SHAWORDS

sab tamannaaon se khvaabon se nikal aae hain — Iqbal Ashhar Quraishi

"sab tamannaaon se khvaabon se nikal aae hain ham bahut duur saraabon se nikal aae hain khud ko jab bhuul se jaate hain to yuun lagtaa hai zindagi tere azaabon se nikal aae hain raushni mujh ko mili hai to zaraa jaanch to luun aaj sab chehre naqaabon se nikal aae hain ham nikal aae bahisht-e-shab-e-tanhaai se aur kuchh log hijaabon se nikal aae hain ham bhi is shahr ki viraan si raunaq mein kahaan apne maanus kharaabon se nikal aae hain"
Urdu

سب تمناؤں سے خوابوں سے نکل آئے ہیں ہم بہت دور سرابوں سے نکل آئے ہیں خود کو جب بھول سے جاتے ہیں تو یوں لگتا ہے زندگی تیرے عذابوں سے نکل آئے ہیں روشنی مجھ کو ملی ہے تو ذرا جانچ تو لوں آج سب چہرے نقابوں سے نکل آئے ہیں ہم نکل آئے بہشت شب تنہائی سے اور کچھ لوگ حجابوں سے نکل آئے ہیں ہم بھی اس شہر کی ویران سی رونق میں کہاں اپنے مانوس خرابوں سے نکل آئے ہیں

Hindi

सब तमन्नाओं से ख़्वाबों से निकल आए हैं हम बहुत दूर सराबों से निकल आए हैं ख़ुद को जब भूल से जाते हैं तो यूँ लगता है ज़िंदगी तेरे अज़ाबों से निकल आए हैं रौशनी मुझ को मिली है तो ज़रा जाँच तो लूँ आज सब चेहरे नक़ाबों से निकल आए हैं हम निकल आए बहिश्त-ए-शब-ए-तन्हाई से और कुछ लोग हिजाबों से निकल आए हैं हम भी इस शहर की वीरान सी रौनक़ में कहाँ अपने मानूस ख़राबों से निकल आए हैं

sab tamannāoñ se ḳhvāboñ se nikal aa.e haiñ
I
Iqbal Ashhar Quraishi
Iqbal Ashhar Quraishi
poet23 quotes

More by Iqbal Ashhar Quraishi

View all →
Quote
"mujh se bichhDe ho to rah jaaoge tanhaa bhi nahin main tumhein yaad nahin aaungaa aisaa bhi nahin main ne daaman bhi bachaayaa to gunahgaar huaa aur phir yuun huaa gharqaab ki ubhraa bhi nahin vo tiraa zabt-e-mohabbat ho ki duniyaa kaa nifaaq sab hi apne hain koi dard paraayaa bhi nahin qadr-daan chaahne vaalon ke ajab hote hain us ne pahchaan liyaa aur mujhe dekhaa bhi nahin main use bhuul ke zinda bhi nahin rah saktaa aur miraa ahd mujhe puchhne vaalaa bhi nahin"
I
Iqbal Ashhar Quraishi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi