"khizr jis se bane us aab-e-baqaa se Dariye lambi umron se buzurgon ki duaa se Dariye ham-qadam ban gae us ke to Thikaana hi nahin aati jaati hui be-samt havaa se Dariye niyyat-e-jurm hi hai jurm kaa aaghaaz yahaan jo na ki ho usi naa-karda khataa se Dariye saaneha runumaa ho jaaegaa shaq hone par teshe ko rokiye patthar ki anaa se Dariye pattaa pattaa yahaan baiThaa hai sameTe khud ko gungunaati hui is baad-e-sabaa se Dariye aur shai hain to koi Darne ki haajat hi nahin aap bande hain khudaa ke to khudaa se Dariye rahmatein zahmatein ban jaati hain aksar ai 'aah' ho na ye sail-e-balaa kaali ghaTaa se Dariye"
sadaa-bahaar jo the dard vo puraane gae — Aah Sambhali
"sadaa-bahaar jo the dard vo puraane gae hamaare saath mein mausam bhi sab suhaane gae tujhe khabar nahin taamir-e-nau ke paagal-pan chhatein girin to parindon ke aashiyaane gae jahaan saraabon kaa ik mauj-mauj suraj thaa vahin bhaDakti hui pyaas sab bujhaane gae bikharne do kisi aavaara yaad ki khushbu ki bhuul jaane ke bhi ab use zamaane gae us ek naqsh-e-gurezaan pe dastaras kaisi havaa jo ruThi to raston mein ham manaane gae vo khud bhi TuuT gayaa lams-e-dida-var se 'aah' mizaaj phuul kaa patthar se aazmaane gae"
سدا بہار جو تھے درد وہ پرانے گئے ہمارے ساتھ میں موسم بھی سب سہانے گئے تجھے خبر نہیں تعمیر نو کے پاگل پن چھتیں گریں تو پرندوں کے آشیانے گئے جہاں سرابوں کا اک موج موج سورج تھا وہیں بھڑکتی ہوئی پیاس سب بجھانے گئے بکھرنے دو کسی آوارہ یاد کی خوشبو کہ بھول جانے کے بھی اب اسے زمانے گئے اس ایک نقش گریزاں پہ دسترس کیسی ہوا جو روٹھی تو رستوں میں ہم منانے گئے وہ خود بھی ٹوٹ گیا لمس دیدہ ور سے آہؔ مزاج پھول کا پتھر سے آزمانے گئے
सदा-बहार जो थे दर्द वो पुराने गए हमारे साथ में मौसम भी सब सुहाने गए तुझे ख़बर नहीं तामीर-ए-नौ के पागल-पन छतें गिरीं तो परिंदों के आशियाने गए जहाँ सराबों का इक मौज-मौज सूरज था वहीं भड़कती हुई प्यास सब बुझाने गए बिखरने दो किसी आवारा याद की ख़ुशबू कि भूल जाने के भी अब उसे ज़माने गए उस एक नक़्श-ए-गुरेज़ाँ पे दस्तरस कैसी हवा जो रूठी तो रस्तों में हम मनाने गए वो ख़ुद भी टूट गया लम्स-ए-दीदा-वर से 'आह' मिज़ाज फूल का पत्थर से आज़माने गए

More by Aah Sambhali
View all →"mat fikr-e-mudaavaa kar ai dast-e-masihaai dariyaaon se gahri hai is zakhm ki gahraai ik manzil-e-hijrat mein jab yaad tiri aai rangon ko churaa laai khushbu ko uDaa laai har chehra paraayaa hai har aankh mein nafrat hai jaaegi kahaan le kar ai sharm-e-shanaasaai ye kaisaa saveraa thaa kis dard kaa suraj thaa har raushni zulmat ki dahliz pe le aai jab hijr muqaddar hai milne hi nahin degaa suraj ki to yaktaai mein chaand ki tanhaai ab tum ko bhi honaa hai ojhal miri nazron se deti hai sadaa mujh ko vo manzil-e-rusvaai"
"mujhe bhi paDh lo ki harf-e-savaab ban jaaun varaq varaq huun kisi din kitaab ban jaaun mire baghair bhi kuchh din guzaar le ai dost na itnaa pi ki main teri sharaab ban jaaun baDhaa na faasle har roz ajnabi ki tarah na yuun bulaa ki main tujh par azaab ban jaaun kiyaa thaa tu ne to raushan charaagh kah ke mujhe ye meraa hausla main aaftaab ban jaaun kahaan ye sochaa thaa ghabraa ke jis se niklaa huun phir ek din usi jangal kaa khvaab ban jaaun bulaa rahi hain mujhe duur ki havaaein 'aah' ye lag rahaa hai ki khaana-kharaab ban jaaun"
"vo vaahima hai kahaan ye usuul jaanaa thaa mile the us se to phir us ko bhuul jaanaa thaa ganvaa di umr kisi rabt-e-raaegaan ke liye hamein to TuTte rishton ko bhuul jaanaa thaa na kaam aai tab-o-taab-e-fikr-o-fan meri vo aaina huun jise sab ne dhuul jaanaa thaa vo khushbuon ke musaafir the saath chalte kyaa mujhe to surat-e-gard-e-malul jaanaa thaa vo saada-lauh hamaare sivaa koi na thaa 'aah' ki jis ne gul-shuda daaghon ko bhuul jaanaa thaa"
"udaasiyon kaa musalsal ye daur chalnaa hai na koi haadsa honaa na ji bahalnaa hai vo aur honge milaa jin ko raushni kaa safar hamein to bujhte charaaghon ke saath chalnaa hai ye Dhalti umr ke raste bahut thakaa deinge qadam qadam pe nayaa raasta nikalnaa hai vidaaa ho gai kah kar ye khushbuon ki sadaa gulaab-jismon ko ab pattharon mein Dhalnaa hai kisi kaa lahrein manaaeingi jashn-e-gharqaabi phir aaj raat samundar bahut uchhalnaa hai miri shikast mein muzmar hai teri kotaahi tujhe bhi meri tarah kal ko haath malnaa hai"
"jaagnaa saae mein aur dhuup mein sonaa us kaa us ke ehsaas se saabit thaa na honaa us kaa dil-shikasta ho vo kyon sar-phiri baaton se miri main ne bachpan mein bhi toDaa thaa khilaunaa us kaa ik sitam-pesha tabiat kaa pata detaa hai kaaghazi naav ko baarish mein Dubonaa us kaa phir koi yaad chhuDaa leti hai ungli mujh se yaad aataa hai kisi bhiiD mein khonaa us kaa ek hi TuuTe hue pul ke the raahi donon maut se baDh ke thaa vo duur se ronaa us kaa khud-shanaasi kaa koi ilm na thaa 'aah' use log miTTi mein milaate rahe sonaa us kaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"