SHAWORDS

raaz ko apne dil mein rakho — Badr Muneer

HomeBadr MuneerGhazal
"raaz ko apne dil mein rakho duniyaa ko mushkil mein rakho sochein hon parvaaz mein lekin jaDon ko aab-o-gil mein rakho husn agar hai be-paayaan to is ko aankh ke til mein rakho us ki yaad ke ujiyaaron ko ashkon ki jhilmil mein rakho us mahtaab-sifat surat ko sapnon ki mahfil mein rakho maazi ko chhoDo maazi mein haal ko mustaqbil mein rakho achchhe yaar aur un ki yaadein jivan ke haasil mein rakho"
Urdu

راز کو اپنے دل میں رکھو دنیا کو مشکل میں رکھو سوچیں ہوں پرواز میں لیکن جڑوں کو آب و گل میں رکھو حسن اگر ہے بے پایاں تو اس کو آنکھ کے تل میں رکھو اس کی یاد کے اجیاروں کو اشکوں کی جھلمل میں رکھو اس مہتاب صفت صورت کو سپنوں کی محفل میں رکھو ماضی کو چھوڑو ماضی میں حال کو مستقبل میں رکھو اچھے یار اور ان کی یادیں جیون کے حاصل میں رکھو

Hindi

राज़ को अपने दिल में रखो दुनिया को मुश्किल में रखो सोचें हों परवाज़ में लेकिन जड़ों को आब-ओ-गिल में रखो हुस्न अगर है बे-पायाँ तो इस को आँख के तिल में रखो उस की याद के उजियारों को अश्कों की झिलमिल में रखो उस महताब-सिफ़त सूरत को सपनों की महफ़िल में रखो माज़ी को छोड़ो माज़ी में हाल को मुस्तक़बिल में रखो अच्छे यार और उन की यादें जीवन के हासिल में रखो

raaz ko apne dil meñ rakho
Badr Muneer
Badr Muneer
Badr Muneer
poet92 quotes

More by Badr Muneer

View all →
Quote
"vahshat-e-baam-o-dar se bhaagte hain jab kabhi apne ghar se bhaagte hain haath maltaa hai dida-e-hairaan log itnaa hunar se bhaagte hain jis mein kuchh bhi buraa nahin lagtaa aise husn-e-nazar se bhaagte hain mere is shahr-e-be-yaqin ke log shor se aur shar se bhaagte hain aisaa badlaa mizaaj-e-aab-o-havaa peD apne samar se bhaagte hain qahqahon mein jo the sharik vahi ab miri chashm-e-tar se bhaagte hain 'badr' ham hain ghazaal-e-dasht-e-junun vo jidhar ho udhar se bhaagte hain"
Badr MuneerBadr Muneer
Quote
"kalaam apnaa tabhi to aksar se mukhtalif hai jo sochte hain vo pesh-e-manzar se mukhtalif hai kahaan se ham apni gardishon kaa javaaz DhunDein hamaaraa mehvar zamin ke mehvar se mukhtalif hai isi liye to qubuliyat ke hain dar muqaffal du'aa tumhaari mire muqaddar se mukhtalif hai tabhi to baiThe hain manzaron par jamaae aankhein jo un kaa zaahir hai un ke andar se mukhtalif hai taraashte hain jo aazaraan-e-khayaal aksar vo ek paikar tumhaare paikar se mukhtalif hai 'munir' donon hain nilgun vus'aton ke haamil magar samandar kaa khvaab ambar se mukhtalif hai"
Badr MuneerBadr Muneer
Quote
"hiddat-o-habs pe tanqid nahin kar sakte kyon ham aisaa mire khurshid nahin kar sakte karni paD jaae vazaahat pe vazaahat lekin ham tiri baat ki tardid nahin kar sakte jab tiraa saamnaa hotaa hai to ai sehr-jamaal 'arz kar sakte hain taakid nahin kar sakte misl-e-auraaq-e-pareshaan hai kitaab-e-hasti nuskha-e-dard ki tasvid nahin kar sakte jo mohabbat ki haqiqat se karein sarf-e-nazar vo kabhi 'ahd ki tajdid nahin kar sakte zahr piinaa to baDi duur kaa qissa hai 'munir' log sachchaai ki taaid nahin kar sakte"
Badr MuneerBadr Muneer
Quote
"dekh lete ho mohabbat se yahi kaafi hai dil dhaDaktaa hai suhulat se yahi kaafi hai muddaton se nahin dekhaa tiraa jalva lekin yaad aa jaate ho shiddat se yahi kaafi hai jo bhi raste mein guzartaa hai mire pahlu se dekhtaa hai tiri nisbat se yahi kaafi hai mere aangan mein utartaa nahin vo chaand kabhi dekh lete hain use chhat se yahi kaafi hai saari duniyaa se ulajhte hain magar teraa kahaa maan lete hain sharaafat se yahi kaafi hai haal duniyaa ke sataae hue kuchh logon kaa puchh lete ho sharaarat se yahi kaafi hai kyaa huaa ham ko mayassar jo zar-o-maal nahin kaT rahi hai baDi 'izzat se yahi kaafi hai aaj ke ‘ahd-e-taghaaful mein kisi dar pe 'munir' koi aa jaae zarurat se yahi kaafi hai"
Badr MuneerBadr Muneer
Quote
"vafur-e-ishtiyaaq mein zabaan se kyaa nikal gayaa phir us ke baa'd bazm kaa mizaaj hi badal gayaa idhar-udhar ke log to kareinge us ki parvarish zaraa saa koi khauf bhi agar dilon mein pal gayaa hamaari raat jagmagaa rahi hai aab-o-taab se zamin kaa chaand aasmaan ke chaand ko nigal gayaa makaan se makaan to hue hain muttasil magar khulus jis kaa naam thaa vo shahr se nikal gayaa ye bhed puure shahr ko diyaa hai main ne is liye ki hote hote baat kaa pata use bhi chal gayaa na-jaane us ghaDi thi kyaa dil-o-nazar ki kaifiyat chhuaa jo main ne phuul ko to meraa haath jal gayaa"
Badr MuneerBadr Muneer

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar