"barbaadi-e-sarmaaya-e-jaan dekh rahaa huun ulfat ki navaazish kaa samaan dekh rahaa huun kis shokh ke shaanon pe hain bikhre hue gesu barham jo nizaam-e-do-jahaan dekh rahaa huun dekhaa na jise hazrat-e-musaa ne sar-e-tur main us ko qarib-e-rag-e-jaan dekh rahaa huun betaab jo hai apni jabin sajdon ki khaatir jhuk kar tire qadmon ke nishaan dekh rahaa huun allaah re jazb-o-kashish-e-ishrat-e-hasti hasrat se su-e-umr-e-ravaan dekh rahaa huun"
shab-e-gham hujum-e-alam tauba tauba — Hasan Azimabadi
"shab-e-gham hujum-e-alam tauba tauba aur aansu bhi aankhon mein kam tauba tauba shab-o-roz sahbaa-e-ulfat ki masti haram mein bhi yaad-e-sanam tauba tauba junun be-niyaaz-e-makaan hai to phir kyon ye takhsis-e-dair-o-haram tauba tauba bhalaa kyaa ye raanaai-e-dahr hoti na hote jahaan mein jo ham tauba tauba do-aalam ki daulat mire dil ki qimat kahaan ye kahaan jaam-e-jam tauba tauba nigaahein bachaa kar vo un kaa tabassum karam-koshiyon mein sitam tauba tauba"
شب غم ہجوم الم توبہ توبہ اور آنسو بھی آنکھوں میں کم توبہ توبہ شب و روز صہبائے الفت کی مستی حرم میں بھی یاد صنم توبہ توبہ جنوں بے نیاز مکاں ہے تو پھر کیوں یہ تخصیص دیر و حرم توبہ توبہ بھلا کیا یہ رعنائیٔ دہر ہوتی نہ ہوتے جہاں میں جو ہم توبہ توبہ دو عالم کی دولت مرے دل کی قیمت کہاں یہ کہاں جام جم توبہ توبہ نگاہیں بچا کر وہ ان کا تبسم کرم کوشیوں میں ستم توبہ توبہ
शब-ए-ग़म हुजूम-ए-अलम तौबा तौबा और आँसू भी आँखों में कम तौबा तौबा शब-ओ-रोज़ सहबा-ए-उल्फ़त की मस्ती हरम में भी याद-ए-सनम तौबा तौबा जुनूँ बे-नियाज़-ए-मकाँ है तो फिर क्यों ये तख़सीस-ए-दैर-ओ-हरम तौबा तौबा भला क्या ये रानाई-ए-दहर होती न होते जहाँ में जो हम तौबा तौबा दो-आलम की दौलत मिरे दिल की क़ीमत कहाँ ये कहाँ जाम-ए-जम तौबा तौबा निगाहें बचा कर वो उन का तबस्सुम करम-कोशियों में सितम तौबा तौबा
More by Hasan Azimabadi
View all →"meri vahshat kaa kyaa zamaana hai har zabaan par miraa fasaana hai dil hai aur ishq kaa fasaana hai uf javaani bhi kyaa zamaana hai zulf jab tak rahin-e-shaana hai dil ki uljhan kaa ik bahaana hai kis taraf ko jhuke jabin-e-sujud har taraf teraa aastaana hai dekhein kis kis se zulf ulajhti hai saamne aaina na shaana hai tausan-e-shauq kyon ruke meraa har-nafas dil ko taaziyaana hai ghaur se dekhiye agar to 'hasan' zindagi maut kaa fasaana hai"
"aariz-o-zulf-e-yaar ki baatein jaise lail-o-nahaar ki baatein husn se tazkira mohabbat kaa aaine se ghubaar ki baatein kitni rangin hai apni shaam-e-firaaq pahron dil se hain yaar ki baatein kab na daar-o-rasan ne chheDi hain jurat-e-paaedaar ki baatein tum ho aur be-niyaazi-e-paiham ham hain aur eatibaar ki baatein miT chuke valvale bahaaron ke ab kahaan laala-zaar ki baatein dil pe ab shaaq hain bahut hamdam mausam-e-khush-gavaar ki baatein sun sako to zabaan-e-gul se suno daaman-e-taar-taar ki baatein haasil-e-umr ban gai hain 'hasan' husn-e-imaan-shikaar ki baatein"
"saaz-e-dil par gungunaane kaa zamaana aa gayaa aa gayaa piine pilaane kaa zamaana aa gayaa pai-ba-pai saaghar lunDhaane kaa zamaana aa gayaa har qadam par laDkhaDaane kaa zamaana aa gayaa phir kisi ki yaad dil mein chuTkiyaan lene lagi phir taDapne tilmilaane kaa zamaana aa gayaa phir kisi ke aastaan par le chalaa zauq-e-sujud har qadam par sar jhukaane kaa zamaana aa gayaa miT gayaa shauq-e-talab mein sar-basar ehsaas-e-gham mushkilon par muskuraane kaa zamaana aa gayaa hai pas-e-parda jamaal-e-dil-nashin jalva-fagan dida-o-dil aazmaane kaa zamaana aa gayaa mil gai 'arz-e-tamannaa ki ijaazat mil gai harf-e-matlab bhuul jaane kaa zamaana aa gayaa"
"hujum-e-shauq ne rusvaa kiyaa kyaa main kyaa kahne ko thaa aur kah gayaa kyaa gulon kaa khuun gulistaan ki tabaahi manaazir saamne aae hain kyaa kyaa junun-e-rah-ravi apnaa salaamat kareinge rahnumaai rahnumaa kyaa kanval ke phuul par shabnam ke qatre ghurur-e-husn ko aakhir huaa kyaa nazar mein thaa jamaal-e-sad-bahaaraan main su-e-gul palaT kar dekhtaa kyaa tumhaari be-rukhi allaah rakkhe miri betaabiyon kaa tazkira kyaa jise raushan kiyaa thaa khun-e-dil se 'hasan' bujhne lagaa vo bhi diyaa kyaa"
"aaina dida-e-hairaan nazar aataa hai mujhe yaani zarra bhi bayaabaan nazar aataa hai mujhe apni hasti kaa ye unvaan nazar aataa hai mujhe jaise ik khvaab-e-pareshaan nazar aataa hai mujhe dasht-e-vahshat ki faraavaani-e-vahshat tauba ab to daaman bhi garebaan nazar aataa hai mujhe phir qadam uThte hain rah rah ke bayaabaan ki taraf phir junun silsila-jumbaan nazar aataa hai mujhe phir baDhi jaati hai har zakhm-e-jigar ki shorish phir miri ziist kaa saamaan nazar aataa hai mujhe aaj saaqi ne pilaai hai mujhe vo sahbaa jis ke har ghunT mein imaan nazar aataa hai mujhe is qadar ishrat-e-hasti ne kiyaa girvida har nafas shauq-badaamaan nazar aataa hai mujhe sai-e-naakaam pe be-saakhta hans detaa huun jab koi taalib-e-armaan nazar aataa hai mujhe mil gai mujh ko 'hasan' zauq-e-nazar si daulat ab to har phuul gulistaan nazar aataa hai mujhe"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"