"gham-e-hayaat gham-e-dil nishaat-e-jaan guzraa tumhaare saath har ik lamha shaadmaan guzraa taDap ke dard se fariyaad ko jo lab khole sitam shiaar zamaane pe ye garaan guzraa badal de rukh jo miri zindagi ke dhaaron kaa vo haadisa mire dil par abhi kahaan guzraa javaab-e-tur-o-tajalli kaheinge ahl-e-nazar jo dil ki raah se vo husn-e-mehrbaan guzraa basaa ke dil mein tire gham tire sitam ai dost jahaan jahaan se bhi guzraa main naghma-khvaan guzraa"
shaam aai dard kaa bistar khulaa — Abdul Mateen Niyaz
"shaam aai dard kaa bistar khulaa ab rahegaa zakhm-e-dil shab-bhar khulaa qatl kaa ilzaam mujh par kis liye khuun us ki aastinon par khulaa paaon ke niche zamin dozakh hui aur sar par dhuup kaa khanjar khulaa amn kaa daftar bhi us ke ghar mein hai chhoD rakkhaa hai usi ne shar khulaa nafraton ke is kunein ko chhoDiye aaiye baahar ki hai baahar khulaa tul gae aadarsh sab daulat ke bhaav is sadi kaa kyaa ajab manzar khulaa munh se us ke phuul jhaDte hain 'niyaaz' haath mein rakhtaa hai vo nishtar khulaa"
شام آئی درد کا بستر کھلا اب رہے گا زخم دل شب بھر کھلا قتل کا الزام مجھ پر کس لیے خون اس کی آستینوں پر کھلا پاؤں کے نیچے زمیں دوزخ ہوئی اور سر پر دھوپ کا خنجر کھلا امن کا دفتر بھی اس کے گھر میں ہے چھوڑ رکھا ہے اسی نے شر کھلا نفرتوں کے اس کنوئیں کو چھوڑیئے آئیے باہر کہ ہے باہر کھلا تل گئے آدرش سب دولت کے بھاؤ اس صدی کا کیا عجب منظر کھلا منہ سے اس کے پھول جھڑتے ہیں نیازؔ ہاتھ میں رکھتا ہے وہ نشتر کھلا
शाम आई दर्द का बिस्तर खुला अब रहेगा ज़ख़्म-ए-दिल शब-भर खुला क़त्ल का इल्ज़ाम मुझ पर किस लिए ख़ून उस की आस्तीनों पर खुला पावँ के नीचे ज़मीं दोज़ख़ हुई और सर पर धूप का ख़ंजर खुला अम्न का दफ़्तर भी उस के घर में है छोड़ रक्खा है उसी ने शर खुला नफ़रतों के इस कुएँ को छोड़िए आईये बाहर कि है बाहर खुला तुल गए आदर्श सब दौलत के भाव इस सदी का क्या अजब मंज़र खुला मुँह से उस के फूल झड़ते हैं 'नियाज़' हाथ में रखता है वो निश्तर खुला

More by Abdul Mateen Niyaz
View all →"tajrabon ke mausam jab saazgaar aaeinge fikr ke darakhton mein barg-o-baar aaeinge juratein uDaanon ki paar le gaiin ham ko ghaat mein rahe jangal ab shikaar aaeinge TukDe TukDe ummidein joD lungaa main jis din hanste gaate mausam khud mere dvaar aaeinge ham ko dekhnaa ye hai bojh to nahin jivan marhale to dukh sukh ke baar baar aaeinge phuul bante jaaeinge zakhm zakhm talvon se meri raah mein jitne khaar-zaar aaeinge Duub jaa niyaaz ab to sath ki chamak mat dekh tujh ko gahre paani hi saazgaar aaeinge"
"hamein to jism se baahar khulaa saa lagtaa hai ye jism ruuh pe lipTi ridaa saa lagtaa hai har ek chehre pe kuchh rang hai kudurat kaa tamaam shahr kaa mausam khafaa saa lagtaa hai sukhan farebon ko rakhtaa hai vo aziiz magar miraa khulus use be-mazaa saa lagtaa hai vajud us kaa munavvar hai us ki sirat se vo aadmi hai magar aaina saa lagtaa hai tumhaari zaat pe kartaa hai jab koi tanqid khudaa hi jaane mujhe kyon buraa saa lagtaa hai amir-e-shahr kaa kirdaar hi nahin khultaa kabhi harif kabhi ham-navaa saa lagtaa hai 'niyaaz' fikr dikhaati hai jab kabhi eajaaz puraanaa lafz bhi bilkul nayaa saa lagtaa hai"
"barg piile kyaa hue shor-e-khizaan uThne lagaa be-sharar hi sina-e-gul se dhuaan uThne lagaa naam par ham ko tahaffuz ke mile itne fareb dhire dhire eatibaar-e-aasmaan uThne lagaa rahmatein shaayad ki ham se bhi gurezaan ho gaiin varna kyon is shahr se amn-o-amaan uThne lagaa kah ke divaana mujhe duniyaa ne rusvaa kar diyaa aankh se jab parda-e-vahm-o-gumaan uThne lagaa baT gai ik din jaziron mein hamaari zindagi aur kahaani se shuur-e-daastaan uThne lagaa kaash pahle jaagte to dhuup mein jalte na ham niind jab TuuTi ki sar se saaebaan uThne lagaa aag phir lagne lagi nafrat ki shahron mein 'niyaaz' dekhiye chaaron taraf phir se dhuaan uThne lagaa"
"par zaraa TuuTe hue se miri taqdir ke hain hausle zinda magar aaj bhi taamir ke hain jab lahu aankh se Tapkegaa chamak jaaeinge rang phike abhi ehsaas ki tasvir ke hain khvaab jo tum ne dikhaae the vo sab dekh liye masale ab to yahaan khvaab ki taabir ke hain khuub pahchaantaa hai dil tire tiron kaa mizaaj zakhm jitne bhi lage hain vo tire tiir ke hain zindagi ek tasalsul gham-o-aalaam kaa hai aur ham log bhi qaidi usi zanjir ke hain nafratein phuuT paDin ban ke lahu kaa sailaab kitne zahrile ye jumle tiri taqrir ke hain saahib-e-lauh-o-qalam us ke sivaa koi nahin saare gul-buTe 'niyaaz' us ki hi tahrir ke hain"
"hamaare dast-e-sakhaa kaasa-e-gadaai hain jo rahnumaa the vo muhtaaj-e-rahnumaai hain jo mil bhi jaae to kaise uThaaeinge talvaar ye bad-nasib to TuuTi hui kalaai hain harif jo bhi hain vo sab ke sab muqaabil hain jo vaar karte hain pichhe se apne bhaai hain bas ek naam ki tasbih roz-o-shab paDhnaa mujhe ye lagtaa hai ye dhaDkanein paraai hain ye aap hi ki navaazish hai mehrbaani hai hamaari palkon pe jo shamein jagmagaai hain main muntazir thaa bahaaron ke lauTne kaa magar mire dukhon ki rutein phir se lauT aai hain kahin bichhaDne ki saaat qarib hi to nahin 'niyaaz' aankhein achaanak jo DabDabaai hain"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"