"dil-nashin hai naqsh teri shokhi-e-tahrir kaa miTnaa to anjaam hai har paikar-e-tasvir kaa zor-e-vahshat ho gayaa rusvaa sar-e-sahraa-e-shauq hans rahaa hai mujh pe har halqa miri zanjir kaa dekh kar mujh ko muqaabil dekh kar apnaa harif dekh le vo uD gayaa paani tiri shamshir kaa har shikan bistar ki hai aaina-daar-e-kaifiyat raat bhar jhagDaa rahaa taqdir se tadbir kaa apni barbaadi pe khush hone kaa kuchh saamaan kar koi pahlu DhunD le takhrib mein taamir kaa yaad aayegaa khudaa us ko mire marne ke baad main to imaan le ke Dubungaa but-e-be-pir kaa shaaeri tarz-e-sukhan mein 'khizr' kuchh aasaan nahin sher kah lenaa bhi to laanaa hai ju-e-shir kaa"
raahat-e-qalb-o-jigar garmi-e-baazaar se hai — Khizr Nagpuri
"raahat-e-qalb-o-jigar garmi-e-baazaar se hai aaj-kal ghar kaa tasavvur dar-o-divaar se hai zindagi hi ne nahin jhaTkaa hai daaman apnaa chaaraagar maut bhi ruThi hui bimaar se hai jaama-e-unsur-e-hasti ko kahin pheink aauun zindagaani ki musibat to inhi chaar se hai marham-e-talkhi-e-guftaar kahaan se laaun zakhm gahraa tire alfaaz kaa talvaar se hai kaar-e-vahshat ko sar-anjaam yahi to degaa kaam abhi ham ko bahut kuchh dil-e-be-kaar se hai chhoD detaa hai jahaan saans bhi insaan kaa saath ab safar ziist kaa us manzil-e-dushvaar se hai teraa andaaz-e-sukhan 'khizr' judaa hai sab se teri pahchaan hi zaalim tire ashaar se hai"
راحت قلب و جگر گرمئ بازار سے ہے آج کل گھر کا تصور در و دیوار سے ہے زندگی ہی نے نہیں جھٹکا ہے دامن اپنا چارہ گر موت بھی روٹھی ہوئی بیمار سے ہے جامۂ عنصر ہستی کو کہیں پھینک آؤں زندگانی کی مصیبت تو انہی چار سے ہے مرہم تلخیٔ گفتار کہاں سے لاؤں زخم گہرا ترے الفاظ کا تلوار سے ہے کار وحشت کو سرانجام یہی تو دے گا کام ابھی ہم کو بہت کچھ دل بے کار سے ہے چھوڑ دیتا ہے جہاں سانس بھی انسان کا ساتھ اب سفر زیست کا اس منزل دشوار سے ہے تیرا انداز سخن خضرؔ جدا ہے سب سے تیری پہچان ہی ظالم ترے اشعار سے ہے
राहत-ए-क़ल्ब-ओ-जिगर गर्मी-ए-बाज़ार से है आज-कल घर का तसव्वुर दर-ओ-दीवार से है ज़िंदगी ही ने नहीं झटका है दामन अपना चारागर मौत भी रूठी हुई बीमार से है जामा-ए-उंसुर-ए-हस्ती को कहीं फेंक आऊँ ज़िंदगानी की मुसीबत तो इन्ही चार से है मरहम-ए-तल्ख़ी-ए-गुफ़्तार कहाँ से लाऊँ ज़ख़्म गहरा तिरे अल्फ़ाज़ का तलवार से है कार-ए-वहशत को सर-अंजाम यही तो देगा काम अभी हम को बहुत कुछ दिल-ए-बे-कार से है छोड़ देता है जहाँ साँस भी इंसान का साथ अब सफ़र ज़ीस्त का उस मंज़िल-ए-दुश्वार से है तेरा अंदाज़-ए-सुख़न 'ख़िज़्र' जुदा है सब से तेरी पहचान ही ज़ालिम तिरे अशआ'र से है

More by Khizr Nagpuri
View all →"sinon mein anal-haq ki chubhan dekh rahaa huun ik silsila-e-daar-o-rasan dekh rahaa huun phir aai na ho shaamat-e-aamaal kisi ki phir vaqt ke maathe pe shikan dekh rahaa huun thoDi si bhi duniyaa mein sharaafat nahin baaqi muddat se zamaane kaa chalan dekh rahaa huun rahne do ye sab jhuTi mohabbat ke tamaashe kis ko hai yahaan kis ki lagan dekh rahaa huun pardaa nahin duniyaa mein kisi ko bhi kisi ki har shakhs ko apne hi magan dekh rahaa huun ik aag lagaa di miri rangini-e-dil ne main daagh-e-mohabbat ki jalan dekh rahaa huun taqrir ke andaaz tumhein 'khizr' mubaarak kis samt ko hai ru-e-sukhan dekh rahaa huun"
"nahin hai koi chaman qalb-e-daagh-daar ke baad yahaan khizaan nahin aati kabhi bahaar ke baad bahaar par thaa chaman thaa chaman mein josh-e-bahaar bahaar ke ye karishme the aur bahaar ke baad sukun-badosh ghaDi do hi guzri hain mujh par ik intizaar se pahle ik intizaar ke baad sataa le rindon ko vaaiz sataa le ji bhar ke rahegaa tu na kahin kaa khudaa ki maar ke baad kuchh aur josh mein laataa hai us ki rahmat ko gunaahgaar kaa aanaa gunaahgaar ke baad lataafaton ne bhi zakhmon pe mere chhiDkaa namak bataayaa rang har ik gul ne mujh ko khaar ke baad chhupaae baiThe the rusvaaiyon mein raaz-e-khudi ham aae saamne 'khizr' imtihaan-e-daar ke baad"
"ishrat ki haqiqat kyaa hasti ki musibat kyaa mere liye duniyaa mein ab ranj kyaa raahat kyaa uf vusat-e-sahraa-e-hasti ki ye kotaahi sab qaidi-e-zindaan hain main kyaa miri vahshat kyaa rouun to sukun paae taDpun to mazaa aae paai hai muqaddar se zaalim ne tabiat kyaa kis haal mein honaa thaa kis haal ko jaa pahunchi hai jins-e-vafaa teri baazaar mein qimat kyaa jab khud ko miTaa Daalaa ghar-baar luTaa Daalaa jab jaa ke ye jaanaa hai hoti hai muravvat kyaa aankhon se Tapak jaae yaa khaak mein mil jaae dil kyon rahe siine mein ab is ki zarurat kyaa ai 'khizr' dhaDaktaa hai dil kyon miraa rah rah kar hairaan huun bataaun bhi is baat ki baabat kyaa"
"dil jo baiThaa to iztiraab uThaa bazm-e-jaanaan ab inqalaab uThaa aaj vaaiz se baat karni hai saaqiyaa chal zaraa sharaab uThaa qaabiliyyat kaa roab Daalne ko koi moTi si ik kitaab uThaa raah chalte paDe bhi milte hain khuli aankhon se koi khvaab uThaa ranj uThaane ki un se Thahri thi ye kahaan se dil-e-kharaab uThaa kyaa charaaghon ko le ke baiThaa hai aa mire saath aaftaab uThaa ‘khizr’-e-mai-nosh mai-kada mein jhuuT chal qasam khaa uThaa sharaab uThaa"
"shab-e-hijraan ko bhagaane ki duaa kaunsi hai nahin Talti kisi surat ye balaa kaunsi hai zahr dene mein jhijak kyon hai tujhe chaaraagar dusri aur mire dukh ki davaa kaunsi hai dil hi dil mein jo hansaa karte ho chupke chupke baat main bhi to sunun aisi bhalaa kaunsi hai meri aankhon mein hai saaqi ki javaani kaa nasha mujh se puchho ki mai-e-hosh-rubaa kaunsi hai main sazaa-vaar-e-mohabbat huun miTaa de mujh ko kuchh khataa teri bhi nikle to sazaa kaunsi hai aaj-kal mujh se khafaa rahte hain ghairon se khush mere baare mein khudaa jaane havaa kaunsi hai 'khizr' ne raah bataa di mujhe but-khaane ki puchhaa thaa manzil-e-irfaan-e-khudaa kaunsi hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"