SHAWORDS

sar pe Daale hue vo gard-e-malaal aataa hai — Girami Chishti

HomeGirami ChishtiGhazal
"sar pe Daale hue vo gard-e-malaal aataa hai jab use meri vafaaon kaa khayaal aataa hai main jo chaahun to badal duun abhi nazm-e-aalam kyaa karun teri mashiyyat kaa khayaal aataa hai kaun hotaa hai bure vaqt kaa saathi ham dam aise aalam mein kise kis kaa khayaal aataa hai fitne uTh uTh ke qadam-bos hue jaate hain kis qayaamat ki vo chalte hue chaal aataa hai koi aataa to hai taskin ki khaatir ai dil vo na aaein na sahi un kaa khayaal aataa hai saari duniyaa nazar aati hai 'giraami' taarik jab mujhe dil ki tabaahi kaa khayaal aataa hai"
Urdu

سر پہ ڈالے ہوئے وہ گرد ملال آتا ہے جب اسے میری وفاؤں کا خیال آتا ہے میں جو چاہوں تو بدل دوں ابھی نظم عالم کیا کروں تیری مشیت کا خیال آتا ہے کون ہوتا ہے برے وقت کا ساتھی ہم دم ایسے عالم میں کسے کس کا خیال آتا ہے فتنے اٹھ اٹھ کے قدم بوس ہوئے جاتے ہیں کس قیامت کی وہ چلتے ہوئے چال آتا ہے کوئی آتا تو ہے تسکین کی خاطر اے دل وہ نہ آئیں نہ سہی ان کا خیال آتا ہے ساری دنیا نظر آتی ہے گرامیؔ تاریک جب مجھے دل کی تباہی کا خیال آتا ہے

Hindi

सर पे डाले हुए वो गर्द-ए-मलाल आता है जब उसे मेरी वफ़ाओं का ख़याल आता है मैं जो चाहूँ तो बदल दूँ अभी नज़्म-ए-आलम क्या करूँ तेरी मशिय्यत का ख़याल आता है कौन होता है बुरे वक़्त का साथी हम दम ऐसे आलम में किसे किस का ख़याल आता है फ़ित्ने उठ उठ के क़दम-बोस हुए जाते हैं किस क़यामत की वो चलते हुए चाल आता है कोई आता तो है तस्कीन की ख़ातिर ऐ दिल वो न आएँ न सही उन का ख़याल आता है सारी दुनिया नज़र आती है 'गिरामी' तारीक जब मुझे दिल की तबाही का ख़याल आता है

sar pe Daale hue vo gard-e-malāl aatā hai
Girami Chishti
Girami Chishti
Girami Chishti
poet6 quotes

More by Girami Chishti

View all →
Quote
"raaz-e-dil kyaa zabaan se niklaa ghar kaa bhedi makaan se niklaa kyaa milaa haal-e-dil bayaan kar ke kyaa natija bayaan se niklaa ho gayaa ham-kanaar-e-manzil-e-shauq dil jo vahm-o-gumaan se niklaa raat khalvat mein chain se guzri dil kaa armaan shaan se niklaa aa gayaa dil kaa khuun mizhgaan par dur-e-shahvaar kaan se niklaa jab kahaa main ne aap aaeinge yak-ba-yak haan zabaan se niklaa honge donon jahaan tah-o-baalaa vo kabhi laa-makaan se niklaa vo ye kahte hain khinch leinge zabaan harf koi zabaan se niklaa aah yuun dil se shaam-e-gham nikli tiir jaise kamaan se niklaa lab khule rah gae sar-e-mahfil kyaa kahaa kyaa zabaan se niklaa muft mein ai 'giraami' khvaar hue kaam kyaa paasbaan se niklaa"
Girami ChishtiGirami Chishti
Quote
"shab-e-vasl aur lab pe nafrat ki baatein mohabbat se kiije mohabbat ki baatein lahu sina-e-sang se phuuT nikle sunaaun jo ai dost ghurbat ki baatein miraa dil mohabbat se ab bhar chukaa hai na kiije meherbaan mohabbat ki baatein na hamdam hai koi kisi kaa na monis dikhaave ki hoti hain chaahat ki baatein na dushnaam diije ye achchhaa nahin hai sharifon se kiije sharaafat ki baatein kudurat har ik dil mein ghar kar chuki hai har ik kar rahaa hai zarurat ki baatein abhi tak mujhe yaad hain ai 'giraami' vo makhmur raatein vo khalvat ki baatein"
Girami ChishtiGirami Chishti
Quote
"tujhe 'ishq jaur-o-jafaa se hai tiraa kaam jud-o-sakhaa nahin mujhe sirf is kaa malaal hai tujhe paas-e-ahd-e-vafaa nahin main kisi kaa banda-e-zar nahin main kisi ke dar pe jhukaa nahin tire maa-sivaa do-jahaan mein miraa aur koi khudaa nahin abhi hosh aayaa hai ham-nashin abhi dil ko chain milaa nahin zaraa kah do fasl-e-bahaar se abhi chaak-e-daamaan siyaa nahin chalin laakh aandhiyaan zulm ki uThe laakh tufaan hain jabr ke jo lahu se ham ne jalaa diyaa vo charaagh ab bhi bujhaa nahin baDi kaif-aavar hain lazzatein tiri yaad ki tire hijr ki jo maza hai shaam-e-firaaq mein shab-e-vasl mein vo maza nahin hain ye ahl-e-qaafila naa-samajh ye samajh mein aataa hai ham-nashin use mir-e-kaarvaan chun liyaa jise aap apnaa pata nahin vo zarur aaeinge ek din vo zarur aaeinge bil-yaqin tu kisi ki haan pe yaqin na kar ye 'giraami' dil ki sadaa nahin"
Girami ChishtiGirami Chishti

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud