SHAWORDS

raat us ke saamne mere sivaa bhi main hi thaa — Ghulam Mohammad Qasir

"raat us ke saamne mere sivaa bhi main hi thaa sab se pahle main gayaa thaa dusraa bhi main hi thaa main mukhaalif samt mein chaltaa rahaa huun umr bhar aur jo us tak gayaa vo raasta bhi main hi thaa sab se kaT kar rah gayaa khud main simaT kar rah gayaa silsila TuuTaa kahaan se sochtaa bhi main hi thaa sab se achchhaa kah ke us ne mujh ko rukhsat kar diyaa jab yahaan aayaa to phir sab se buraa bhi main hi thaa vaqt ke mehraab mein jo be-sabab jaltaa rahaa raat ne mujh ko bataayaa vo diyaa bhi main hi thaa khud se milne ki tamannaa par zavaal aane ke baad vo samajhtaa hai ki us kaa aaina bhi main hi thaa"
Urdu

رات اس کے سامنے میرے سوا بھی میں ہی تھا سب سے پہلے میں گیا تھا دوسرا بھی میں ہی تھا میں مخالف سمت میں چلتا رہا ہوں عمر بھر اور جو اس تک گیا وہ راستہ بھی میں ہی تھا سب سے کٹ کر رہ گیا خود میں سمٹ کر رہ گیا سلسلہ ٹوٹا کہاں سے سوچتا بھی میں ہی تھا سب سے اچھا کہہ کے اس نے مجھ کو رخصت کر دیا جب یہاں آیا تو پھر سب سے برا بھی میں ہی تھا وقت کے محراب میں جو بے سبب جلتا رہا رات نے مجھ کو بتایا وہ دیا بھی میں ہی تھا خود سے ملنے کی تمنا پر زوال آنے کے بعد وہ سمجھتا ہے کہ اس کا آئنا بھی میں ہی تھا

Hindi

रात उस के सामने मेरे सिवा भी मैं ही था सब से पहले मैं गया था दूसरा भी मैं ही था मैं मुख़ालिफ़ सम्त में चलता रहा हूँ उम्र भर और जो उस तक गया वो रास्ता भी मैं ही था सब से कट कर रह गया ख़ुद मैं सिमट कर रह गया सिलसिला टूटा कहाँ से सोचता भी मैं ही था सब से अच्छा कह के उस ने मुझ को रुख़्सत कर दिया जब यहां आया तो फिर सब से बुरा भी मैं ही था वक़्त के मेहराब में जो बे-सबब जलता रहा रात ने मुझ को बताया वो दिया भी मैं ही था ख़ुद से मिलने की तमन्ना पर ज़वाल आने के बाद वो समझता है कि उस का आइना भी मैं ही था

raat us ke sāmne mere sivā bhī maiñ hī thā
Ghulam Mohammad Qasir
Ghulam Mohammad Qasir
Ghulam Mohammad Qasir
poet90 quotes

More by Ghulam Mohammad Qasir

View all →
Quote
"siina madfan ban jaataa hai jiite jaagte raazon kaa jaanchnaa zakhmon ki gahraai kaam nahin andaazon kaa saari chaabiyaan mere havaale kiin aur us ne itnaa kahaa aaThon pahar hifaazat karnaa shahr hai nau darvaazon kaa saamne ki aavaaz se mere har ik raabte mein haail daaein baaein phailaa lashkar anjaani aavaazon kaa aankhein aage baDhnaa chaahein pichhe rah jaati hai nazar palkon ki jhaalar pe numaayaan kaam sitaara-saazon kaa yuun to ek zamaana guzraa dil-dariyaa ko khushk hue phir bhi kisi ne suraagh na paayaa Duube hue jahaazon kaa"
Ghulam Mohammad QasirGhulam Mohammad Qasir
Quote
"khvaab kahaan se TuuTaa hai taabir se puchhte hain qaidi sab kuchh bhuul gayaa zanjir se puchhte hain jaam-e-jam laayaa hai ghar ghar duniyaa ke haalaat dil ki baatein ham teri tasvir se puchhte hain duniyaa kab karvaT badlegi kab jaageinge shahr kaisi baatein soe hue zamir se puchhte hain ham se na puchho kis jazbe ne tumhein kiyaa naakaam baadshaah aisi baatein apne vazir se puchhte hain ahd se kaun mukar jaaegaa taaron ko kyaa ilm likkhi nahin jo tu ne us tahrir se puchhte hain 'qaasir' ne to dekhaa hai ab tak faaqon kaa raqs jauhri taaqat kyaa hai jauhar-e-'mir' se puchhte hain"
Ghulam Mohammad QasirGhulam Mohammad Qasir
Quote
"milne ki har aas ke pichhe an-dekhi majburi thi raah mein dasht nahin paDtaa thaa chaar gharon ki duuri thi jazbon kaa dam ghuTne lagaa hai lafzon ke ambaar tale pahle nishaan-zad kar lenaa thaa jitni baat zaruri thi teri shakl ke ek sitaare ne pal bhar sargoshi ki shaayad maah-o-saal-e-vafaa ki bas itni mazduri thi pyaar gayaa to kaise milte rang se rang aur khvaab se khvaab ek mukammal ghar ke andar har tasvir adhuri thi ek ghazaal ko duur se dekhaa aur ghazal tayyaar hui sahme sahme se lafzon mein halki si kasturi thi"
Ghulam Mohammad QasirGhulam Mohammad Qasir
Quote
"ye jahaan-navard ki daastaan ye fasaana Dolte saae kaa mire sar-burida khayaal hain ki dhuaan hai suuni saraae kaa vo havaa kaa chupke se jhaanknaa kisi bhule bisre madaar se kahin ghar mein shahr ki zulmatein kahin chhat pe chaand kiraae kaa gil-e-maah ghumte chaak par kaf-e-kuza-gar se phisal gai ki bisaat-e-gardish-e-saal-o-sin yahi farq apne paraae kaa miraa nutq bhi hai nigaah bhi miri shaairi kaa gavaah bhi tiri dosti ke mahaaz par vo laraztaa aks kinaae kaa ki usi ke naam tak aae the ye sadaa-o-sidq ke silsile vahi shakhs jis ne tire liye kiyaa qatl sochti raae kaa"
Ghulam Mohammad QasirGhulam Mohammad Qasir
Quote
"ban se fasil-e-shahr tak koi savaar bhi nahin kis ko biThaaein takht par gard-o-ghubaar bhi nahin barg-o-gul-o-tuyur sab shaakhon ki samt uD gae qasr-e-jahaan-panaah mein naqsh-o-nigaar bhi nahin saayon ki zad mein aa gaiin saari ghulaam-gardishein ab to kaniz ke liye raah-e-faraar bhi nahin maile libaas ki duaa pahunche shabih-e-shaakh tak shaahon ke paaein baagh mein aisaa mazaar bhi nahin kal hama-tan jamaal the aaine hasb-e-haal the sunte hain ab vo khaal-o-khad aks ke paar bhi nahin"
Ghulam Mohammad QasirGhulam Mohammad Qasir

More on Khudi

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar