SHAWORDS

sahraa pe nuur utar rahaa thaa — Dua Ali

HomeDua AliGhazal
"sahraa pe nuur utar rahaa thaa suraj hayaa se mar rahaa thaa paani bhi ro paDaa thaa us dam paani bhi girya kar rahaa thaa har aankh zakhm dho rahi thi har zakhm bain kar rahaa thaa sajde teraa nasib haae neze pe ek sar rahaa thaa dariyaa kaa paani jab huaa khushk sahraa lahu se bhar rahaa thaa aks-e-‘duaa’-e-khair chamkaa dil harf harf bikhar rahaa thaa"
Urdu

صحرا پہ نور اتر رہا تھا سورج حیا سے مر رہا تھا پانی بھی رو پڑا تھا اس دم پانی بھی گریہ کر رہا تھا ہر آنکھ زخم دھو رہی تھی ہر زخم بین کر رہا تھا سجدے تیرا نصیب ہائے نیزے پہ ایک سر رہا تھا دریا کا پانی جب ہوا خشک صحرا لہو سے بھر رہا تھا عکس دعائے خیر چمکا دل حرف حرف بکھر رہا تھا

Hindi

सहरा पे नूर उतर रहा था सूरज हया से मर रहा था पानी भी रो पड़ा था उस दम पानी भी गिर्या कर रहा था हर आँख ज़ख़्म धो रही थी हर ज़ख़्म बैन कर रहा था सज्दे तेरा नसीब हाए नेज़े पे एक सर रहा था दरिया का पानी जब हुआ ख़ुश्क सहरा लहू से भर रहा था अक्स-ए-‘दुआ’-ए-ख़ैर चमका दिल हर्फ़ हर्फ़ बिखर रहा था

sahrā pe nuur utar rahā thā
Dua Ali
Dua Ali
Dua Ali
poet42 quotes

More by Dua Ali

View all →
Quote
"mohabbatein jab hisaab maangeingi nafraton kaa javaaz hogaa vo jis safar mein saubatein hon vo aabgina-navaaz hogaa kuchh aisi mushkil si aa paDi hai ki chehra aaina ban gayaa hai mujhe ye dhaDkaa hai dil mein rakkhaa ayaan vo muddat kaa raaz hogaa tilism kahiye ki yaa tamanna ragon mein paara lahu banaa hai lahu jo Tapkegaa ashk ban kar nazar se ulfat kaa saaz hogaa ye manzaron mein jo aa gae hain kisi ilaaqe ke sabz taair ye hijraton kaa hasin mausam farogh-e-gulshan ba-naaz hogaa akele-pan ki 'duaa' ye shiddat hi maar Daale kahin na mujh ko vo aaegaa to ye meraa honaa bhi us ke sarf-e-niyaaz hogaa"
Dua AliDua Ali
Quote
"kabhi jo aap ko dekhun to dil mein phuul khilte hain kahun main aap se kaise mujhe aap achchhe lagte hain mire dil ki ye khvaahish hai banun main aap ki dulhan ki dil mein aap rahte hain mire honTon pe sajte hain adhure khvaab jivan ke mire ho jaaeinge puure miri aankhon mein teri chaah ke ilhaam palte hain yahaan fursat kise hai dil ki jo basti kare aabaad yahaan suraj ki hamraahi mein saare log chalte hain kinaare nilgun dariyaa ke jaise ham bhi hain goyaa 'duaa' jo paani ke phailaav ki duuri pe rahte hain"
Dua AliDua Ali
Quote
"suntaa nahin hai dil to us bevafaa ki baatein kal par uThaa ke rakkho us bevafaa ki baatein dil hai udaas ab to is tazkire ko badlo kyon ho musir ki sun lo us bevafaa ki baatein aaj us ne hai rulaayaa ham ko bahut sataayaa ham se na karnaa ab to us bevafaa ki baatein TuuTe hain khvaab mere ab dafn in ko kar do dohraa bhi kyon rahe ho us bevafaa ki baatein ham ko sameTnaa hain ab dil ki kirchiyaan bhi toDaa hai dil ko dekho us bevafaa ki baatein us ki judaai kaise ab ham 'duaa' saheinge kuchh der phir se kar lo us bevafaa ki baatein"
Dua AliDua Ali
Quote
"jis kaa hotaa nahin vo log usi kaa samjhe kyaa buraai hai bure ko ki na achchhaa samjhe itnaa kaafir ho ki puchhe nahin ahvaal talak aise kaafir ko bhalaa kaun masihaa samjhe jiit to lungi main haari hui baazi lekin piit ke khel mein kaafir mujhe apnaa samjhe ek kaafir se faqat itni guzaarish hai miri dil ke bikhre hue aaine ko yakjaa samjhe us pe bahte hue ashkon kaa asar honaa nahin vo to patthar ki tarah hai use ham kyaa samjhe vo to but thaa kisi kaafir kaa taraashaa huaa but ham 'duaa' jis ko duaaon kaa karishma samjhe"
Dua AliDua Ali

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil