SHAWORDS

sai-e-ghair-haasil ko muddaaa nahin miltaa — Figar Unnavi

HomeFigar UnnaviGhazal
"sai-e-ghair-haasil ko muddaaa nahin miltaa be-niyaaz dil ban kar dekh kyaa nahin miltaa zindagi-e-rafta kaa kuchh pataa nahin miltaa khaak-e-paa to milti hai naqsh-e-paa nahin miltaa us kaa aaina hai dil jaa-ba-jaa nahin miltaa dil mein jab ho taariki phir khudaa nahin miltaa aamad-e-bahaaraan kaa ik payaam laane se kyuun tiraa dimaagh aakhir ai sabaa nahin miltaa aaina-ba-aaina ham ne dekh Daale dil ek saa zamaane mein dusraa nahin miltaa jo tiri nigaahon se be-piye milaa saaqi laakh jaam pi kar bhi vo mazaa nahin miltaa khizr-e-raah ne kitne mir-e-kaarvaan luuTe haae vo jo kahte hain rahnumaa nahin miltaa us ki aur manzil hai meri aur manzil hai shaikh se 'figaar' apnaa raasta nahin miltaa"
Urdu

سعی غیر حاصل کو مدعا نہیں ملتا بے نیاز دل بن کر دیکھ کیا نہیں ملتا زندگیٔ رفتہ کا کچھ پتا نہیں ملتا خاک پا تو ملتی ہے نقش پا نہیں ملتا اس کا آئنہ ہے دل جا بہ جا نہیں ملتا دل میں جب ہو تاریکی پھر خدا نہیں ملتا آمد بہاراں کا اک پیام لانے سے کیوں ترا دماغ آخر اے صبا نہیں ملتا آئنہ بہ آئینہ ہم نے دیکھ ڈالے دل ایک سا زمانے میں دوسرا نہیں ملتا جو تری نگاہوں سے بے پیے ملا ساقی لاکھ جام پی کر بھی وہ مزا نہیں ملتا خضر راہ نے کتنے میر کارواں لوٹے ہائے وہ جو کہتے ہیں رہنما نہیں ملتا اس کی اور منزل ہے میری اور منزل ہے شیخ سے فگارؔ اپنا راستہ نہیں ملتا

Hindi

सई-ए-ग़ैर-हासिल को मुद्दआ नहीं मिलता बे-नियाज़ दिल बन कर देख क्या नहीं मिलता ज़िंदगी-ए-रफ़्ता का कुछ पता नहीं मिलता ख़ाक-ए-पा तो मिलती है नक़्श-ए-पा नहीं मिलता उस का आइना है दिल जा-ब-जा नहीं मिलता दिल में जब हो तारीकी फिर ख़ुदा नहीं मिलता आमद-ए-बहाराँ का इक पयाम लाने से क्यूँ तिरा दिमाग़ आख़िर ऐ सबा नहीं मिलता आइना-ब-आईना हम ने देख डाले दिल एक सा ज़माने में दूसरा नहीं मिलता जो तिरी निगाहों से बे-पिए मिला साक़ी लाख जाम पी कर भी वो मज़ा नहीं मिलता ख़िज़्र-ए-राह ने कितने मीर-ए-कारवाँ लूटे हाए वो जो कहते हैं रहनुमा नहीं मिलता उस की और मंज़िल है मेरी और मंज़िल है शैख़ से 'फ़िगार' अपना रास्ता नहीं मिलता

sa.ī-e-ġhair-hāsil ko mudda.ā nahīñ miltā
Figar Unnavi
Figar Unnavi
Figar Unnavi
poet49 quotes

More by Figar Unnavi

View all →
Quote
"shohrat-e-tarz-e-fughaan aam hui jaati hai koshish-e-zabt bhi naakaam hui jaati hai mast hain aur talab-e-jaam hui jaati hai be-khudi hosh kaa paighaam hui jaati hai muskuraataa hai hasin parda-e-gulshan mein koi aur kali muft mein badnaam hui jaati hai qaid mein bhi hai asiron kaa vahi josh-e-amal mashq-e-parvaaz tah-e-daam hui jaati hai toD kar dil nigah-e-mast na pher ai saaqi bazm ki bazm hi be-jaam hui jaati hai lab jo khole to gulistaan mein kali kaun kahe chup bhi rahti hai to badnaam hui jaati hai mujh ko le jaaegi manzil pe miri subh-e-yaqin laakh raste mein mujhe shaam hui jaati hai naavak-andaazi-e-jaanaan kaa asar hai ki 'figaar' ek duniyaa miri hamnaam hui jaati hai"
Figar UnnaviFigar Unnavi
Quote
"hasti ik naqsh-e-inikaasi hai ye haqiqat nahin qayaasi hai zauq tishna hai ruuh pyaasi hai saaraa maahaul hi siyaasi hai khub gai dil mein har adaa us ki kaj-adaai bhi khush-adaa si hai dil hai afsurda to bahaar kahaan baagh mein har taraf udaasi hai un ko paa kar qaraar aaegaa ahl-e-dil ye bhi khush-qayaasi hai sau hijaabon mein be-hijaab hai husn sau libaason mein be-libaasi hai muddaaa tak bayaan nahin hotaa bad-havaasi si bad-havaasi hai un ko dekhaa nahin 'figaar' magar un ke jalvon se ru-shanaasi hai"
Figar UnnaviFigar Unnavi
Quote
"aarzu hasrat-e-naakaam se aage na baDhi fikr andesha-e-anjaam se aage na baDhi su-e-manzil kabhi do gaam se aage na baDhi zindagi maut ke ilzaam se aage na baDhi zulf-o-rukh ke sahar-o-shaam se aage na baDhi aashiqi rahguzar-e-aam se aage na baDhi rah gai rifat-e-parvaaz ki hasrat dil mein par-fishaani qafas-o-daam se aage na baDhi manzil-e-be-khudi-e-shauq ki azmat maalum tishna-kaamon ki nazar jaam se aage na baDhi kitni shaamein gaiin aur kitne savere aae nigah-e-muntazir ik shaam se aage na baDhi paaki-e-nafs ki azmat kaa to kyaa zikr 'figaar' zohd ki baat bhi ehraam se aage na baDhi"
Figar UnnaviFigar Unnavi
Quote
"tufaan se bach ke daaman-e-saahil mein rah gayaa mushkil ke baad aur bhi mushkil mein rah gayaa ik shor thaa jo gosha-e-mahfil mein rah gayaa ik dard thaa jo dil se uThaa dil mein rah gayaa ab vo nigaah-e-naaz hui maail-e-karam jab koi muddaaa na mire dil mein rah gayaa manzil mire qarib se ho kar guzar gai aur main talaash-e-jaada-e-manzil mein rah gayaa manzil fanaa-e-zauq-e-talab kaa maqaam thi achchhaa huaa main sarhad-e-manzil mein rah gayaa allaah-re jazb-e-ishq ki husn-e-nigaah-e-qais ik naqsh ban ke parda-e-mahmil mein rah gayaa naala to khair nang-e-gham-e-ishq thaa magar naghma bhi soz-o-saaz ki mahfil mein rah gayaa saare hijaab-e-husn nigaahon se haT gae ik aaina zarur muqaabil mein rah gayaa mujh se ye puchhti hain miri hichkiyaan 'figaar' ab kitnaa faasla tiri manzil mein rah gayaa"
Figar UnnaviFigar Unnavi
Quote
"kisi apne se hoti hai na begaane se hoti hai jo ulfat ek divaane ko divaane se hoti hai subu se jaam se miinaa se paimaane se hoti hai mohabbat mai se ho kar saare mai-khaane se hoti hai koi qissa ho koi vaaqi'a koi hikaayat ho tasalli dil ko dard-e-dil ke afsaane se hoti hai miri tauba se kah do vo bhi aa kar shauq se sun le 'ajab aavaaz paidaa dil ke paimaane se hoti hai nazar se chhupne vaale dil se aakhir kyuun nahin chhupte ye kaisi be-hijaabi aaina-khaane se hoti hai bahaar-e-chand-roza se koi maange to kyaa maange khizaan ko bhi nadaamat haath phailaane se hoti hai ghaTaaein gham ki chhaT jaati hain un ke muskuraane se ki jaise subh paidaa raat Dhal jaane se hoti hai 'figaar' ehsaas-e-dil mein har taraf kaanTe hi kaanTe hain yahi taskin gulshan mein bahaar aane se hoti hai"
Figar UnnaviFigar Unnavi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi