SHAWORDS

sakht viraan hai jahaan tere baad — Irfan Ahmad

HomeIrfan AhmadGhazal
"sakht viraan hai jahaan tere baad koi tujh saa hai kahaan tere baad kab talak aah-o-fughaan tere baad khema-e-dil hai dhuaan tere baad jaane kis shahr mein aabaad hai tu ham hain barbaad yahaan tere baad hijratein kar gae imkaan ke tuyur ab yaqin hai na gumaan tere baad aisaa aalam bhi na dekhaa thaa kabhi khaali khaali hai makaan tere baad"
Urdu

سخت ویراں ہے جہاں تیرے بعد کوئی تجھ سا ہے کہاں تیرے بعد کب تلک آہ و فغاں تیرے بعد خیمۂ دل ہے دھواں تیرے بعد جانے کس شہر میں آباد ہے تو ہم ہیں برباد یہاں تیرے بعد ہجرتیں کر گئے امکاں کے طیور اب یقیں ہے نہ گماں تیرے بعد ایسا عالم بھی نہ دیکھا تھا کبھی خالی خالی ہے مکاں تیرے بعد

Hindi

सख़्त वीराँ है जहाँ तेरे बाद कोई तुझ सा है कहाँ तेरे बाद कब तलक आह-ओ-फ़ुग़ाँ तेरे बाद ख़ेमा-ए-दिल है धुआँ तेरे बाद जाने किस शहर में आबाद है तू हम हैं बर्बाद यहाँ तेरे बाद हिजरतें कर गए इम्काँ के तुयूर अब यक़ीं है न गुमाँ तेरे बाद ऐसा आलम भी न देखा था कभी ख़ाली ख़ाली है मकाँ तेरे बाद

saḳht vīrāñ hai jahāñ tere baad
Irfan Ahmad
Irfan Ahmad
Irfan Ahmad
poet13 quotes

More by Irfan Ahmad

View all →
Quote
"naqaab chehre se us ke kabhi saraktaa thaa to kaale baadalon mein chaand saa chamaktaa thaa use bhi khitta-e-sarsabz mil gayaa shaayad vo ek abr kaa TukDaa jo kal bhaTaktaa thaa vo mere saath jo chaltaa thaa ghar ke aangan mein to maahtaab bhi palkein bahut jhapaktaa thaa ye kah ke barq bhi barsaat mein bahut roi ki ek peD chaman mein ghazab mahaktaa thaa gham-e-hayaat ne bakhshe hain saare sannaaTe kabhi hamaare bhi pahlu mein dil dhaDaktaa thaa jo ho gai hai kabhi abr ki navaazish bhi to saaebaan kai din talak Tapaktaa thaa akele paar utar ke bahut hai ranj mujhe main us kaa bojh uThaa kar bhi tair saktaa thaa"
Irfan AhmadIrfan Ahmad
Quote
"hai dard ke intisaab saa kuchh vo yaad aangan mein khvaab saa kuchh vo aarzuein vo tishna-kaami had-e-nigah tak saraab saa kuchh vo hijraton ke udaas mausam safar safar iztiraab saa kuchh har ik taalluq shikast-maail ravish ravish inqilaab saa kuchh vo mishal-e-jaan bujhi bujhi si koi bikharte gulaab saa kuchh vo phuul haathon mein sang-paare vo ek paisa hisaab saa kuchh vo us ke dil mein savaal jaisaa mire labon pe javaab saa kuchh bas ek haalat mein hi milaa vo garhan mein aaftaab saa kuchh"
Irfan AhmadIrfan Ahmad

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil