SHAWORDS

sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa — Aabid Adeeb

HomeAabid AdeebGhazal
"sharik-e-aalam-e-kaif-o-surur main bhi thaa ki raat jashn mein tere huzur main bhi thaa ajiib vaqt thaa duniyaa qarib thi mere ghazab ye thaa tire daaman se duur main bhi thaa ghamon ke ghere mein jab raqs kar rahi thi hayaat tamaash-bin ki tarah be-shuur main bhi thaa na ruknaa raah mein shart-e-safar mein shaamil thaa thakan se varna bahut chuur chuur main bhi thaa utar rahaa thaa lahu kis balaa kaa aankhon mein tire khayaal mein us dam zarur main bhi thaa guzarte vaqt ne pahre baiThaa diye 'aabid' khataaein un ki na thiin be-qusur main bhi thaa"
Urdu

شریک عالم کیف و سرور میں بھی تھا کہ رات جشن میں تیرے حضور میں بھی تھا عجیب وقت تھا دنیا قریب تھی میرے غضب یہ تھا ترے دامن سے دور میں بھی تھا غموں کے گھیرے میں جب رقص کر رہی تھی حیات تماش بیں کی طرح بے شعور میں بھی تھا نہ رکنا راہ میں شرط سفر میں شامل تھا تھکن سے ورنہ بہت چور چور میں بھی تھا اتر رہا تھا لہو کس بلا کا آنکھوں میں ترے خیال میں اس دم ضرور میں بھی تھا گزرتے وقت نے پہرے بیٹھا دئے عابدؔ خطائیں ان کی نہ تھیں بے قصور میں بھی تھا

Hindi

शरीक-ए-आलम-ए-कैफ़-ओ-सुरूर मैं भी था कि रात जश्न में तेरे हुज़ूर मैं भी था अजीब वक़्त था दुनिया क़रीब थी मेरे ग़ज़ब ये था तिरे दामन से दूर मैं भी था ग़मों के घेरे में जब रक़्स कर रही थी हयात तमाश-बीं की तरह बे-शुऊर मैं भी था न रुकना राह में शर्त-ए-सफ़र में शामिल था थकन से वर्ना बहुत चूर चूर मैं भी था उतर रहा था लहू किस बला का आँखों में तिरे ख़याल में उस दम ज़रूर मैं भी था गुज़रते वक़्त ने पहरे बैठा दिए 'आबिद' ख़ताएँ उन की न थीं बे-क़ुसूर मैं भी था

sharīk-e-ālam-e-kaif-o-surūr maiñ bhī thā
Aabid Adeeb
Aabid Adeeb
Aabid Adeeb
poet18 quotes

More by Aabid Adeeb

View all →
Quote
"ye mere shahr kaa ik aur haadisa hogaa vo kal yahaan miraa mehmaan ban chukaa hogaa talaash mein huun kisi ki main kab se sargardaan usi tarah koi mujh ko bhi DhunDhtaa hogaa miri tarah se koi chikhtaa hai raahon mein miri tarah koi duniyaa ko dekhtaa hogaa lagaa ke aaegaa chehra koi nayaa shab mein vo jis ko baiTh ke din mein taraashtaa hogaa shanaasaa chehre bhi lagne lage hain begaane ab apnaa vaqt hi shaayad badal rahaa hogaa udaas udaas saa khoyaa huaa saa rahtaa hai kuchh us se bhi koi kah kar badal gayaa hogaa thakaa thakaa saa usi dar pe aa ke baiThaa thaa na puchhaa hogaa kisi ne to chal diyaa hogaa jahaan pahunch ke qadam Dagmagaae hain sab ke usi maqaam se ab apnaa raasta hogaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"giton kaa shahr hai ki nagar soz-o-saaz kaa qalb-e-shikasta aur ye aalam gudaaz kaa chaaron taraf saji hain dukaanein khulus ki chamkaa hai kaarobaar har ik hilaa-saaz kaa vo chaahe khvaab ho ki haqiqat magar kabhi ehsaan uThaaegaa na libaas-e-majaaz kaa jis tarah chaahaa jaae hai chaahaa nahin abhi andesha jaan khaae hai ifshaa-e-raaz kaa bahrupiyaa hai koi phire hai nagar nagar qaatil kaa ruup dhaare kabhi chaarasaaz kaa yuun hanste hanste daar-e-fanaa se chalaa hai vo jaise safar nasib ho arz-e-hijaaz kaa 'aabid' ghamon ki dhuup mein jalnaa hai chaar din bas qissa mukhtasar hai ye umr-e-daraaz kaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"safar kaa shauq na manzil ki justuju baaqi musaafiron ke badan mein nahin lahu baaqi tamaam raat havaaon kaa gasht jaari thaa savere tak na rahaa koi hu-ba-hu baaqi sabhi tarah se taaaruf to ho gayaa un kaa rahi hai ab to mulaaqaat ru-ba-ru baaqi jo bhiiD bikhre to dekhun talab ye kaisi hai dayaar-e-ghair mein hai kis ki justuju baaqi vahi nazaare vahi garmi-e-sukhan hai magar na hi vo baat na vo tarz-e-guftugu baaqi zamaana mujh se judaa ho gayaa zamaana huaa rahaa hai ab to bichhaDne ko mujh se tu baaqi usi lihaaz kaa 'aabid' malaal hai ham ko rahaa na aaj jo dauraan-e-guftugu baaqi"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"jab jab bhi dekhiye use khun-baar si lage duniyaa hamesha barsar-e-paikaar si lage har har nafas pe rang badalti hai zindagi ik phuul si lage hai kabhi khaar si lage chehra hai mere dost kaa yaa koi aaina dekhun ulaT-palaT ke to bhi aarsi lage aadat si paD gai hai use bolne ki tez vo baat bhi kare hai to takraar si lage tum saath ho to ham bhi bayaabaan ko ghar karein ye sakht dhuup saaya-e-divaar si lage har har qadam pe jaise ki biktaa ho aadmi basti tamaam misr ke baazaar si lage 'aabid' tamaam shahr pe aalam hai kaun saa har ek shakl naqsh-ba-divaar si lage"
Aabid AdeebAabid Adeeb
Quote
"ye hai aab-e-ravaan na Thahregaa umr kaa kaarvaan na Thahregaa chhoD di hai jagah sutunon ne sar pe ab saaebaan na Thahregaa ret par hai asar havaaon kaa koi naam-o-nishaan na Thahregaa har qadam jo tumhaari samt uThaa sai-e-raaegaan na Thahregaa marhala aa gayaa tasaadum kaa faasla darmiyaan na Thahregaa dil kaa saudaa hai kaar-e-dil-daaraan farq-e-sud-o-ziyaan na Thahregaa kyon sunaate ho sab ko haal apnaa har koi raazdaan na Thahregaa chhoD degi zamin mehvar ko mustaqil aasmaan na Thahregaa apni aankhon mein aaj use bhar lo der tak ye samaan na Thahregaa juz teri mahfilon ke aur kahin 'aabid'-e-naa-tavaan Thahre Thahregaa"
Aabid AdeebAabid Adeeb

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri