daaman-e-sahraa dast-e-junun khushiyon ke paighaam hain 'khaalid' gham ke hasin lamhaat ke naam"
Amanullah KhalidAmanullah Khalid
Quote
"nigaah-e-shauq ko jab teraa naqsh-e-paa na milaa mujhe bhi husn-e-haqiqat kaa aaina na milaa jise bhi dekho vahi ajnabi saa lagtaa hai tumhaare shahr mein koi bhi aashnaa na milaa hudud-e-dair-o-kalisaa mein khaanqaahon mein bahut talaash kiyaa ham ko paarsaa na milaa taDapte rah gae din mein bhi raushni ke liye charaagh bechne vaalon ko mashlaa na milaa hamaare dars pe ghairon ne paa liyaa saahil hamaare apne safine ko naakhudaa na milaa sukun milegaa unhein kis ke aastaane par vo ahl-e-dard jinhein teraa aasraa na milaa mataa-e-dil vo miri luTne chalaa thaa magar ye aur baat ki rahzan ko hausla na milaa miri vafaaon pe ilzaam to bahut aae miri vafaaon kaa mujh ko magar sila na milaa vafaa ke tazkire ham ne bahut sune 'khaalid' magar jahaan mein koi ham ko baa-vafaa na milaa"
Amanullah KhalidAmanullah Khalid
Quote
"ghar apnaa vaadi-e-barq-o-sharar mein rakkhaa jaae taalluqaat kaa saudaa na sar mein rakkhaa jaae agar talab ho kabhi chand ghunT paani ki samundaron kaa tasavvur nazar mein rakkhaa jaae sunaa hai dukhtar-e-tahzib ghar se bhaag gai chhupaa ke bachchon ko hargiz na ghar mein rakkhaa jaae pata nahin ki kahaan rah-zanon ki ho yalghaar koi difaaa bhi rakht-e-safar mein rakkhaa jaae bataao kaise milegi hamein sahih taabir jab apnaa khvaab hi chashm-e-digar mein rakkhaa jaae lo ab to ham bhi havaaon ke saath chalne lage hamaaraa naam bhi ahl-e-hunar mein rakkhaa jaae kitaab ziist mein baab-e-alam bhi ho mahfuz siyaah-raat kaa manzar sahar mein rakkhaa jaae qafas ko le ke jo uDaa jaae gulistaan ki taraf vo azm taair-e-be-baal-o-par mein rakkhaa jaae"
Amanullah KhalidAmanullah Khalid
Quote
"hai miri ziist tire gham se farozaan jaanaan kaun kahtaa hai mujhe be-sar-o-saamaan jaanaan teri yaadein mire hamraah ba-har-gaam hain jab main ne samjhaa hi nahin khud ko pareshaan jaanaan nabz-e-ehsaas bahut sust hui jaati hai dil ko darkaar hai phir dard kaa paikaan jaanaan hanste hanste nazar aate the jahaan ghuncha-o-gul viraan viraan saa lage hai vo gulistaan jaanaan ab na vo soz na vo saaz hai dil mein phir bhi ek aavaaz si aati hai ki jaanaan jaanaan zikr-e-maazi se gurezaan huun ye sach hai lekin yaad hai aaj bhi mujh ko tiraa paimaan jaanaan itni tanhaai kaa ehsaas musalsal ho agar apne saae se bhi Dar jaataa hai insaan jaanaan tere haathon ki vo mehndi vo tiraa surkh libaas is tasavvur se bhi dil hai miraa larzaan jaanaan ek muddat hui go ahd-e-bahaaraan guzre chaak hai aaj talak meraa garebaan jaanaan main tujhe bhuul na paayaa to ye chaahat hai miri yaad rakkhaa hai jo tu ne tiraa ehsaan jaanaan aaj 'khaalid' ke khayaalaat ki har raahguzar hai tire husn ke partav se charaaghaan jaanaan"
Amanullah KhalidAmanullah Khalid
Quote
"saain apne nafas ko ham ne yuun hi nahin naakaam kiyaa umr guzaari dar-ba-dari mein kab kis jaa aaraam kiyaa ghair to aakhir ghair hain yaaro kyaa sochein ab kis ke taiin ham ne kaun jagah apne ko paaband-e-ahkaam kiyaa ahl-e-khirad ne jashn-e-bahaaraan yuun bhi manaayaa ab ke baras jaib-o-garebaan chaak kiye aur divaanon mein naam kiyaa har dar pe ik baang lagaavein bhalaa karo bas bhalaa karo ek hi shikva ek hi naala subh kiyaa aur shaam kiyaa unche unche mahlon se kyaa gharaz hai ham banjaaron ko ThanDi chhaayaa dekh ke khud ko kabhi na zer-e-baam kiyaa main hi thaa ik aankh na bhaaon vo to ab bhi yaar hain tere jin logon ne teraa charchaa baazaaron mein aam kiyaa dukh naa pahunchaa kisi ko baabaa tere 'khaalid' se un ne to sau baar khushi ko gham ke evaz nilaam kiyaa"
Amanullah KhalidAmanullah Khalid

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari