SHAWORDS

raah ke pattharon se bhaari hai — Saeed Qais

HomeSaeed QaisGhazal
"raah ke pattharon se bhaari hai ham ne kyaa zindagi guzaari hai raat ulTi pahan ke sotaa huun hijraton kaa azaab jaari hai ham to baazi lagaa ke haar chuke dosto ab tumhaari baari hai mujh pe phulon kaa qarz hai main ne zindagi shaakh se utaari hai sochtaa huun ki thak gayaa huun main teri jaanib safar bhi jaari hai ye jo ham tum ko bhuul jaate hain ik taalluq ki ustuvaari hai ab zamaana badal gayaa hai 'qais' ab mohabbat bhi ikhtiyaari hai"
Urdu

راہ کے پتھروں سے بھاری ہے ہم نے کیا زندگی گزاری ہے رات الٹی پہن کے سوتا ہوں ہجرتوں کا عذاب جاری ہے ہم تو بازی لگا کے ہار چکے دوستو اب تمہاری باری ہے مجھ پہ پھولوں کا قرض ہے میں نے زندگی شاخ سے اتاری ہے سوچتا ہوں کہ تھک گیا ہوں میں تیری جانب سفر بھی جاری ہے یہ جو ہم تم کو بھول جاتے ہیں اک تعلق کی استواری ہے اب زمانہ بدل گیا ہے قیسؔ اب محبت بھی اختیاری ہے

Hindi

राह के पत्थरों से भारी है हम ने क्या ज़िंदगी गुज़ारी है रात उल्टी पहन के सोता हूँ हिजरतों का अज़ाब जारी है हम तो बाज़ी लगा के हार चुके दोस्तो अब तुम्हारी बारी है मुझ पे फूलों का क़र्ज़ है मैं ने ज़िंदगी शाख़ से उतारी है सोचता हूँ कि थक गया हूँ मैं तेरी जानिब सफ़र भी जारी है ये जो हम तुम को भूल जाते हैं इक तअ'ल्लुक़ की उस्तुवारी है अब ज़माना बदल गया है 'क़ैस' अब मोहब्बत भी इख़्तियारी है

raah ke pattharoñ se bhārī hai
Saeed Qais
Saeed Qais
Saeed Qais
poet16 quotes

More by Saeed Qais

View all →
Quote
"nazar mein rang samaae hue usi ke hain ye saare phuul ugaae hue usi ke hain usi ke lutf se basti nihaal hai saari tamaam peD lagaae hue usi ke hain usi ke husn ki parchhaaiyaan hain patton par zamin ne bojh uThaae hue usi ke hain vo jis ke qurb se harf-e-visaal hai raushan mire charaag jalaae hue usi ke hain ye baarishein bhi usi ki hain meri aaankhon mein ye abr zehn pe chhaae hue usi ke hain ye aagahi jo hamein yuun hamaare haal ki hai ye sab kamaal sikhaae hue usi ke hain ye toD-phoD ghazal mein usi ke naam ki hai ye saare shor machaae hue usi ke hain hamaare lahje mein jo ik miThaas hai baaqi hamein ye zahr pilaae hue usi ke hain ba-juz jamaal hamein aur kyaa dikhaai de nazar pe pahre biThaae hue usi ke hain usi jabin se nikaltaa hai 'qais' chaand miraa ye aasamaan sajaae hue usi ke hain"
Saeed QaisSaeed Qais
Quote
"dil bahak jaataa hai barsaat ke saath ham bigaD jaate hain haalaat ke saath vo muqaddas hai sahife ki tarah hifz ho jaataa hai aayaat ke saath kitne raushan hain dar-o-baam-e-khayaal ham chamakne lage zarraat ke saath dasht-e-jaan aur tire dard ki lau kaun guzraa hai miri raat ke saath ye ghanimat hai ki ham zinda hain log mar jaate hain aadaat ke saath koi tadbir falak ki na chali ham javaan ho gae aafaat ke saath maslahat sach nahin kahne deti log bikte hain karaamaat ke saath ek raghbat hai mai-e-naab se 'qais' ik taalluq hai kharaabaat ke saath"
Saeed QaisSaeed Qais
Quote
"khayaal-o-khvaab ki duniyaa kahaan hai tiri aankhein tiraa chehraa kahaan hai ham apne shauq mein Duube hue hain hamaare shahr mein dariyaa kahaan hai to saari justuju hi raaegaan thi vo ik lamha rifaaqat kaa kahaan hai har ik taare se jaa kar puchhtaa huun ye suraj raat ko jaataa kahaan hai ye kaisaa shor hai divaar-o-dar kaa hamaare ghar mein vo rahtaa kahaan hai abhi rusvaaiyaan to aur hongi abhi ham ne use sochaa kahaan hai agar ham ret ki divaar the to hamaare jism kaa malba kahaan hai talab ke raaste par aa gayaa huun bataao ab mujhe jaanaa kahaan hai muhalle-daar sab aaraam se hain mire ham-saae kaa kuttaa kahaan hai ye ham jo 'qais' hain bas naam ke hain hamaare sar mein vo saudaa kahaan hai"
Saeed QaisSaeed Qais
Quote
"aarzu-e-visaal-e-yaar karein kis ke aane kaa intizaar karein dard ke kis maqaam se guzrein apnaa dariyaa kahaan se paar karein kis se kis moD par bichhaD jaaein kaun saa hijr ikhtiyaar karein ye jo ik zakhm-e-jaan pas-e-jaan hai kis ke siine ke aar-paar karein fursat-e-shauq umr-e-aavaara aa tujhe aaj sharmsaar karein dil ki unchi machaan par baiThein aur koi aarzu shikaar karein masala ye hai kis havaale se koi khvaahish sipurd-e-yaar karein kaash tum roz hi mukar jaao kaash ham roz intizaar karein chaand chhat par zarur aaegaa meri aankhon kaa e'tibaar karein ek mushkil si aa paDi hai 'qais' teri aankhon pe kyaa nisaar karein"
Saeed QaisSaeed Qais
Quote
"chaand mashriq se nikaltaa nahin dekhaa main ne tujh ko dekhaa hai to tujh saa nahin dekhaa main ne haadisa jo bhi ho chup-chaap guzar jaataa hai dil se achchhaa koi rasta nahin dekhaa main ne phir dariche se vo khushbu nahin pahunchi mujh tak phir vo mausam kabhi dil kaa nahin dekhaa main ne mom kaa chaand hatheli pe liye phirtaa huun shahr mein dhuup kaa mela nahin dekhaa main ne chaDhte suraj ki shuaaon ne mujhe paalaa hai jo utar jaae vo dariyaa nahin dekhaa main ne phir mire paanv ki zanjir hilaa de koi kab se is shahr kaa rasta nahin dekhaa main ne mujh ko paani mein utarne ki sazaa detaa hai vo samajhtaa hai ki dariyaa nahin dekhaa main ne 'qais' kahte hain faqiron pe bahut bhaunktaa hai apne ham-saae kaa kuttaa nahin dekhaa main ne"
Saeed QaisSaeed Qais

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb