"maut sar pe mire khaDi hogi ziist se tab bhi dosti hogi is vabaa ne ujaaD diin naslein aadmi ki khataa baDi hogi darmiyaan-e-safar yahi sochaa maan miri dar pe hi khaDi hogi maut duniyaa ko baanTtaa hai jo zindagi kyaa use mili hogi sabr ko mere aazmaataa hai mere dushman ne kuchh to pi hogi qaid mein aadmi kaa imaan hai 'umr kaise guzar rahi hogi"
sar-e-baazaar saudaa ho rahaa hai — Aqib Javed
"sar-e-baazaar saudaa ho rahaa hai lahu paani se sastaa ho rahaa hai havaa chalne lagi hai nafraton ki tabhi itnaa khasaaraa ho rahaa hai bulandi mein hai parcham mulk kaa yuun jahaan mein naam unchaa ho rahaa hai gharibon ko mili hai chhat yahaan pe suno yaaro dikhaavaa ho rahaa hai nazar se duur thaa kal tak jahaan mein mohabbat mein hamaaraa ho rahaa hai tumhaaraa kyaa hamaaraa kyaa yahaan pe sabhi kuchh to dikhaavaa ho rahaa hai zulekhaa si mohabbat kaun paayaa jo pyaasaa hai vo dariyaa ho rahaa hai nahin suntaa kisi ki koi 'aaqib' buraa yaaro zamaana ho rahaa hai"
سر بازار سودا ہو رہا ہے لہو پانی سے سستا ہو رہا ہے ہوا چلنے لگی ہے نفرتوں کی تبھی اتنا خسارا ہو رہا ہے بلندی میں ہے پرچم ملک کا یوں جہاں میں نام اونچا ہو رہا ہے غریبوں کو ملی ہے چھت یہاں پہ سنو یارو دکھاوا ہو رہا ہے نظر سے دور تھا کل تک جہاں میں محبت میں ہمارا ہو رہا ہے تمہارا کیا ہمارا کیا یہاں پہ سبھی کچھ تو دکھاوا ہو رہا ہے زلیخا سی محبت کون پایا جو پیاسا ہے وہ دریا ہو رہا ہے نہیں سنتا کسی کی کوئی عاقبؔ برا یارو زمانہ ہو رہا ہے
सर-ए-बाज़ार सौदा हो रहा है लहू पानी से सस्ता हो रहा है हवा चलने लगी है नफ़रतों की तभी इतना ख़सारा हो रहा है बुलंदी में है परचम मुल्क का यूँ जहाँ में नाम ऊँचा हो रहा है ग़रीबों को मिली है छत यहाँ पे सुनो यारो दिखावा हो रहा है नज़र से दूर था कल तक जहाँ में मोहब्बत में हमारा हो रहा है तुम्हारा क्या हमारा क्या यहाँ पे सभी कुछ तो दिखावा हो रहा है ज़ुलेख़ा सी मोहब्बत कौन पाया जो प्यासा है वो दरिया हो रहा है नहीं सुनता किसी की कोई 'आकिब' बुरा यारो ज़माना हो रहा है

More by Aqib Javed
View all →"'ishq ki jis ke paas daulat hai aise insaan ki ab zarurat hai aab se machhliyon ko nisbat hai keval un ki yahi to qismat hai laakh baazaar nafraton ke hon ho mohabbat sabhi se hasrat hai duur hote gae khudaa se tabhi zindagi mein bahut hi ghaflat hai dard mein ham sabhi ke shaamil hon zindagi ki yahi to 'azmat hai saans apni de jaae kab dhokaa zindagi ye hi dar-haqiqat hai dard-e-gham se hai aashnaai bhi zindagi kitni khub-surat hai"
"hazaaron dard-o-gham ke darmiyaan ham the jahaan mein ab kahaan hain kal kahaan ham the taghaaful kijiye par soch lo itnaa tumhaari zindagi ki daastaan ham the tumhaari bad-zabaani chubh rahi lekin tumhaare honTh par shirin-zabaan ham the ye takht-o-taaj duniyaa mein bhalaa kab tak mohabbat ziist hai socho kahaan ham the mohabbat khaa gai hai bhiiD nafrat ki vo baDhte bhaai-chaare kaa gumaan ham the kahin nafrat kahin ulfat kahin dhokaa kahin jalte hue ghar be-zabaan ham the kuchal Daalaa hai jis ko vaqt ne yaaro zamin hain aaj par kal aasmaan ham the"
"paDaa huaa thaa ye kab se sanam idhar pardaa uDaa gai hai havaa aaj ye kidhar pardaa hai ibtidaa ye mohabbat ki tum samajh lete bujhaa bujhaa saa hi rahne lage agar pardaa qaraar aataa kahaan hai binaa unhein dekhe sharif itnaa huun lagtaa hai mo'tabar pardaa utaar kar zaraa apnaa naqaab vo rakh dein idhar-udhar bhi uDe jaae phir Thahar pardaa nibhaa rahaa thaa abhi saath kal talak vo bhi havaa chali to huaa hai kidhar kidhar pardaa nigaah ham ne jahaan se chhupaa ke rakkhaa hai churaa churaa ke nazar dekhaa thaa magar pardaa chhupi hui hai kisi dardmand ki ghairat hai qimti saa lage ham ko maal zar pardaa gunaah koi kahe ham savaab kahte hain nazar se chumte 'aaqib' hazaar gar pardaa"
"zindagi kaa ye falsafa dekhaa gham mein har shakhs mubtalaa dekhaa bin bataae chalaa gayaa mujh se yaar teraa bhi ruThnaa dekhaa un ke pahlu mein rahtaa huun har pal jab bhi dekhaa to aashnaa dekhaa tere jaane se sab gai raunaq ye dar-o-baam khokhlaa dekhaa khvaab bante hi khul gaiin aankhein ziist kaa ye bhi vaaqi'a dekhaa maan bachaati hai yuun du'aa kar ke maan kaa ham ne ye hausla dekhaa yaad taari hai un ki bhi 'aaqib' zindagi bhar yuun raastaa dekhaa"
"zakhm dil mein sanbhaal rakkhe hain kitne mehmaan paal rakkhe hain teri baaton pe thaa yaqin mujh ko gumaan kyaa kyaa jo paal rakkhe hain mere pairon mein khuub hain chhaale aable kitne paal rakkhe hain sang-e-marmar ki teri murat ne pahlu kyaa kyaa nikaal rakkhe hain dekh surat ye aaina hanstaa sapne kitne sanbhaal rakkhe hain jab havaaein khilaaf hain phir bhi kashti tufaan mein Daal rakkhe hain dost talvaar thaame hain 'aaqib' ham to haathon mein Dhaal rakkhe hain"
More on Maa
View all →"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"