SHAWORDS

rishta khujiyaayaa huaa kuttaa hai — Fazl Tabish

HomeFazl TabishGhazal
"rishta khujiyaayaa huaa kuttaa hai ek kone mein paTak rakkhaa hai raat ko khvaab bahut dekhe hain aaj gham kal se zaraa halkaa hai main use yunhi bachaa detaa huun vo nishaane pe khinchaa baiThaa hai jab bhi chukoge phisal jaaegaa haan vo girne pe tulaa baiThaa hai raat suraj ko nigal hi legi phir bhi din apni jagah baDhiyaa hai kaun se jalte dinon ki baatein tum ne suraj hi kahaan dekhaa hai"
Urdu

رشتہ کھجیایا ہوا کتا ہے ایک کونے میں پٹک رکھا ہے رات کو خواب بہت دیکھے ہیں آج غم کل سے ذرا ہلکا ہے میں اسے یوں ہی بچا دیتا ہوں وہ نشانے پہ کھنچا بیٹھا ہے جب بھی چوکو گے پھسل جائے گا ہاں وہ گرنے پہ تلا بیٹھا ہے رات سورج کو نگل ہی لے گی پھر بھی دن اپنی جگہ بڑھیا ہے کون سے جلتے دنوں کی باتیں تم نے سورج ہی کہاں دیکھا ہے

Hindi

रिश्ता खुजियाया हुआ कुत्ता है एक कोने में पटक रक्खा है रात को ख़्वाब बहुत देखे हैं आज ग़म कल से ज़रा हल्का है मैं उसे यूँही बचा देता हूँ वो निशाने पे खिंचा बैठा है जब भी चूकोगे फिसल जाएगा हाँ वो गिरने पे तुला बैठा है रात सूरज को निगल ही लेगी फिर भी दिन अपनी जगह बढ़िया है कौन से जलते दिनों की बातें तुम ने सूरज ही कहाँ देखा है

rishta khujiyāyā huā kuttā hai
Fazl Tabish
Fazl Tabish
Fazl Tabish
poet24 quotes

More by Fazl Tabish

View all →
Quote
"jin khvaabon se niind uD jaae aise khvaab sajaae kaun ik pal jhuTi taskin paa kar saari raat ganvaae kaun ye tanhaai ye sannaaTaa dil ko magar samjhaae kaun itni bhayaanak raat mein aakhir milne vaalaa aae kaun sunte hain ki in raahon mein majnun aur farhaad luTe lekin ab aadhe raste se lauT ke vaapas jaae kaun sunte samajhte hon to un se koi apni baat kahe gungon aur bahron ke aage Dhol bajaane jaae kaun us mahfil mein log hain jitne sab ko apnaa ronaa hai 'taabish' main khaamosh-tabiat meraa haal sunaae kaun"
Fazl TabishFazl Tabish
Quote
"na kar shumaar ki har shai gini nahin jaati ye zindagi hai hisaabon se ji nahin jaati ye narm lahja ye rangini-e-bayaan ye khulus magar laDaai to aise laDi nahin jaati sulagte din mein thi baahar badan mein shab ko rahi bichhaD ke mujh se bas ik tirgi nahin jaati naqaab Daal do jalte udaas suraj par andhere jism mein kyuun raushni nahin jaati har ek raah sulagte hue manaazir hain magar ye baat kisi se kahi nahin jaati machalte paani mein unchaai ki talaash fuzul pahaaD par to koi bhi nadi nahin jaati"
Fazl TabishFazl Tabish
Quote
"milon ke shahr mein ghaTtaa huaa din sochtaa hogaa dhuein ko jitne vaalon kaa suraj dusraa hogaa agar mar kar phir uThnaa hai to marne ki khushi kyaa hai badan khone kaa gham jiine ki khushiyon se sivaa hogaa sunaa hai ye zamin uDti phiregi ruui ki surat tamaashaa karne vaalaa hi tamaashaa dekhtaa hogaa main chiDiyon ko ulajhte dekh kar laDtaa samajhtaa huun magar sachchaai kyaa hai ye unhin se puchhnaa hogaa tumhaaraa jism meri aag mein tap kar nikhartaa hai magar ik roz meraa jism ThanDaa paD gayaa hogaa mujhe khushbu lapeTe jism kuchh achchhe nahin lagte magar us ko miraa khaali badan bhi kaaTtaa hogaa"
Fazl TabishFazl Tabish

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud