SHAWORDS

saans lenaa bhi baar hotaa hai — Ajiz Matvi

HomeAjiz MatviGhazal
"saans lenaa bhi baar hotaa hai jab tiraa intizaar hotaa hai aataa hai jab bahaar kaa mausam jab junun ustuvaar hotaa hai zikr kyaa daaman-o-garebaan kaa pairahan taar taar hotaa hai aap rone se mana karte hain rone par ikhtiyaar hotaa hai hai haqiqat yahi ki har chehra dil kaa aaina-daar hotaa hai ai mire dil sukun sukun hai magar intishaar intishaar hotaa hai raas aati nahin khushi us ko jis ko gham naagavaar hotaa hai sun ke 'aajiz' vo sar-guzasht miri jaane kyuun ashk-baar hotaa hai"
Urdu

سانس لینا بھی بار ہوتا ہے جب ترا انتظار ہوتا ہے آتا ہے جب بہار کا موسم جب جنوں استوار ہوتا ہے ذکر کیا دامن و گریباں کا پیرہن تار تار ہوتا ہے آپ رونے سے منع کرتے ہیں رونے پر اختیار ہوتا ہے ہے حقیقت یہی کہ ہر چہرہ دل کا آئینہ دار ہوتا ہے اے مرے دل سکوں سکوں ہے مگر انتشار انتشار ہوتا ہے راس آتی نہیں خوشی اس کو جس کو غم ناگوار ہوتا ہے سن کے عاجزؔ وہ سر گذشت مری جانے کیوں اشک بار ہوتا ہے

Hindi

साँस लेना भी बार होता है जब तिरा इंतिज़ार होता है आता है जब बहार का मौसम जब जुनूँ उस्तुवार होता है ज़िक्र क्या दामन-ओ-गरेबाँ का पैरहन तार तार होता है आप रोने से मनअ' करते हैं रोने पर इख़्तियार होता है है हक़ीक़त यही कि हर चेहरा दिल का आईना-दार होता है ऐ मिरे दिल सुकूँ सुकूँ है मगर इंतिशार इंतिशार होता है रास आती नहीं ख़ुशी उस को जिस को ग़म नागवार होता है सुन के 'आजिज़' वो सर-गुज़श्त मिरी जाने क्यूँ अश्क-बार होता है

saañs lenā bhī baar hotā hai
Ajiz Matvi
Ajiz Matvi
Ajiz Matvi
poet32 quotes

More by Ajiz Matvi

View all →
Quote
"hasratein aa aa ke jama ho rahi hain dil ke paas kaarvaan goyaa pahunchne vaalaa hai manzil ke paas biich mein jab tak thiin maujein un mein shorish thi bahut intishaar un mein huaa jab aa gaiin saahil ke paas nazr-e-qaatil jaan jab kar di to baaqi kyaa rahaa ab taDapne ke alaava hai hi kyaa bismil ke paas gharq kar dein meri kashti phir ye maujein dekhnaa hashr tak paTkaa kareingi apnaa sar saahil ke paas bhiik denaa to kujaa kaasa bhi us ne le liyaa main ab ik hasrat-zada huun kyaa hai mujh saail ke paas ek ham hain ham ne kashti Daal di gardaab mein ek tum ho Darte ho aate hue saahil ke paas khair ho 'aajiz' kahin aisaa na ho dil Duub jaae ishq ke dariyaa mein halchal ho rahi hai dil ke paas"
Ajiz MatviAjiz Matvi
Quote
"dard-e-musalsal se aahon mein paidaa vo taasir hui aksar chaaragaron ki haalat mujh se sivaa gambhir hui kyaa jaane kyuun mujh se meri bargashta taqdir hui mamlikat-e-aish aankh jhapakte hi gham ki jaagir hui us ne mere shisha-e-dil ko dekh ke kyuun munh moD liyaa shaayad is aaine mein us ko zaahir koi lakir hui jab bhi likkhaa haal-e-dil-e-muztar main ne us ko raat gae taa-ba-sahar ashk-afshaani se zaaea vo tahrir hui baDhti jaati hai duri-e-manzil jab se junun ne chhoDaa saath ab to khirad har gaam par apne pairon ki zanjir hui mujh ko ataa karte vo yaqinan meri talab se sivaa lekin khuddaari mein haath na phailaa sharm jo daaman-gir hui kis ko khabar hai un ki gali mein kitne dilon kaa khuun huaa raanaai mein un ki gali jab vaadi-e-kashmir hui un se karun izhaar-e-tamannaa sochaa rakh kar uzr-e-junun lekin vo bhi raas na aayaa laa-haasil tadbir hui Tap-Tap aankh se aansu Tapke 'aajiz' aah-e-sard ke saath mere saamne nazr-e-aatish jab meri tasvir hui"
Ajiz MatviAjiz Matvi
Quote
"jaam to jaam mai-e-hosh-rubaa bhi badli saath hi rindon ke piine ki adaa bhi badli fasl-e-gul badli sabaa badli fazaa bhi badli aap badle to gulistaan ki havaa bhi badli TuuT jaaegaa yaqinan dil-e-mai-khvaar agar nigah-e-saaqi-e-mai-khaana zaraa bhi badli bazm-e-yaaraan mein sadaa se mujhe pahchaantaa kaun mere haalaat jo badle to sadaa bhi badli aaj tak us ne to vaada koi iifaa na kiyaa jaane kyaa soch ke phir shart-e-vafaa bhi badli hone lagtaa hai kuchh ehsaas shikast-e-tauba baada-khaane pe agar chhaai zaraa bhi badli vaqt ke saath badal jaati hai har shai 'aajiz' aap to badle magar khu-e-jafaa bhi badli"
Ajiz MatviAjiz Matvi
Quote
"har-qadam marhala-e-sabr-o-razaa ho jaise zindagi maarka-e-karb-o-balaa ho jaise yuun guzar jaate hain duniyaa se adam ke raahi rah mein naqsh-e-qadam-e-raah-numaa ho jaise chup hue jaate hain yuun dekh ke surat meri haal meraa mire chehre pe likhaa ho jaise is tarah kaaT rahaa huun main shab-e-roz-o-hayaat har-nafas apne liye ek sazaa ho jaise dasht mein jalti hain taa-hadd-e-nazar yuun shamein sar-e-har-khaar pe khun-e-shohadaa ho jaise rind jhijhke to balaa-noshon ne mahsus kiyaa mai nahin jaam mein khun-e-ghurabaa ho jaise yuun shafaq-rang si hai aaj gulistaan ki zamin barahna-paa koi kaanTon pe chalaa ho jaise har zabaan par mire miTne ke hain charche lekin un ke nazdik to kuchh bhi na huaa ho jaise aaj is andaaz se aai mujhe hichki 'aajiz' bhulne vaale ne phir yaad kiyaa ho jaise"
Ajiz MatviAjiz Matvi
Quote
"bahaaron se khizaan tak yunhi sair-e-gulsitaan kar ke rafu karte rahe ham jeb-o-dastaan dhajjiyaan kar ke milegaa kyaa tujhe sayyaad mujh ko be-zabaan kar ke sukun-e-qalb miltaa hai mujhe aah-o-fughaan kar ke chaman ko raushni di nazr-e-aatish aashiyaan kar ke kiyaa ye tajraba ham ne ghar apnaa raaegaan kar ke haqiqat mein karam tum ne kiyaa hai haq-shanaason par har ik ko vaaqif-e-rasm-e-jabin-o-aastaan kar ke uThaa paae na ham lutf-e-bahaaraan mausam-e-gul mein kahaan gum ho gai parvaaz qaid-e-aashiyaan kar ke ab aisi zindagi se maut aa jaati to behtar thaa hui tazhik apni daastaan-e-dil bayaan kar ke agar tafsil se kahtaa to vo shaayad samajh jaate main ab pachhtaa rahaa huun ikhtisaar-e-daastaan kar ke bhaTakte rahte yunhi aur na paate 'umr-bhar manzil baDaa ehsaan kiyaa tum ne sharik-e-kaarvaan kar ke samajh mein aa gai un ki khas-o-khaashaak ki 'azmat gai hain bijliyaan aakhir tavaaf-e-aashiyaan kar ke zahe mashq-e-tasavvur ham unhein dekhaa hi karte hain chhupein chaahe jahaan vo parda-haa-e-darmiyaan kar ke samundar phir hilore legaa tahzib-o-tamaddun kaa zaraa dekho to 'aajiz' shaamil-e-urdu-zabaan kar ke"
Ajiz MatviAjiz Matvi
Quote
"kuchh saazgaar jab mire haalaat bhi nahin aise mein mere sar pe tiraa baat bhi nahin mushtaaq-e-did bhi nahin ye tarfa baat hai dil mein khayaal-e-tark-e-mulaaqaat bhi nahin kahtaa nahin main aap ko begaana-khu magar pahle si mujh pe lutf-o-inaayaat bhi nahin mujh ko banaayaa mumlikat-e-gham kaa taajdaar aur mere lab pe shukr ke kalmaat bhi nahin kis se karun umiid main haajat-ravaai ki juz tere koi qibla-e-haajaat bhi nahin saaqi ne bhi mujhe nazar-andaaz kar diyaa mujh par nigaah-e-mir-e-kharaabaat bhi nahin 'aajiz' huun khat likhun to unhein kis tarah likhun kaaghaz nahin qalam nahin daavaat bhi nahin"
Ajiz MatviAjiz Matvi

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud