"khoe gae to aaine ko mo'atabar kiyaa ham ne tiri talaash mein apnaa safar kiyaa be-ghar musaafiron ke muqaddar mein khaak hai so ham ne gard-e-raah ko divaar-o-dar kiyaa us markaz-e-jamaal ke ham bhi asiir hain jis markaz-e-jamaal ne har dil mein ghar kiyaa shahr-e-vafaa khamosh hai patthar bane baghair kaisaa fareb-e-koh-e-nidaa ne asar kiyaa baazu sameTte hain darakhton pe kuchh tuyur shaayad kisi ne tazkira-e-baal-o-par kiyaa yaadon ki bhiiD mein bhi hai tanhaai ham-safar us ki ho khair jis ne hamein dar-ba-dar kiyaa"
samundar ke kinaare ik samundar aadamiyyon kaa — Iqbal Haider
"samundar ke kinaare ik samundar aadamiyyon kaa hamaare shahr mein rahtaa hai lashkar aadamiyyon kaa vahi sina-figaari hai vahi be-e'tibaari hai badaltaa hi nahin hai yaan muqaddar aadamiyyon kaa zamin se aasmaan tak chhaa rahi hai khuun ki surkhi chhupaa hai khair ke parde mein bhi shar aadamiyyon kaa qayaamat se bahut pahle qayaamat kyuun na ho barpaa jhukaa hai aadmi ke saamne sar aadamiyyon kaa faqat chehre hi ab gard-e-kudurat se nahin dhundle dilon kaa aaina bhi hai mukaddar aadamiyyon kaa zamin yunhi rahi gar be-gunaahon ke lahu se tar havaa ho jaaegaa ik din samundar aadamiyyon kaa"
سمندر کے کنارے اک سمندر آدمیوں کا ہمارے شہر میں رہتا ہے لشکر آدمیوں کا وہی سینہ فگاری ہے وہی بے اعتباری ہے بدلتا ہی نہیں ہے یاں مقدر آدمیوں کا زمیں سے آسماں تک چھا رہی ہے خون کی سرخی چھپا ہے خیر کے پردے میں بھی شر آدمیوں کا قیامت سے بہت پہلے قیامت کیوں نہ ہو برپا جھکا ہے آدمی کے سامنے سر آدمیوں کا فقط چہرے ہی اب گرد کدورت سے نہیں دھندلے دلوں کا آئنہ بھی ہے مکدر آدمیوں کا زمیں یوں ہی رہی گر بے گناہوں کے لہو سے تر ہوا ہو جائے گا اک دن سمندر آدمیوں کا
समुंदर के किनारे इक समुंदर आदमिय्यों का हमारे शहर में रहता है लश्कर आदमिय्यों का वही सीना-फ़िगारी है वही बे-ए'तिबारी है बदलता ही नहीं है याँ मुक़द्दर आदमिय्यों का ज़मीं से आसमाँ तक छा रही है ख़ून की सुर्ख़ी छुपा है ख़ैर के पर्दे में भी शर आदमिय्यों का क़यामत से बहुत पहले क़यामत क्यूँ न हो बरपा झुका है आदमी के सामने सर आदमिय्यों का फ़क़त चेहरे ही अब गर्द-ए-कुदूरत से नहीं धुँदले दिलों का आइना भी है मुकद्दर आदमिय्यों का ज़मीं यूँही रही गर बे-गुनाहों के लहू से तर हवा हो जाएगा इक दिन समुंदर आदमिय्यों का

More by Iqbal Haider
View all →"bujh gai dil ki kiran aaina-e-jaan TuuTaa par-e-parvaaz sameTe to lahu saa phuTaa rasm-e-aashufta-sari mein hain garebaan daaman falak-e-pir bataa kaun hai sachchaa jhuTaa chaand suraj hue jaate hain dhuein mein ru-posh jaras-e-vaqt kahaan aag kaa chashma phuTaa marsiyon aur qasidon se bhari hai mahfil shahr-aashob se har rishta-e-daanish TuuTaa shajar-e-dard ki har shaakh hai kashkol-numaa sar-kashida hai magar baagh kaa buuTaa buuTaa vahi kaifiyyat-e-chashm-o-dil-o-jaan hai 'iqbaal' na koi rabt banaa aur na rishta TuuTaa"
"mahfilon ke darmiyaan tanhaaiyon ke darmiyaan zindagi guzregi kab tak vaahimon ke darmiyaan kuchh adhure rang hain kuchh naa-mukammal aks hain khvaab zinda hain shikasta aainon ke darmiyaan dosti aur raushni ke daaere hain mukhtalif ham sabhi maujud hain in daaeron ke darmiyaan ham to samjhe the ki ham aasuda-e-manzil hue ik paDaav aa gayaa hai hijraton ke darmiyaan zindagi kaar-e-musalsal hai to kaT hi jaaegi chand yaadon ke sahaare vahshaton ke darmiyaan vo bahut maasum hai lekin use maalum hai dusraa koi nahin hai dhaDkanon ke darmiyaan ranjishon ke silsile yunhi sadaa baDhte nahin tisraa koi to hai do bhaaiyon ke darmiyaan"
"murjhaayaa kabhi dil ko shagufta paayaa har baar nayaa zakhm-e-tamannaa paayaa har guzre hue vaqt ko anqaa paayaa aate hue lamhaat ko dhundlaa paayaa kitne hi masihaa the jo qaatil nikle qaatil jise samjhe the masihaa paayaa dekhun to gumaan aaina-bini kaa ho ab tak na koi duniyaa mein aisaa paayaa yaad aa gai maazi ki baDi shiddat se maathe ki lakiron ko jo gahraa paayaa ji mein thaa ki auron kaa tamaashaa dekhun hosh aayaa to khud ko hi tamaashaa paayaa khvaabon ke kai jaam piye aankhon ne khvaabon se magar dil na bahaltaa paayaa 'iqbaal' mire haal se ye zaahir hai kyaa dil ki tamanna thi magar kyaa paayaa"
"jo tere dard hain vahi sab mere dard hain kahne ko apni apni jagah fard fard hain dhundlaa gae hain aks nazar hai bhanvar bhanvar khvaabon mein bhi khayaal ke aaine gard hain peshaaniyon pe vaqt shikan-dar-shikan nahin chehra-ba-chehra likhe hue dil ke dard hain ik dusre ko jaan ke pahchaante nahin ham log saare ek qabile ke fard hain bhigi hatheliyon se na paDh kal ki zindagi gahri har ik lakir sahi haath sard hain ye khushk lab ye paanv ke chhaale ye sar ki dhuul ham shahr ki fazaa mein bhi sahraa-navard hain 'iqbaal' jab se phuul hain gul-daan ke asiir khushbu uDi uDi si hai aur rang zard hain"
More on Dil
View all →"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"