"kharaab-o-khasta sahi saaebaan banaayaa hai muzaaf-e-shahr mein ham ne makaan banaayaa hai kabhi rahaa hi nahin mausamon se paivasta nae mizaaj kaa ik gulsitaan banaayaa hai kisi ke vaaste firdaus hai ye sayyaara hamaare vaaste aazaar-e-jaan banaayaa hai hudud-e-vaqt mein mahdud kar ke insaan ko khud apne vaaste kyuun laa-makaan banaayaa hai gar ikhtilaaf thaa 'manzar' to bhi bayaan karte zaraa si baat ko kyuun daastaan banaayaa hai"
shahr ki is bhiiD mein huun be-nishaan hote hue — Mohammad Ali Manzar
"shahr ki is bhiiD mein huun be-nishaan hote hue dekhtaa rahtaa huun khud ko raaegaan hote hue meri is tanhaai ki ab koi to taavil ho kyon akelaa chal rahaa huun kaarvaan hote hue main tumhaare ghar mein ik din raushni le aaungaa ik sitaare ne kahaa ye mehrbaan hote hue har taraf murjhaai kaliyaan har taraf patton kaa shor baagh kyon ujDaa huaa hai baaghbaan hote hue kab bhalaa fursat milegi fikr-e-duniyaa se mujhe giit kab likkhungaa 'manzar' shaadmaan hote hue"
شہر کی اس بھیڑ میں ہوں بے نشاں ہوتے ہوئے دیکھتا رہتا ہوں خود کو رائیگاں ہوتے ہوئے میری اس تنہائی کی اب کوئی تو تاویل ہو کیوں اکیلا چل رہا ہوں کارواں ہوتے ہوئے میں تمہارے گھر میں اک دن روشنی لے آؤں گا اک ستارے نے کہا یہ مہرباں ہوتے ہوئے ہر طرف مرجھائی کلیاں ہر طرف پتوں کا شور باغ کیوں اجڑا ہوا ہے باغباں ہوتے ہوئے کب بھلا فرصت ملے گی فکر دنیا سے مجھے گیت کب لکھوں گا منظرؔ شادماں ہوتے ہوئے
शहर की इस भीड़ में हूँ बे-निशाँ होते हुए देखता रहता हूँ ख़ुद को राएगाँ होते हुए मेरी इस तन्हाई की अब कोई तो तावील हो क्यों अकेला चल रहा हूँ कारवाँ होते हुए मैं तुम्हारे घर में इक दिन रौशनी ले आऊँगा इक सितारे ने कहा ये मेहरबाँ होते हुए हर तरफ़ मुरझाई कलियाँ हर तरफ़ पत्तों का शोर बाग़ क्यों उजड़ा हुआ है बाग़बाँ होते हुए कब भला फ़ुर्सत मिलेगी फ़िक्र-ए-दुनिया से मुझे गीत कब लिक्खूंगा 'मंज़र' शादमाँ होते हुए
More by Mohammad Ali Manzar
View all →"misaali duniyaa mein ji rahaa huun khayaali duniyaa mein ji rahaa huun tamaam chehron pe tirgi hai main kaali duniyaa mein ji rahaa huun zabaan shoale ugal rahi hai jalaali duniyaa mein ji rahaa huun tamaam manzar badal chuke hain main khaali duniyaa mein ji rahaa huun main apne khvaabon ke gul sajaae niraali duniyaa mein ji rahaa huun har ek kaasa-ba-dast manzar savaali duniyaa mein ji rahaa huun"
"sukut-e-shaam samundar parindagaan suraj ye lamha lamha badaltaa huaa jahaan suraj fasil-e-shahr-e-shikasta ke miT gae aasaar guzishta ahd ki kahtaa hai daastaan suraj samundaron ke safar par hue ravaana jab hamaare saath chalaa misl-e-baadbaan suraj vo maujein maartaa dariyaa yaa reg-e-sahraa hai ajiib Dhang se letaa hai imtihaan suraj zamin pe rang hain jitne sabhi isi se hain hamaare sar pe chamaktaa hai mehrbaan suraj"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"