SHAWORDS

sar tan se bekason ke judaa kar diye gae — Bismillah Adeem

"sar tan se bekason ke judaa kar diye gae tohfe mein is sadi ko 'ataa kar diye gae le kar main zindagi ke vasaail ko kyaa karun asbaab har khushi ke fanaa kar diye gae fasl-e-bahaar khatm hui aai jab khizaan panchhi jo qaid mein the rihaa kar diye gae qaaem jahaan mein urdu zabaan kaa vaqaar hai aslaaf zulmaton mein jilaa kar diye gae raushan jo ittihaad ke asbaaq the 'adim' taarikh se vo lafz judaa kar diye gae"
Urdu

سر تن سے بیکسوں کے جدا کر دئے گئے تحفے میں اس صدی کو عطا کر دئے گئے لے کر میں زندگی کے وسائل کو کیا کروں اسباب ہر خوشی کے فنا کر دئے گئے فصل بہار ختم ہوئی آئی جب خزاں پنچھی جو قید میں تھے رہا کر دئے گئے قائم جہاں میں اردو زباں کا وقار ہے اسلاف ظلمتوں میں جلا کر دئے گئے روشن جو اتحاد کے اسباق تھے عدیمؔ تاریخ سے وہ لفظ جدا کر دئے گئے

Hindi

सर तन से बेकसों के जुदा कर दिए गए तोहफ़े में इस सदी को 'अता कर दिए गए ले कर मैं ज़िंदगी के वसाइल को क्या करूँ अस्बाब हर ख़ुशी के फ़ना कर दिए गए फ़स्ल-ए-बहार ख़त्म हुई आई जब ख़िज़ाँ पंछी जो क़ैद में थे रिहा कर दिए गए क़ाएम जहाँ में उर्दू ज़बाँ का वक़ार है अस्लाफ़ ज़ुल्मतों में जिला कर दिए गए रौशन जो इत्तिहाद के अस्बाक़ थे 'अदीम' तारीख़ से वो लफ़्ज़ जुदा कर दिए गए

sar tan se bekasoñ ke judā kar diye ga.e
Bismillah Adeem
Bismillah Adeem
Bismillah Adeem
poet17 quotes

More by Bismillah Adeem

View all →
Quote
"chaman kaa husn bahaaron ki shokhiyaan le kar vo aa rahe hain nigaahon mein mastiyaan le kar tire khulus pe saaqi na harf aa jaae main pi rahaa huun zamaane se talkhiyaan le kar tumhaari shokh nigaahon ne taazgi bakhshi dilon ke ghunche chaTakte hain siskiyaan le kar shu'ur-e-zaat mein ehsaas kaa diyaa rakh do zamaana madd-e-muqaabil hai aandhiyaan le kar mujhe na aa ke jagaa denaa khvaab-e-shirin se main so rahaa huun tumhaari nishaaniyaan le kar 'adim' aaj main ahl-e-sukhan ki mahfil se chalaa huun apne takhayyul ki dhajjiyaan le kar"
Bismillah AdeemBismillah Adeem
Quote
"daastaan-e-gardish-e-ayyaam likhtaa jaaungaa main muarrikh huun tiraa anjaam likhtaa jaaungaa rah na jaae suunaa suunaa teri hasti kaa varaq khub-surat saa koi ilzaam likhtaa jaaungaa is sadi ne jis qadar ranj-o-gham bakhshe mujhe bas usi ki daastaan har gaam likhtaa jaaungaa rang-birangi titliyon aur jugnuon ke vaaste dukh achhute kuchh niraale kaam likhtaa jaaungaa har jagah phailaai hai main ne qalam ki raushni jis taraf jaaungaa ik paighaam likhtaa jaaungaa kyon 'azaab-e-jaan ise duniyaa samajhti hai 'adim' zakhm gahre hi sahi in'aam likhtaa jaaungaa"
Bismillah AdeemBismillah Adeem
Quote
"phulon ki narm chhaaon mein jaltaa rahaa badan fitrat mein sang ho ke pighaltaa rahaa badan ‘aish-o-tarab ke saae mein palti rahi hayaat hirs-o-havas ki aag mein jaltaa rahaa badan murda zamir ho gae haalaat ke sabab poshaak maslahat ki badaltaa rahaa badan bahr-e-tafakkuraat ki yurish na puchhiye paani mein rah ke aag ugaltaa rahaa badan duniyaa ki dhuup chhaaon mein rahne ke baa'd bhi ghunche ki tarh phultaa phaltaa rahaa badan sarv o saman shagufa gul-o-laala nastaran kitne hi zaaviyon mein vo Dhaltaa rahaa badan maazi ke nashtaron ke kachokon se ai 'adim' ho kar lahuluhaan machaltaa rahaa badan"
Bismillah AdeemBismillah Adeem

More on Sad

View all →
Quote
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
Arshad Jamal SarimArshad Jamal Sarim