SHAWORDS

sar-e-sahraa musaafir ko sitaara yaad rahtaa hai — Adeem Hashmi

HomeAdeem HashmiGhazal
"sar-e-sahraa musaafir ko sitaara yaad rahtaa hai main chaltaa huun mujhe chehra tumhaaraa yaad rahtaa hai tumhaaraa zarf hai tum ko mohabbat bhuul jaati hai hamein to jis ne hans kar bhi pukaaraa yaad rahtaa hai mohabbat mein jo Duubaa ho use saahil se kyaa lenaa kise is bahr mein jaa kar kinaara yaad rahtaa hai bahut lahron ko pakDaa Dubne vaale ke haathon ne yahi bas ek dariyaa kaa nazaara yaad rahtaa hai sadaaein ek si yaksaaniyat mein Duub jaati hain zaraa saa mukhtalif jis ne pukaaraa yaad rahtaa hai main kis tezi se zinda huun main ye to bhuul jaataa huun nahin aanaa hai duniyaa mein dobaara yaad rahtaa hai"
Urdu

سر صحرا مسافر کو ستارہ یاد رہتا ہے میں چلتا ہوں مجھے چہرہ تمہارا یاد رہتا ہے تمہارا ظرف ہے تم کو محبت بھول جاتی ہے ہمیں تو جس نے ہنس کر بھی پکارا یاد رہتا ہے محبت میں جو ڈوبا ہو اسے ساحل سے کیا لینا کسے اس بحر میں جا کر کنارہ یاد رہتا ہے بہت لہروں کو پکڑا ڈوبنے والے کے ہاتھوں نے یہی بس ایک دریا کا نظارہ یاد رہتا ہے صدائیں ایک سی یکسانیت میں ڈوب جاتی ہیں ذرا سا مختلف جس نے پکارا یاد رہتا ہے میں کس تیزی سے زندہ ہوں میں یہ تو بھول جاتا ہوں نہیں آنا ہے دنیا میں دوبارہ یاد رہتا ہے

Hindi

सर-ए-सहरा मुसाफ़िर को सितारा याद रहता है मैं चलता हूँ मुझे चेहरा तुम्हारा याद रहता है तुम्हारा ज़र्फ़ है तुम को मोहब्बत भूल जाती है हमें तो जिस ने हँस कर भी पुकारा याद रहता है मोहब्बत में जो डूबा हो उसे साहिल से क्या लेना किसे इस बहर में जा कर किनारा याद रहता है बहुत लहरों को पकड़ा डूबने वाले के हाथों ने यही बस एक दरिया का नज़ारा याद रहता है सदाएँ एक सी यकसानियत में डूब जाती हैं ज़रा सा मुख़्तलिफ़ जिस ने पुकारा याद रहता है मैं किस तेज़ी से ज़िंदा हूँ मैं ये तो भूल जाता हूँ नहीं आना है दुनिया में दोबारा याद रहता है

sar-e-sahrā musāfir ko sitāra yaad rahtā hai
Adeem Hashmi
Adeem Hashmi
Adeem Hashmi
poet55 quotes

More by Adeem Hashmi

View all →
Quote
"taalluq apni jagah tujh se barqaraar bhi hai magar ye kyaa ki tire qurb se faraar bhi hai kured aur zamin mausamon ke mutalaashi! yahin kahin miri khoi hui bahaar bhi hai yahi na ho tiri manzil zaraa Thahar ai dil vahi makaan hai diyon ki vahi qataar bhi hai yunhi to ruuh nahin toDti hisaar-e-badan zarur apnaa koi baadalon ke paar bhi hai main pattharon se hi sar ko paTakh ke lauT aayaa chaTaan kahti rahi mujh mein shaahkaar bhi hai ye kyaa ki rok ke baiThaa huaa huun sail-e-havas machaan par bhi huun aur saamne shikaar bhi hai chhupaa huaa bhi huun jiine ki aarzu le ke panaah-gaah miri sher ki kachhaar bhi hai"
Adeem HashmiAdeem Hashmi
Quote
"rakht-e-safar yunhi to na bekaar le chalo rasta hai dhuup kaa koi divaar le chalo taaqat nahin zabaan mein to likh hi lo dil ki baat koi to saath surat-e-izhaar le chalo dekhun to vo badal ke bhalaa kaisaa ho gayaa mujh ko bhi us ke saamne is baar le chalo kab tak nadi ki tah mein utaaroge kashtiyaan ab ke to haath mein koi patvaar le chalo paDti hain dil pe gham ki agar silvaTein to kyaa chehre pe to khushi ke kuchh aasaar le chalo jitne bhanvar kahoge pahan lungaa jism par ik baar to nadi ke mujhe paar le chalo kuchh bhi nahin agar to hatheli pe jaan sahi tohfa koi to us ke liye yaar le chalo"
Adeem HashmiAdeem Hashmi
Quote
"gham ke har ik rang se mujh ko shanaasaa kar gayaa vo miraa mohsin mujhe patthar se hiiraa kar gayaa ghurtaa thaa main khalaa mein to saji thiin mahfilein meraa aankhon kaa jhapaknaa mujh ko tanhaa kar gayaa har taraf uDne lagaa taarik saayon kaa ghubaar shaam kaa jhonkaa chamaktaa shahr mailaa kar gayaa chaaT li kirnon ne mere jism ki saari miThaas main samundar thaa vo suraj mujh ko sahraa kar gayaa ek lamhe mein bhare baazaar sone ho gae ek chehra sab puraane zakhm taaza kar gayaa main usi ke raabte mein jis tarah malbus thaa yuun vo daaman khinch kar mujh ko barahna kar gayaa raat bhar ham raushni ki aas mein jaage 'adim' aur din aayaa to aankhon mein andheraa kar gayaa"
Adeem HashmiAdeem Hashmi
Quote
"kis havaale se mujhe kis kaa pataa yaad aayaa husn-e-kaafir ko jo dekhaa to khudaa yaad aayaa ek TuuTaa huaa paimaan-e-vafaa yaad aayaa yaad aayaa bhi mujhe aaj to kyaa yaad aayaa shaam ke haath ne jis vaqt lagaa li mehndi mujhe us vaqt tiraa rang-e-hinaa yaad aayaa kahin aankhon ki nami raaz na ifshaa kar de main ne munh pher liyaa tu jo zaraa yaad aayaa saare fankaar uThaa laae the shahkaaron ko aur main thaa mujhe andaaz tiraa yaad aayaa kitni duniyaa thi mire gird tujhe kyaa maalum baDi mushkil se mujhe teraa pataa yaad aayaa tere daaman mein nami itni ziyaada kyuun hai kaun saa phuul tujhe baad-e-sabaa yaad aayaa jab kisi ko koi ummid vafaaon ki na thi mujhe us pal tiraa paimaan-e-vafaa yaad aayaa qadam uThte the kahaan su-e-haram apne 'adim' aaj mushkil nazar aai to khudaa yaad aayaa"
Adeem HashmiAdeem Hashmi
Quote
"kyuun mire lab pe vafaaon kaa savaal aa jaae ain mumkin hai use khud hi khayaal aa jaae hijr ki shaam bhi siine se lagaa letaa huun kyaa khabar yunhi kabhi shaam-e-visaal aa jaae ghar isi vaaste jangal mein badal Daalaa hai shaayad aise hi idhar meraa ghazaal aa jaae dhanak ubhre sar-e-aflaak kaDi dhuup mein bhi dasht-e-vahshat mein agar teraa khayaal aa jaae koi to uD ke dahaktaa huaa suraj Dhaanpe gard hi sar pe ghaTaaon ki misaal aa jaae chhoD de vo mujhe taklif mein mumkin to nahin aur agar aisi kabhi surat-e-haal aa jaae us ghaDi puchhungaa tujh se ye jahaan kaisaa hai jab tire husn pe thoDaa saa zavaal aa jaae kuchh nahin hai to bhulaanaa hi use siikh 'adim' zindagi mein tujhe koi to kamaal aa jaae"
Adeem HashmiAdeem Hashmi
Quote
"dil ajab gumbad ki jis mein ik kabutar bhi nahin itnaa viraan to mazaaron kaa muqaddar bhi nahin Dubti jaati hain miTTi mein badan ki kashtiyaan dekhne mein ye zamin koi samundar bhi nahin jitne hangaame the sukhi Tahniyon se jhaD gae peD par phal bhi nahin aangan mein patthar bhi nahin khushk Tahni par parinda hai ki pattaa hai 'adim' aashiyaana bhi nahin jis kaa koi par bhi nahin jitni pyaari hain miri dharti ko zanjirein 'adim' utnaa pyaaraa to kisi dulhan ko zevar bhi nahin"
Adeem HashmiAdeem Hashmi

More on Sad

View all →
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
A
Aiman Amritsari
Quote
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
Musavvir SabzwariMusavvir Sabzwari