SHAWORDS

sar-e-darbaar khaamoshi tah-e-darbaar khushiyaan hain — Hassan Ahmad Awan

"sar-e-darbaar khaamoshi tah-e-darbaar khushiyaan hain dar-o-divaar ki baatein dar-o-divaar khushiyaan hain tujhe taknaa tujhe sunnaa tiraa hansnaa machal jaanaa hamaare gham ke aangan mein faqat do-chaar khushiyaan hain kai hain daastaanein dafn yaan yaaron ke siine mein kahin par gham hai khushiyon mein kahin gham-khvaar khushiyaan hain amir-e-shahr kyaa jaane jo guzri hai gharibon par yahaan par gham ke phere hain vahaan har baar khushiyaan hain na jab tak ham samajh paaein hamaaraa maqsad-e-takhliq jahaan mein jo mayassar hon sabhi be-kaar khushiyaan hain baDi mehnat se likkhi hai sar-e-qirtaas jo main ne kahaani mein jo rakkhe hain sabhi kirdaar khushiyaan hain jo mujh pe shart ho ahmad main puuri kar dikhaaungaa sar-e-inkaar gumnaami pas-e-iqraar khushiyaan hain"
Urdu

سر دربار خاموشی تہہ دربار خوشیاں ہیں در و دیوار کی باتیں در و دیوار خوشیاں ہیں تجھے تکنا تجھے سننا ترا ہنسنا مچل جانا ہمارے غم کے آنگن میں فقط دو چار خوشیاں ہیں کئی ہیں داستانیں دفن یاں یاروں کے سینے میں کہیں پر غم ہے خوشیوں میں کہیں غم خوار خوشیاں ہیں امیر شہر کیا جانے جو گزری ہے غریبوں پر یہاں پر غم کے پھیرے ہیں وہاں ہر بار خوشیاں ہیں نہ جب تک ہم سمجھ پائیں ہمارا مقصد تخلیق جہاں میں جو میسر ہوں سبھی بیکار خوشیاں ہیں بڑی محنت سے لکھی ہے سر قرطاس جو میں نے کہانی میں جو رکھے ہیں سبھی کردار خوشیاں ہیں جو مجھ پہ شرط ہو احمد میں پوری کر دکھاؤں گا سر انکار گمنامی پس اقرار خوشیاں ہیں

Hindi

सर-ए-दरबार ख़ामोशी तह-ए-दरबार ख़ुशियाँ हैं दर-ओ-दीवार की बातें दर-ओ-दीवार ख़ुशियाँ हैं तुझे तकना तुझे सुनना तिरा हँसना मचल जाना हमारे ग़म के आँगन में फ़क़त दो-चार ख़ुशियाँ हैं कई हैं दास्तानें दफ़्न याँ यारों के सीने में कहीं पर ग़म है ख़ुशियों में कहीं ग़म-ख़्वार ख़ुशियाँ हैं अमीर-ए-शहर क्या जाने जो गुज़री है ग़रीबों पर यहाँ पर ग़म के फेरे हैं वहाँ हर बार ख़ुशियाँ हैं न जब तक हम समझ पाएँ हमारा मक़्सद-ए-तख़्लीक़ जहाँ में जो मयस्सर हों सभी बे-कार ख़ुशियाँ हैं बड़ी मेहनत से लिक्खी है सर-ए-क़िर्तास जो मैं ने कहानी में जो रक्खे हैं सभी किरदार ख़ुशियाँ हैं जो मुझ पे शर्त हो अहमद मैं पूरी कर दिखाऊँगा सर-ए-इंकार गुमनामी पस-ए-इक़रार ख़ुशियाँ हैं

sar-e-darbār ḳhāmoshī tah-e-darbār ḳhushiyāñ haiñ
Hassan Ahmad Awan
Hassan Ahmad Awan
Hassan Ahmad Awan
poet14 quotes

More by Hassan Ahmad Awan

View all →
Quote
"tamaam taaron ko jaise qamar se joDaa hai miri jabin ko tire sang-e-dar se joDaa hai khudaa ne khud ko ba-zaahir chhupaa ke rakkhaa hai hamaare dil ko na jaane kidhar se joDaa hai visaal-o-hijr ki tartib ulTi rakkhi hai idhar kaa silsila us ne udhar se joDaa hai khudaa ne saada qalam se banaayaa ham sab ko tire vajud ko apne hunar se joDaa hai ye chaand bhi to tire husn kaa bhikaari hai tumhaare husn ko kis ne qamar se joDaa hai tamaam lazzatein duniyaa ke dil mein rakkhi hain khudaa ne sukh ko magar apne ghar se joDaa hai tamaam midhatein vaqf-e-ba-naam-e-ahmad hain tamaam zikr ko is taajvar se joDaa hai"
Hassan Ahmad AwanHassan Ahmad Awan
Quote
"dariyaa ki taraf dekh lo ik baar mire yaar ik mauj ki kahti hai mire yaar mire yaar viraani-e-gulshan pe hi maamur hai mausam miTTi se nikalte nahin ashjaar mire yaar kyaa khaak kisi ghair pe dil ko ho bharosaa apne bhi hue jaate hain aghyaar mire yaar maqtal si fazaa rahti hai is mulk mein har-dam dekhe hain manaazir kai khun-baar mire yaar ham khaak-nashinon ki yahaan kaun sunegaa unche hain bahut khvaab ke darbaar mire yaar dekho ye chalan Thiik nahin ishq mein hargiz vaade se mukar jaate ho har baar mire yaar do chaar hi alfaaz mohabbat se bhare hon to dasht ko kar dete hain gulzaar mire yaar 'hassaan' javaan khuub tiri mashq-e-sukhan hai har roz kahe jaate ho ashaar mire yaar"
Hassan Ahmad AwanHassan Ahmad Awan

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari