SHAWORDS

talaash-e-yaar mein har moD se guzarte hue — Mittar Singh Aashna

"talaash-e-yaar mein har moD se guzarte hue mile hain log mujhe TuTte bikharte hue kabhi to aa ke mire dil ko de tasalli bhi zamaana biit gayaa intizaar karte hue havaaein bughz-o-kudurat ki chal rahi hon jahaan basaao pyaar kaa gulshan vahaan pe Darte hue ye soch kar koi ahd-o-vafaa karo mujhe se ki jaan deinge rah-e-shauq se guzarte hue taraash hone lagaa baaghbaan bahaaron se chaman ke phuul nazar aae jo bikharte hue ye maanaa kaavishein qismat sanvaar deti hain zamaana chaahiye taqdir ko sanvarte hue tumhaari bazm mein aaegaa 'aashnaa' ik din hujum-e-yaas ki chaadar ko chaak karte hue"
Urdu

تلاش یار میں ہر موڑ سے گزرتے ہوئے ملے ہیں لوگ مجھے ٹوٹتے بکھرتے ہوئے کبھی تو آ کے مرے دل کو دے تسلی بھی زمانہ بیت گیا انتظار کرتے ہوئے ہوائیں بغض و کدورت کی چل رہی ہوں جہاں بساؤ پیار کا گلشن وہاں پہ ڈرتے ہوئے یہ سوچ کر کوئی عہد و وفا کرو مجھے سے کہ جان دیں گے رہ شوق سے گزرتے ہوئے تراش ہونے لگا باغباں بہاروں سے چمن کے پھول نظر آئے جو بکھرتے ہوئے یہ مانا کاوشیں قسمت سنوار دیتی ہیں زمانہ چاہئے تقدیر کو سنورتے ہوئے تمہاری بزم میں آئے گا آشناؔ اک دن ہجوم یاس کی چادر کو چاک کرتے ہوئے

Hindi

तलाश-ए-यार में हर मोड़ से गुज़रते हुए मिले हैं लोग मुझे टूटते बिखरते हुए कभी तो आ के मिरे दिल को दे तसल्ली भी ज़माना बीत गया इंतिज़ार करते हुए हवाएँ बुग़्ज़-ओ-कुदूरत की चल रही हों जहाँ बसाओ प्यार का गुलशन वहाँ पे डरते हुए ये सोच कर कोई अहद-ओ-वफ़ा करो मुझे से कि जान देंगे रह-ए-शौक़ से गुज़रते हुए तराश होने लगा बाग़बाँ बहारों से चमन के फूल नज़र आए जो बिखरते हुए ये माना काविशें क़िस्मत सँवार देती हैं ज़माना चाहिए तक़दीर को सँवरते हुए तुम्हारी बज़्म में आएगा 'आश्ना' इक दिन हुजूम-ए-यास की चादर को चाक करते हुए

talāsh-e-yār meñ har moḌ se guzarte hue
M
Mittar Singh Aashna
Mittar Singh Aashna
poet10 quotes

More by Mittar Singh Aashna

View all →
Quote
"daastaan-e-gham sunaaun kis tarah zakhm-e-dil un ko dikhaaun kis tarah mere rone par lagi hain bandishein aankh se aansu bahaaun kis tarah vo vafaa ke naam se anjaan hai dosti us se nibhaaun kis tarah pyaar se jab uTh gayaa hai e'timaad jaan ki baazi lagaaun kis tarah kaaghazi phulon kaa guldasta liye yaar ki mahfil mein jaaun kis tarah pyaar kaa tohfa diyaa jis ne mujhe aise mohsin ko bhulaaun kis tarah 'aashnaa' thaa jo mire har raaz se aise hamdam ko bhulaaun kis tarah"
M
Mittar Singh Aashna
Quote
"siskiyaan leti rahi thi raat bhar shama ik aisi jali thi raat bhar har taraf thaa kaif-o-masti kaa samaan har taraf chhaai khushi thi raat bhar hijr mein koi sharik-e-gham na thaa sham-e-dil tanhaa jali thi raat bhar sar uThaae the andhere ke hujum raushni sahmi hui thi raat bhar dekh kar raanaaiyaan chaaron taraf aankh meri kab lagi thi raat bhar kis qadar maghmum thi bazm-e-sharaab dil ko kaisi bekali thi raat bhar 'aashnaa' chashm-e-tasavvur ke nisaar un ki hi jalvagari thi raat bhar"
M
Mittar Singh Aashna
Quote
"hosh-o-khirad ke gham se begaana ho gayaa huun main teri aarzu mein divaana ho gayaa huun ifshaa huaa hai jab se ulfat kaa raaz meraa har shakhs ki zabaan par afsaana ho gayaa huun ji bhar ke mere dil par jaur-o-sitam karo tum main lazzat-e-jafaa se an-jaanaa ho gayaa huun ye bebasi hai meri yaa be-hisi hai meri duniyaa ki har khushi se begaana ho gayaa huun raushan hai dil ki duniyaa jis ke jamaal-e-rukh se us shama-e-aarzu kaa parvaana ho gayaa huun puchho na mujh se logo rudaad-e-zindagaani gulshan thaa pyaar kaa ab viraana ho gayaa huun tum 'aashnaa' ho mujh se tum bhi to kuchh bataao har shakhs kah rahaa hai divaana ho gayaa huun"
M
Mittar Singh Aashna
Quote
"kuchh meraa bhi charchaa hai taqdir ke maaron mein TuuTaa huaa taaraa huun pur-nur sitaaron mein rangin nazaaron se vahshat hai mire dil ko main kaise chalaa jaaun gulshan ki bahaaron mein rahtaa huun main sahraa mein basti se judaa ho kar DhunDo na mujhe yaaro tum shokh nazaaron mein main kaise rahun zinda girdaab ki baanhon mein milti hai amaan kis ko tufaan ke dhaaron mein ye log luTere hain luTeinge mere dil ko milte hain kahaan mukhlis in hirs ke maaron mein kaandhon pe uThaa lenaa taabut-e-mohabbat ko mujh ko bhi sajaa denaa chaahat ke mazaaron mein main 'aashnaa' vaaqif huun haalaat-e-gulistaan se jazbaat ki garmi hai phulon mein na khaaron mein"
M
Mittar Singh Aashna

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil