"jis ko dekho bevafaa hai aainon ke shahr mein pattharon se vaasta hai aainon ke shahr mein roz harf-e-aarzu par TuTte rahte hain dil roz arz-e-muddaaa hai aainon ke shahr mein qahqahe lagte hain aavaaz-e-shikast-e-dil ke saath kab koi dard-aashnaa hai aainon ke shahr mein husn vaalo kis liye 'ejaaz' se ye ijtinaab ik vahi tu paarsaa hai aainon ke shahr mein"
raah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-aam se baDhe — Ejaz Warsi
"raah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-aam se baDhe kashmakash-e-hayaat ke aur bhi hausle baDhe kis se ye puchhiye bhalaa tishna-labon ko kyaa milaa kahne ko yuun to roz hi saikDon mai-kade baDhe koshish-e-paiham aafrin manzil ab aa gai qarib muzhda ho aarzu-e-dil paanv ke aable baDhe aate hi us ne bazm mein rukh pe naqaab Daal li haae vo manzar-e-hasin jaise diye jale baDhe vaqt ki aazmaaishein laati hain ziist par nikhaar phulon ko dekh lijiye kaanTon mein jo pale-baDhe taabish-e-husn-e-yaar ne chhin li taab-e-arz-e-shauq jitne qarib aae vo utne hi faasle baDhe raahon ke rukh badal gae manzilein duur ho gaiin khizr ke eatibaar par jab kabhi qaafile baDhe"
راہ طلب میں اہل دل جب حد عام سے بڑھے کشمکش حیات کے اور بھی حوصلے بڑھے کس سے یہ پوچھئے بھلا تشنہ لبوں کو کیا ملا کہنے کو یوں تو روز ہی سیکڑوں میکدے بڑھے کوشش پیہم آفریں منزل اب آ گئی قریب مژدہ ہو آرزوئے دل پاؤں کے آبلے بڑھے آتے ہی اس نے بزم میں رخ پہ نقاب ڈال لی ہائے وہ منظر حسیں جیسے دئے جلے بڑھے وقت کی آزمائشیں لاتی ہیں زیست پر نکھار پھولوں کو دیکھ لیجئے کانٹوں میں جو پلے بڑھے تابش حسن یار نے چھین لی تاب عرض شوق جتنے قریب آئے وہ اتنے ہی فاصلے بڑھے راہوں کے رخ بدل گئے منزلیں دور ہو گئیں خضر کے اعتبار پر جب کبھی قافلے بڑھے
राह-ए-तलब में अहल-ए-दिल जब हद-ए-आम से बढ़े कश्मकश-ए-हयात के और भी हौसले बढ़े किस से ये पूछिए भला तिश्ना-लबों को क्या मिला कहने को यूँ तो रोज़ ही सैकड़ों मय-कदे बढ़े कोशिश-ए-पैहम आफ़रीं मंज़िल अब आ गई क़रीब मुज़्दा हो आरज़ू-ए-दिल पाँव के आबले बढ़े आते ही उस ने बज़्म में रुख़ पे नक़ाब डाल ली हाए वो मंज़र-ए-हसीं जैसे दिए जले बढ़े वक़्त की आज़माइशें लाती हैं ज़ीस्त पर निखार फूलों को देख लीजिए काँटों में जो पले-बढ़े ताबिश-ए-हुस्न-ए-यार ने छीन ली ताब-ए-अर्ज़-ए-शौक़ जितने क़रीब आए वो उतने ही फ़ासले बढ़े राहों के रुख़ बदल गए मंज़िलें दूर हो गईं ख़िज़्र के ए'तिबार पर जब कभी क़ाफ़िले बढ़े

More by Ejaz Warsi
View all →"yaad un ki dil mein aai vo aasudgi liye zulmat mein aae jaise koi raushni liye ai sai-e-zabt logon ko kyaa duun subut-e-gham Dar se hansi ke main ne to aansu bhi pi liye ziddain-e-kaifiyaat ko ham ne sulaa diyaa jiite rahe khushi se gham-e-aashiqi liye ai sang-e-aastaan mire sajdon ki laaj rakh aayaa huun e'tiraaf-e-shikast-e-khudi liye 'ejaaz' koi chaara-gar-e-gham na mil sakaa phirtaa rahaa huun dahr mein dil ki lagi liye"
"kisi ke shikva-haa-e-jaur se vaaqif zabaan kyuun ho gham-e-dil aag to lag hi chuki lekin dhuaan kyuun ho mohabbat mein visaal-o-hijr ki tamiz kyaa maani bisaat-e-ishq par baazicha-e-sud-o-ziyaan kyuun ho jabin saail thi naadim hai magar ai sajda-e-aakhir miri mahrumiyon se be-taalluq aastaan kyuun ho khudaavandaa chaman mein to nasheman hi nasheman hain nazar mein barq ki sirf ek shaakh-e-aashiyaan kyuun ho rivaayaat-e-kuhan ko azm-e-nau khaatir mein kyaa laae zamir-e-kaarvaan paaband-e-mir-e-kaarvaan kyuun ho ye maanaa ek aansu hai magar ai sai-e-zabt-e-gham sar-e-mizhgaan ye ik aansu bhi dil kaa tarjumaan kyuun ho zamaana jab bhulaa hi baiThaa 'ejaaz'-e-hazin tujh ko koi ab mehrbaan kyuun ho koi naa-mehrbaan kyuun ho"
"kaar-e-khair itnaa to ai laghzish-e-paa ho jaataa paae saaqi pe hi ik sajda adaa ho jaataa vo to ye kahiye ki majbur hai nazm-e-hasti varna har banda-e-maghrur khudaa ho jaataa qaafile vaale the mahrum-e-basirat varna meraa har naqsh-e-qadam raah-numaa ho jaataa gham ke maaron pe bhi ai daavar-e-hashr ek nazar aaj to faisla-e-ahl-e-vafaa ho jaataa yuun andheron mein bhaTakte na kabhi ahl-e-khirad koi divaana agar raah-numaa ho jaataa dil tiri nim-nigaahi kaa to mamnun sahi dard abhi kam hai zaraa aur sivaa ho jaataa lazzat-e-gham se hai zid fitrat-e-gham ko shaayad dard hi dard na kyuun dard davaa ho jaataa sun ke bhar aataa agar un kaa bhi dil ai 'e'jaaz' qissa-e-dard kaa 'unvaan nayaa ho jaataa"
"madaava-e-junun sair-e-gulistaan se nahin hotaa rafu-e-chaak-e-dil taar-e-garebaan se nahin hotaa ba-juz manzil kahin raahat nahin milti musaafir ko ilaaj-e-aabla-paai bayaabaan se nahin hotaa hijaab-e-dost ne bakhshaa hai vo lutf-e-yaqin dil ko ki ye aasuda ab husn-e-numaayaan se nahin hotaa jilaa hoti hai zarf-e-zist par tanqid-e-daanaa se mudaavaa nafs kaa chashm-e-sanaa-khvaan se nahin hotaa ba-qadr-e-zarf fitrat karti hai baalidgi dil ki ye vo kaar-e-aham hai jo dabistaan se nahin hotaa kiyaa hai ru-shanaas-e-afv main ne teri rahmat ko liyaa vo kaam isyaan se jo imaan se nahin hotaa jigar ke daagh hi marqad mein kaam 'ejaaz' aaeinge ujaalaa aisi zulmat mein charaaghaan se nahin hotaa"
"mai-khaana hai binaa-e-shar-o-khair to nahin ai shaikh-o-barhaman haram-o-dair to nahin qaasid ko tak rahaa huun bajaae javaab-e-khat kambakht ye na kah de kahin khair to nahin apnon kaa shikva kis liye aae zabaan par ahbaab ke sitam sitam-e-ghair to nahin aapas mein kyuun hain bar-sar-e-paikaar ahl-e-shahr dekho yahaan kahin haram-o-dair to nahin ai shaikh sirf shikva-e-pindaar zohd hai varna mujhe janaab se kuchh bair to nahin mahv-e-khiraam ghuncha-o-gul dekh-bhaal kar paamaali-e-bahaar hai ye sair to nahin banda-navaaz aap aur izhaar-e-shukriya 'e'jaaz' aap kaa hai koi ghair to nahin"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"