SHAWORDS

sabhi amiron ke taaj khatre mein aa gae the — Muhammad Raza Hyderi

"sabhi amiron ke taaj khatre mein aa gae the kuchh aise sikke hamaare kaase mein aa gae the hamein bhi faaqa-kashi ne kaafir banaa diyaa hai khayaal roTi ke aaj sajde mein aa gae the tumhaare aangan ki titliyaan thiin hamaare ghar mein hamaare jugnu tumhaare kamre mein aa gae the gayaa jo mandir to phir na masjid ki chhat pe baiThaa mizaaj logon ke ik parinde mein aa gae the kisi bhi goshe mein chaahaton ki tapish nahin thi vo teraa dil thaa yaa sard-khaane mein aa gae the main aadhaa paDh kar vafaa ke qisse ko chhoD aaya tumhaari basti ke log qisse mein aa gae the bichhaDte lamhe jo ashk haathon pe aa giraa thaa tamaam dariyaa us ek qatre mein aa gae the use mohabbat ki paaemaali nahin kahoge 'razaa' vo milne kisi ke sadqe mein aa gae the"
Urdu

سبھی امیروں کے تاج خطرے میں آ گئے تھے کچھ ایسے سکے ہمارے کاسے میں آ گئے تھے ہمیں بھی فاقہ کشی نے کافر بنا دیا ہے خیال روٹی کے آج سجدے میں آ گئے تھے تمہارے آنگن کی تتلیاں تھیں ہمارے گھر میں ہمارے جگنو تمہارے کمرے میں آ گئے تھے گیا جو مندر تو پھر نہ مسجد کی چھت پہ بیٹھا مزاج لوگوں کے اک پرندے میں آ گئے تھے کسی بھی گوشے میں چاہتوں کی تپش نہیں تھی وہ تیرا دل تھا یا سرد خانے میں آ گئے تھے میں آدھا پڑھ کر وفا کے قصے کو چھوڑ آیا تمہاری بستی کے لوگ قصے میں آ گئے تھے بچھڑتے لمحے جو اشک ہاتھوں پہ آ گرا تھا تمام دریا اس ایک قطرے میں آ گئے تھے اسے محبت کی پائمالی نہیں کہو گے رضاؔ وہ ملنے کسی کے صدقے میں آ گئے تھے

Hindi

सभी अमीरों के ताज ख़तरे में आ गए थे कुछ ऐसे सिक्के हमारे कासे में आ गए थे हमें भी फ़ाक़ा-कशी ने काफ़िर बना दिया है ख़याल रोटी के आज सज्दे में आ गए थे तुम्हारे आँगन की तितलियाँ थीं हमारे घर में हमारे जुगनू तुम्हारे कमरे में आ गए थे गया जो मंदिर तो फिर न मस्जिद की छत पे बैठा मिज़ाज लोगों के इक परिंदे में आ गए थे किसी भी गोशे में चाहतों की तपिश नहीं थी वो तेरा दिल था या सर्द-ख़ाने में आ गए थे मैं आधा पढ़ कर वफ़ा के क़िस्से को छोड़ आया तुम्हारी बस्ती के लोग क़िस्से में आ गए थे बिछड़ते लम्हे जो अश्क हाथों पे आ गिरा था तमाम दरिया उस एक क़तरे में आ गए थे उसे मोहब्बत की पाएमाली नहीं कहोगे 'रज़ा' वो मिलने किसी के सदक़े में आ गए थे

sabhī amīroñ ke taaj ḳhatre meñ aa ga.e the
Muhammad Raza Hyderi
Muhammad Raza Hyderi
Muhammad Raza Hyderi
poet11 quotes

More by Muhammad Raza Hyderi

View all →
Quote
"ham jis ki bund-bund ko tarse chalaa gayaa vo ham pe is se qabl ki barse chalaa gayaa ahbaab us ko vaapsi lene nikal paDe ghurbat kaa bhuut jab mire ghar se chalaa gayaa tab se ye dhuup mere muqaddar mein aa gai saaya jab ek peD kaa sar se chalaa gayaa tujh se milungaa soch ke aaya thaa main magar kuchh pal Thahar ke main tire dar se chalaa gayaa panchhi shajar ki shaakh pe baiThe to der tak tanhaaiyon kaa bojh shajar se chalaa gayaa main ne ye zindagi kaa khulaasa likhaa 'razaa' aaya udhar se aur idhar se chalaa gayaa"
Muhammad Raza HyderiMuhammad Raza Hyderi
Quote
"ishq tujh ko kabhi huaa hi nahin kyaa miri jaan ye tabaahi nahin jis ko maangaa thaa umr-bhar ke liye vo mujhe umr-bhar milaa hi nahin laapata huun main jis ki chaahat mein mujh ko us kaa pata pata hi nahin yuun achaanak mujhe vo chhoD gayaa saath jaise kabhi vo thaa hi nahin zindagi haath joDti hai magar kah rahaa hai har ik sipaahi nahin kyaa tire paas muflisi hai bataa gar mire paas baadshaahi nahin jo mire saath ho rahaa hai yahaan mujh ko manzur yaa-ilaahi nahin"
Muhammad Raza HyderiMuhammad Raza Hyderi
Quote
"jahaan pe chhoDi thi baat dil ki vahin se jaari zarur karte agar vo suntaa hamaari baatein to baat saari zarur karte khudaa se fursat nahin milegi khudaa ke bandon ko aaj varna khudaa ke bande khudaa ki khaatir madad hamaari zarur karte azaab-e-dozakh kaa khauf bhi hai husul-e-jannat kaa shauq bhi hai jo ye na hote to dil se puujaa ye sab pujaari zarur karte ab aur himmat nahin hai ham mein tumhaari chaalon se thak chuke hain yaqin tum par zaraa bhi hotaa to phir se yaari zarur karte kisi ne puchhaa ki aap hote to jaan ham par nisaar karte dimaagh mein thaa kabhi na karte zabaan-pukaari zarur karte labon ko si kar ghamon ko pi kar bharam mohabbat kaa rakh liyaa hai vagarna le le ke naam teraa ham aah-o-zaari zarur karte"
Muhammad Raza HyderiMuhammad Raza Hyderi
Quote
"na kisi jin se na haivaan se Dar lagtaa hai aaj ke daur mein insaan se Dar lagtaa hai roz marne ki khabar aati hai rab ke ghar se ab to masjid ke har elaan se Dar lagtaa hai ai khudaayaa miri aankhon ko samundar kar de shahr vaalon ko bayaabaan se Dar lagtaa hai ham ko allaah ke bandon se koi khauf nahin ham ko kaafir se musalmaan se Dar lagtaa hai mutmain huun ki miraa saath nibhaaoge magar duur ho jaane ke imkaan se Dar lagtaa hai phir na rishta koi aaya ho javaan beTi kaa ghar mein aate hue mehmaan se Dar lagtaa hai mujh ko aazaad karo mujh ko bikharnaa hai 'razaa' main vo gul huun jise gul-daan se Dar lagtaa hai"
Muhammad Raza HyderiMuhammad Raza Hyderi
Quote
"na jaane kyon vahi jiinaa haraam karte hain ki jin kaa dil se bahut ehtiraam karte hain tumhaaraa zikr kisi baat mein agar aae ham haath joD ke qissa tamaam karte hain hamein hai is liye urdu zabaan se ulfat ham is zabaan mein rab se kalaam karte hain hamaaraa martaba sahraa-e-ishq mein ye hai janaab-e-qais bhi jhuk kar salaam karte hain kai hain log jo jiite hain kaam ki khaatir kai hain log jo jiine ko kaam karte hain khudaa gavaah hai pasti mein rahne vaalon par baDaa hi zulm ye aali-maqaam karte hain 'razaa' vo gham bhi hamein Thiik se nahin detaa ham apni saari khushi jis ke naam karte hain"
Muhammad Raza HyderiMuhammad Raza Hyderi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari