SHAWORDS

sitam tir-e-nigaah-e-dilrubaa thaa — Hijr Nazim Ali Khan

"sitam tir-e-nigaah-e-dilrubaa thaa hamaare haq mein paighaam-e-qazaa thaa huaa achchhaa ki vo ghar se na nikle kise maa'lum kis ke dil mein kyaa thaa mujhe vo yaad karte hain ye kah kar khudaa bakhshe nihaayat baa-vafaa thaa umid-e-vasl ki haalat na puchho faqat ik aasraa hi aasraa thaa bahut achchhaa huaa vo le gae dil baDaa ziddi nihaayat bevafaa thaa nahin maa'lum us kam-sin ko ye bhi hamaare dil mein kyaa hai aur kyaa thaa na puchho jalva-gaah-e-naaz kaa haal har ik mahv-e-jamaal-e-dilrubaa thaa sunaa hai mai-kashi karne lagaa 'hijr' vo mard-e-baa-khudaa to paarsaa thaa"
Urdu

ستم تیر نگاہ دل ربا تھا ہمارے حق میں پیغام قضا تھا ہوا اچھا کہ وہ گھر سے نہ نکلے کسے معلوم کس کے دل میں کیا تھا مجھے وہ یاد کرتے ہیں یہ کہہ کر خدا بخشے نہایت باوفا تھا امید وصل کی حالت نہ پوچھو فقط اک آسرا ہی آسرا تھا بہت اچھا ہوا وہ لے گئے دل بڑا ضدی نہایت بے وفا تھا نہیں معلوم اس کمسن کو یہ بھی ہمارے دل میں کیا ہے اور کیا تھا نہ پوچھو جلوہ گاہ ناز کا حال ہر اک محو جمال دل ربا تھا سنا ہے مےکشی کرنے لگا ہجرؔ وہ مرد باخدا تو پارسا تھا

Hindi

सितम तीर-ए-निगाह-ए-दिलरुबा था हमारे हक़ में पैग़ाम-ए-क़ज़ा था हुआ अच्छा कि वो घर से न निकले किसे मा'लूम किस के दिल में क्या था मुझे वो याद करते हैं ये कह कर ख़ुदा बख़्शे निहायत बा-वफ़ा था उमीद-ए-वस्ल की हालत न पूछो फ़क़त इक आसरा ही आसरा था बहुत अच्छा हुआ वो ले गए दिल बड़ा ज़िद्दी निहायत बेवफ़ा था नहीं मा'लूम उस कम-सिन को ये भी हमारे दिल में क्या है और क्या था न पूछो जल्वा-गाह-ए-नाज़ का हाल हर इक महव-ए-जमाल-ए-दिलरुबा था सुना है मय-कशी करने लगा 'हिज्र' वो मर्द-ए-बा-ख़ुदा तो पारसा था

sitam tīr-e-nigāh-e-dilrubā thā
H
Hijr Nazim Ali Khan
Hijr Nazim Ali Khan
poet18 quotes

More by Hijr Nazim Ali Khan

View all →
Quote
"tum bhi nigaah mein ho adu bhi nazar mein hai duniyaa hamaare dida-e-hasrat-nagar mein hai haan jaante hain jaan kaa khvaahaan tumhin ko ham maalum hai ki tegh tumhaari kamar mein hai kyaa rashk hai ki ek kaa hai ek muddai tum dil mein ho to dard hamaare jigar mein hai go ghair ki baghal mein sahi vo pari-jamaal main to yahi kahungaa ki meri nazar mein hai donon ne dard-e-ishq ko taqsim kar liyaa thoDaa saa dil mein hai to zaraa saa jigar mein hai main bhi huun aaj main ki bar aai muraad-e-dil dil bhi hai aaj dil ki vo mehmaan ghar mein hai mamnun huun khayaal kaa apne shab-e-firaaq jo saamne nazar ke nahin vo nazar mein hai dilbar ho ek tum ki hamaari nazar mein ho dil hai hamaaraa dil ki tumhaari nazar mein hai kahte hain jis ko dil mire pahlu mein ab kahaan hai bhi to paaemaal kisi rahguzar mein hai dekho to dekhte hain tumhein kis nigaah se hasrat hai jis kaa naam hamaari nazar mein hai jis par paDi pasij gayaa mom ho gayaa Duubi hui nigaah hamaari asar mein hai jachtaa nahin nigaah mein koi hasin bhi 'hijr' jab se kisi ki chaand si surat nazar mein hai"
H
Hijr Nazim Ali Khan
Quote
"vo shokh baam pe jab be-naqaab aaegaa to maahtaab-e-falak ko hijaab aaegaa khabar na thi ki miTeinge javaan hote hi ajal kaa bhes badal kar shabaab aaegaa paDegaa aks jo saaqi ki chashm-e-maigun kaa nazar sharaab mein jaam-e-sharaab aaegaa hazaar haif ki sar naama-bar kaa aayaa hai samajh rahe the ki khat kaa javaab aaegaa kalim haan dil-e-betaab ko sambhaale hue sunaa hai tuur pe vo be-naqaab aaegaa jo aarzu hai hamaari vo kah to dein lekin khayaal ye hai ki tum ko hijaab aaegaa ye shokhiyaan tiri is kam-sini mein ai zaalim qayaamat aaegi jis din shabaab aaegaa kabhi ye fikr ki vo yaad kyuun kareinge hamein kabhi khayaal ki khat kaa javaab aaegaa chalaa hai 'hijr' siyahkaar bazm-e-jaanaan ko zalil ho ke ye khaana-kharaab aaegaa"
H
Hijr Nazim Ali Khan
Quote
"shab-e-firaaq kuchh aisaa khayaal-e-yaar rahaa ki raat bhar dil-e-gham-dida be-qaraar rahaa kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had ki be-gunaah se achchhaa gunaah-gaar rahaa tiraa khayaal bhi kis darja shokh hai ai shokh ki jitni der rahaa dil mein be-qaraar rahaa sharaab-e-ishq faqat ik zaraa si chakkhi thi baDaa surur ghuTaa muddaton khumaar rahaa unhein gharaz unhein matlab vo haal kyuun puchhein balaa se un ki agar koi be-qaraar rahaa tumhein kabhi na kabhi mar ke bhi dikhaa dungaa jo zindagi ne vafaa ki jo barqaraar rahaa adaaein dekh chuke aaine mein aap apni bataaiye to sahi dil par ikhtiyaar rahaa shab-e-visaal baDe lutf se kaTi ai 'hijr' tamaam raat kisi ke gale kaa haar rahaa"
H
Hijr Nazim Ali Khan
Quote
"kuchh mohabbat mein ajab sheva-e-dil-daar rahaa mujh se inkaar rahaa ghair se iqraar rahaa kuchh sarokaar nahin jaan rahe yaa na rahe na rahaa un se to phir kis se sarokaar rahaa shab-e-khalvat vahi hujjat vahi takraar rahi vahi qissa vahi ghussa vahi inkaar rahaa taalib-e-did ko zaalim ne ye likkhaa khat mein ab qayaamat pe miraa vaada-e-didaar rahaa haal-e-dil bazm mein us shokh se ham kah na sake lab-e-khaamosh ki surat lab-e-izhaar rahaa kuchh khabar hai tujhe o chain se sone vaale raat bhar kaun tiri yaad mein bedaar rahaa ik nazar nazaa mein dekhi thi kisi ki surat muddaton qabr mein bechain dil-e-zaar rahaa dil hamaaraa thaa hamaaraa thaa hamaaraa lekin un ke qaabu mein rahaa un kaa taraf-daar rahaa umr hans-khel ke is tarah guzaari ai 'hijr' dost kaa dost rahaa yaar kaa main yaar rahaa"
H
Hijr Nazim Ali Khan
Quote
"vo ye kahte hain zamaane ki tamannaa main huun kyaa koi aur bhi aisaa hai ki jaisaa main huun apne bimaar-e-mohabbat kaa mudaavaa na huaa aur phir is pe ye daavaa ki masihaa main huun aks se apne vo yuun kahte hain aaine mein aap achchhe hain magar aap se achchhaa main huun kahte hain vasl mein siine se lipaT kar mere sach kaho dil tumhein pyaaraa hai ki pyaaraa main huun vo sataataa hai alag charkh-e-sitam-gaar alag saikDon dushman-e-jaan hain mire tanhaa main huun bakht bargashta vo naaraaz zamaana dushman koi meraa hai na ai 'hijr' kisi kaa main huun"
H
Hijr Nazim Ali Khan

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi