SHAWORDS

raaz-e-chashm-e-mai-gun hai kaif-e-muddaaa meraa — Ali Manzoor Hyderabadi

"raaz-e-chashm-e-mai-gun hai kaif-e-muddaaa meraa ghair ki nazar se hai duur mai-kadaa meraa vaaste ki khubi ne sahl manzilein kar diin husn ishq kaa rahbar ishq rahnumaa meraa kar diyaa mujhe be-khud un ki be-niyaazi ne kah rahaa huun khud un se dil sambhaalnaa meraa haae khauf-e-badnaami vaae fikr-e-naakaami bevafaa ke haathon mein haasil-e-vafaa meraa lutf-e-khalvat-o-jalvat ham na paa sake lekin dhuum har taraf un ki zikr jaa-ba-jaa meraa tarz-e-vaalihaana ki daad kab mili mujh ko naaz-e-dost kab niklaa surat-aashnaa meraa sochne lagegi kuchh teri khush-nigaahi bhi raaegaan na jaaegaa yuun hi dekhnaa meraa main ne jab kabhi dekhaa sar jhukaa liyaa tu ne tu ne jab kabhi dekhaa dil taDap gayaa meraa ishrat-e-hijaab az-khud chaarasaaz-e-dil kyaa ho saaz ho jab ai zaalim soz-aashnaa meraa meri khasta-haali ne sai-e-khud-shanaasi ki un ki khud-numaai ne jab kiyaa gila meraa hai jo hazrat-e-'manzur' e'tibaar-e-in-o-aan izn-e-be-khudi le kar puchhiye pataa meraa"
Urdu

راز چشم مے گوں ہے کیف مدعا میرا غیر کی نظر سے ہے دور میکدہ میرا واسطے کی خوبی نے سہل منزلیں کر دیں حسن عشق کا رہبر عشق رہنما میرا کر دیا مجھے بے خود ان کی بے نیازی نے کہہ رہا ہوں خود ان سے دل سنبھالنا میرا ہائے خوف بدنامی وائے فکر ناکامی بے وفا کے ہاتھوں میں حاصل وفا میرا لطف خلوت و جلوت ہم نہ پا سکے لیکن دھوم ہر طرف ان کی ذکر جا بہ جا میرا طرز والہانہ کی داد کب ملی مجھ کو ناز دوست کب نکلا صورت آشنا میرا سوچنے لگے گی کچھ تیری خوش نگاہی بھی رائیگاں نہ جائے گا یوں ہی دیکھنا میرا میں نے جب کبھی دیکھا سر جھکا لیا تو نے تو نے جب کبھی دیکھا دل تڑپ گیا میرا عشرت حجاب از خود چارہ ساز دل کیا ہو ساز ہو جب اے ظالم سوز آشنا میرا میری خستہ حالی نے سعیٔ خود شناسی کی ان کی خود نمائی نے جب کیا گلہ میرا ہے جو حضرت منظورؔ اعتبار ایں و آں اذن بے خودی لے کر پوچھئے پتا میرا

Hindi

राज़-ए-चश्म-ए-मय-गूँ है कैफ़-ए-मुद्दआ' मेरा ग़ैर की नज़र से है दूर मै-कदा मेरा वास्ते की ख़ूबी ने सहल मंज़िलें कर दीं हुस्न इश्क़ का रहबर इश्क़ रहनुमा मेरा कर दिया मुझे बे-ख़ुद उन की बे-नियाज़ी ने कह रहा हूँ ख़ुद उन से दिल सँभालना मेरा हाए ख़ौफ़-ए-बदनामी वाए फ़िक्र-ए-नाकामी बेवफ़ा के हाथों में हासिल-ए-वफ़ा मेरा लुत्फ़-ए-ख़ल्वत-ओ-जल्वत हम न पा सके लेकिन धूम हर तरफ़ उन की ज़िक्र जा-ब-जा मेरा तर्ज़-ए-वालिहाना की दाद कब मिली मुझ को नाज़-ए-दोस्त कब निकला सूरत-आश्ना मेरा सोचने लगेगी कुछ तेरी ख़ुश-निगाही भी राएगाँ न जाएगा यूँ ही देखना मेरा मैं ने जब कभी देखा सर झुका लिया तू ने तू ने जब कभी देखा दिल तड़प गया मेरा इशरत-ए-हिजाब अज़-ख़ुद चारासाज़-ए-दिल क्या हो साज़ हो जब ऐ ज़ालिम सोज़-आश्ना मेरा मेरी ख़स्ता-हाली ने सई-ए-ख़ुद-शनासी की उन की ख़ुद-नुमाई ने जब किया गिला मेरा है जो हज़रत-ए-'मंज़ूर' ए'तिबार-ए-ईं-ओ-आँ इज़्न-ए-बे-ख़ुदी ले कर पूछिए पता मेरा

rāz-e-chashm-e-mai-gūñ hai kaif-e-mudda.ā merā
Ali Manzoor Hyderabadi
Ali Manzoor Hyderabadi
Ali Manzoor Hyderabadi
poet14 quotes

More by Ali Manzoor Hyderabadi

View all →
Quote
"husn un kaa apne zauq-e-did mein paataa huun main saamne ho kar vo chhupte hain taDap jaataa huun main ishrat-e-jalva bhi ho jaae jahaan hairat-zada ai khayaal-e-dost us manzil pe ghabraataa huun main dekhtaa huun apne gham-khvaaron ki jab be-dardiyaan husn-e-be-parda ki rah rah kar qasam khaataa huun main intizaar us kaa hai kitnaa jaan-gusil kyunkar kahun khat mein jis kaa naam hi likh kar taDap jaataa huun main kab sanbhalne degi ghash se un ki chashm-e-barq-paash muzhda baad ai be-khudi aate hain vo jaataa huun main be-khayaali mein kabhi apni zabaan-e-haal se khasta-haali ke maze un ko bhi samjhaataa huun main aah ab tak ki nahin sair-e-bahaaristaan-e-dil ik khayaali rau mein ai hamdam bahaa jaataa huun main hairat-afzaa hai miraa ishq-e-mohabbat-aafrin khud hi ab muztar nahin un ko bhi taDpaataa huun main raasta chhoD ai taghaaful mere ghar aate hain vo rahbari kar ai tamannaa un ke ghar jaataa huun main hairat-e-mashq-e-tasavvur kho na de mujh ko kahin saamne apne tujhe ai dil-nashin paataa huun main laa rahi hai un ki chashm-e-lutf 'ishrat ke payaam dekh ai 'manzur' ab kaisaa nazar aataa huun main"
Ali Manzoor HyderabadiAli Manzoor Hyderabadi
Quote
"ai kashmakash-e-ulfat ji sakht pareshaan hai marne ki bhi hasrat hai jiine kaa bhi armaan hai saahil se nahin lagti gharqaab nahin hoti kashti hai thapeDon mein ye bhi koi tufaan hai main kyaa miri ulfat kyaa tu aur mujhe puchhe bas ai sitam-aaraa bas hasrat hai na armaan hai ye mauj-e-tabassum kyaa zaalim ise dho degi jo rang-e-pashemaani chehra se numaayaan hai maghrur-e-mohabbat huun khud meri nigaahon mein ye be-sar-o-saamaani raaz-e-sar-o-saamaan hai is husn-e-mujassam ki sharmili adaaon kaa ehsaas-e-mohabbat bhi sharminda-e-ehsaan hai 'manzur' use rukhsat kis dil se karungaa main dhaDkaa hai yahi har dam jab se ki vo mehmaan hai"
Ali Manzoor HyderabadiAli Manzoor Hyderabadi
Quote
"gham kaa gumaan yaqin-e-tarab se badal gayaa ehsaas-e-ishq husn ke saanche mein Dhal gayaa saath un ke le rahaa huun main gul-gasht ke maze ye khvaab hi sahi miraa ji to bahal gayaa majbur-e-ishq chashm-e-fusun-saaz se huun main jaadu mujhi pe dost kaa chalnaa thaa chal gayaa main intizaar-e-eid mein thaa eid aa gai armaan-e-did daaman-e-ishrat mein pal gayaa hai barq-e-jalva yaad magar ye nahin hai yaad khirman mire ghurur kaa kis vaqt jal gayaa paimaan-e-ishq-o-husn ki tajdid ke sivaa jo bhi khayaal zehn mein aayaa nikal gayaa baDhte chale hain aae din asbaab-e-iztiraab yaadash-ba-khair aaj kaa vaada bhi Tal gayaa 'manzur' kis zabaan se buton ko buraa kahein imaan hamaaraa kufr ke daaman mein pal gayaa"
Ali Manzoor HyderabadiAli Manzoor Hyderabadi
Quote
"puchho na kuchh subut-e-khirad main ne kyaa diyaa ek mast-e-naaz ko dil-e-be-muddaaa diyaa ab kyaa gila karun adam-e-iltifaat kaa meri nigaah-e-yaas ne sab kuchh jataa diyaa baDhte hue shuur mein gum ho rahaa huun main ehsaas-e-husn aap ne itnaa baDhaa diyaa dekhi na jab tajalli-e-takraar-aashnaa be-rangiyon kaa rang khudi ne jamaa diyaa hai shaad be-dili pe tahi-dast-e-aarzu achchhaa kiyaa nishaan-e-tamannaa miTaa diyaa maayus-e-jalva-ha-e-tarab huun khabar nahin dil khud hi bujh gayaa ki kisi ne bujhaa diyaa kyaa lutf-e-iztiraab dikhaaun ki aap ne ehsaa-e-dard dard se pahle miTaa diyaa anjaam-e-did-o-eid ab ai ham-nashin na puchh vo mujh ko yaad hai mujhe jis ne bhulaa diyaa maalum thaa tujhe ki vo dard-aashnaa nahin 'manzur' dil kaa dard unhein bhi sunaa diyaa"
Ali Manzoor HyderabadiAli Manzoor Hyderabadi
Quote
"barham-kun-e-dil yuun kabhi barham na huaa thaa hairat-asar aisaa miraa aalam na huaa thaa un shokh nigaahon ne taDap aur baDhaa di allaah abhi dard-e-jigar kam na huaa thaa ab bhi mujhe khuddaari-e-jaanaan mein nahin shak pahle bhi miraa dil mutavahham na huaa thaa ai pir-e-mughaan us ki baqaa mein mujhe shak hai vaaqif asar-e-jaam se kyaa jam na huaa thaa vo shokh mujhe dekh ke yuun sharm se jhuk jaae jis kaa sar-e-maghrur kabhi kham na huaa thaa is kam-nigahi ne to mujhe maar hi Daalaa aisaa asar ai pursish-e-paiham na huaa thaa mashhur vo 'manzur' hai jis ke liye kal tak sarmaa-e-shohrat hi faraaham na huaa thaa"
Ali Manzoor HyderabadiAli Manzoor Hyderabadi
Quote
"jis ke imaan par but-e-kaafar hanse allaah allaah vo hanse kyunkar hanse husn-e-maah-o-maahvash sehr-aafrin haae jaadugar pe jaadugar hanse qulqul-e-minaa dikhaae jab asar main hansun saaqi hanse saaghar hanse kyunkar aati hai hansi kis ko khabar un pe main hairaan huun jo mujh par hanse ik pate ki baat kahtaa huun suno koi hans kar roe yaa ro kar hanse ik pata ki baat kahtaa huun suno koi hans kar roe yaaro kar hanse phabtiyaan kahne pe main aauun agar vaaiz-e-zishaan sar-e-mimbar hanse kyaa khabar 'manzur' hai kis dhyaan mein vo to vo zaahid farishton par hanse"
Ali Manzoor HyderabadiAli Manzoor Hyderabadi

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aisaa to yahaan kuchh bhi nahin hadd-e-nazar tak ham ko to pahunchnaa thaa kisi khvaab-nagar tak ab paanv nahin raah mein dil thakne lagaa hai lekin hamein chalnaa to hai anjaam-e-safar tak ham shor bhi sunte hain samaaat se bahut kam aavaaz bhi jaati hai to bas hadd-e-nazar tak mumkin hai main ab sabr kaa ye peD giraa duun jab haath pahunchtaa hi nahin shaakh-e-samar tak ham apne hi mausam se parakhte hain jahaan ko maahaul kaa lete hi nahin koi asar tak main apne hi andar ki taraf chikh rahaa huun ab dekhiye jaati hai ye aavaaz kidhar tak"
N
Naeem Sameer