Quote
"jo jahaan ke aaina hain dil unhon ke saada hain dil mein jaa dene ko vo har ek ke aamaada hain qatl se aashiq ke tu ne ab to khaai hai qasam aakhir ai qaatil ye baatein pesh-paa-uftaada hain kal ke din jo gird mai-khaane ke phirte the kharaab aaj masjid mein jo dekhaa saahab-e-sajjaada hain band mein mutlaq jo mujh ko khatra-e-sayyaad ho huun asir-e-daam par vazaein miri aazaada hain raah-paimaayaan-e-aqlim-e-adam se yaadgaar daaman-e-sahraa mein ab baaqi nuqush-e-jaada hain chashm-e-saaqi ke liye hain tegh-e-abru dosh par lag na chal un se 'baqaa' ye turk mast-e-baada hain"
B
Baqaullah 'Baqa'