SHAWORDS

tasvir-e-ru-e-yaar dikhaanaa basant kaa — Jitendra Mohan Sinha Rahbar

"tasvir-e-ru-e-yaar dikhaanaa basant kaa aTkheliyon se dil ko lubhaanaa basant kaa har samt sabza-zaar bichhaanaa basant kaa phulon mein rang-o-bu ko luTaanaa basant kaa rashk-e-jinaan chaman ko banaanaa basant kaa har har kali mein rang dikhaanaa basant kaa paighaam-e-lutf-e-khaas sunaanaa basant kaa dariyaa-e-faiz-e-aam bahaanaa basant kaa qudrat ki barkatein hain khazaana basant kaa kyaa khuub kyaa ajiib zamaana basant kaa dil ko bahut aziiz hai aanaa basant kaa 'rahbar' ki zindagi mein samaanaa basant kaa"
Urdu

تصویر روئے یار دکھانا بسنت کا اٹکھیلیوں سے دل کو لبھانا بسنت کا ہر سمت سبزہ زار بچھانا بسنت کا پھولوں میں رنگ و بو کو لٹانا بسنت کا رشک جناں چمن کو بنانا بسنت کا ہر ہر کلی میں رنگ دکھانا بسنت کا پیغام لطف خاص سنانا بسنت کا دریائے فیض عام بہانا بسنت کا قدرت کی برکتیں ہیں خزانہ بسنت کا کیا خوب کیا عجیب زمانہ بسنت کا دل کو بہت عزیز ہے آنا بسنت کا رہبرؔ کی زندگی میں سمانا بسنت کا

Hindi

तस्वीर-ए-रू-ए-यार दिखाना बसंत का अटखेलियों से दिल को लुभाना बसंत का हर सम्त सब्ज़ा-ज़ार बिछाना बसंत का फूलों में रंग-ओ-बू को लुटाना बसंत का रश्क-ए-जिनाँ चमन को बनाना बसंत का हर हर कली में रंग दिखाना बसंत का पैग़ाम-ए-लुत्फ़-ए-ख़ास सुनाना बसंत का दरिया-ए-फ़ैज़-ए-आम बहाना बसंत का क़ुदरत की बरकतें हैं ख़ज़ाना बसंत का क्या ख़ूब क्या अजीब ज़माना बसंत का दिल को बहुत अज़ीज़ है आना बसंत का 'रहबर' की ज़िंदगी में समाना बसंत का

tasvīr-e-rū-e-yār dikhānā basant kā
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
Jitendra Mohan Sinha Rahbar
poet44 quotes

More by Jitendra Mohan Sinha Rahbar

View all →
Quote
"adu-e-din-o-imaan dushman-e-amn-o-amaan nikle tire paikaan baDe jaabir baDe naa-mehrbaan nikle adaaon ne lubhaayaa di nigaah-e-naaz ne daavat magar alfaaz dil-shikani mein meri kaamraan nikle mukar lo ishq se lekin sar-e-mahshar na kahnaa kuchh vahaan par kaun jaane koi apnaa raaz-daan nikle tumhaari bazm hai rutbe mein jannat se bhi baalaa-tar yahaan piiri mein aae ham magar ho kar javaan nikle baDaa charchaa hai koh-e-tur kaa vaadi-e-aiman kaa bahut aghlab hai vo dar-parda meri daastaan nikle bayaabaan mein chaman mein dasht mein yaa koh-e-viraan mein khudaa jaane kahaan pahunche jo su-e-aashiyaan nikle hamaari maut bhi ik mauj hai dariyaa-e-hasti ki bas ik ghota lagaanaa hai yahaan Duube vahaan nikle mo'attar kar gai bu-e-vafaa maahaul-e-aalam ko mire har qatra-e-khun se hazaaron gulsitaan nikle chhupe hain saat pardon mein ye sab kahne ki baatein hain unhein meri nigaahon ne jahaan DhunDaa vahaan nikle ye vaqt-e-naz' kaisaa kaisi takmil-e-hayaat ai dil ummidein kab huiin puuri abhi armaan kahaan nikle khudaa kaa shukr be-daam-o-diram the mai-kade mein ham magar pir-e-mughaan apne puraane mehrbaan nikle haqiqat ko jo dekhaa ik nai duniyaa nazar aai sitam goyaa karam thaa dushman-e-jaan paasbaan nikle mohabbat mein luTe lekin bahut achchhe rahe 'rahbar' gumaan thaa jin pe rahzan kaa vo mir-e-kaarvaan nikle"
Jitendra Mohan Sinha RahbarJitendra Mohan Sinha Rahbar
Quote
"aaj mahfil mein nae sar se sanvar aaeinge un ko maa'lum hai kuchh ahl-e-nazar aaeinge ru-ba-ru yaar ke gar baar-e-digar jaaeinge kar ke ham ek baDaa maa'rka sar aaeinge ye to dhamki hai ki vo ghair ke ghar jaaeinge ham-nashin dekhnaa hir-phir ke idhar aaeinge sabr karne ko jo kahte hain nahin aate hain kyaa mire zakhm-e-jigar aap hi bhar aaeinge kaun ummid meri aap se puuri hogi kaun armaan mere aap se bar aaeinge laakh pardon mein rahein mujh se nihaan roz-ba-roz khvaab mein vo mujhe har shab ko nazar aaeinge dar se phir us but-e-pur-fan ke hamaare naale saaf zaahir hai ki maayus-e-asar aaeinge chashm-e-binaa se jo dekheinge miraa parda-e-dil ai masihaa kai naasur nazar aaeinge koi kah do ki bas ab aur tavaqquf na karein varna ham ji se guzarne pe utar aaeinge naa-tavaani se hamaari tujhe kyaa teraa sanbhaal ham tire saamne phir sina-sipar aaeinge aazmaaeinge gham-e-hijr kaa ik aur ‘ilaaj kar ke sahraa mein kuchh ayyaam basar aaeinge rahbari khaak rah-e-'ishq mein in se hogi dil agar hazrat-e-'rahbar' kahin dhar aaeinge"
Jitendra Mohan Sinha RahbarJitendra Mohan Sinha Rahbar
Quote
"zakhm kyaa ubhre hamaare dil mein un ke tiir ke gul khile goyaa ki khvaab-e-'ishq ki taa'bir ke paasbaan ne gham diyaa aur ham-damon ne jaan li aaj qaail ho gae ham gardish-e-taqdir ke khud likhi hai khun-e-dil se 'ishq ki har daastaan zer-e-ehsaan main nahin huun kaatib-e-taqdir ke rakh diyaa hai likhne vaale ne kaleja chiir kar hai musannif munkashif har lafz mein tahrir ke main ne jab maayus ho kar honT apne si liye phir ho kyuun mushtaaq itne tum meri taqrir ke phir vahi saudaa vahi vahshat vahi tarz-e-junun hain nishaan maujud saare 'ishq ki taasir ke justuju-e-did mein phirte hain sar-gardaa mudaam har qadam par hain muqaabil aap ki tasvir ke be-kason maa'sum ki mushkil-kushaai kijiye chhuTnaa chakkar se hai gar aasmaan-e-pir ke khidmat-e-har-mustahiq vo kaar-gar tadbir hai qufl khul jaate hain jis se bandish-e-taqdir ke dekhte hain dusron ki aankh ke til mein bhi 'aib be-khabar hain lekin apni aankh ke shahtir ke tum faraaez-mansabi anjaam do 'rahbar' faqat mat paDo jhagDe mein tum taqdir-o-tadbir ke"
Jitendra Mohan Sinha RahbarJitendra Mohan Sinha Rahbar
Quote
"haalat jo yahi ai dil-e-naashaad rahegi basti tire armaanon ki aabaad rahegi is husn-parasti kaa yahi hashr hai honaa kul umr miri ishq mein barbaad rahegi miT jaaeinge duniyaa se bhi ham diid ke guzre gar ai but-e-kaafir yahi be-daad rahegi kis ji se bhulaaungaa tujhe ai rukh-e-jaanaan taa-roz-e-abad mujh ko tiri yaad rahegi ik umr-e-asiri hi sahi jism mein ai ruuh daaim to na ye qaid ki miaad rahegi lab tak nahin aaegaa tire naam bhi meraa par dil mein lagaataar miri yaad rahegi ik dasht-e-junun se dil-e-vahshi ko nikaalaa 'rahbar' ye tiri raahbari yaad rahegi"
Jitendra Mohan Sinha RahbarJitendra Mohan Sinha Rahbar
Quote
"tujhe gar paas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin saktaa to dil bhi shaaki-e-taazir-e-khanjar ho nahin saktaa main tark-e-baada-noshi ke liye muddat se koshaan huun magar ye kaam puuraa qabl-e-mahshar ho nahin saktaa bulaa kar baat puchhein ru-ba-ru apne to ro denaa dalaael kaa asar kuchh is se behtar ho nahin saktaa shikaayat tujh se kyaa saaqi ki hai taakhir kaa aadi sitam duniyaa mein lekin is se baDh kar ho nahin saktaa sukun-o-zabt ki to ham-nashin main intihaa kar duun magar mujh ko vo yusuf ab mayassar ho nahin saktaa pilaae jaa ki main madhosh ho jaaun to tu maane ki mai-noshi mein koi mujh se baDh kar ho nahin saktaa sukhan-saazi mein laazim hai kamaal-e-ilm-o-fan honaa mahz tuk-bandiyon se koi shaaer ho nahin saktaa hunar-mandon ki har majlis se ye aavaaz aati hai ki naadaan kaa koi duniyaa mein 'rahbar' ho nahin saktaa"
Jitendra Mohan Sinha RahbarJitendra Mohan Sinha Rahbar
Quote
"ik gosha-e-dil mein jo kisi ke hain makin ham ye zoam hai goyaa ki hain vaali-e-zamin ham jaari hai dilon kaa to vahi rabt-e-nihaani har-chand kahin aur hain vo aur kahin ham kyaa hai ye makaan kyaa ye dayaar aur ye jahaan kyaa ye auj hai apnaa ki jahaan vo hain vahin ham ye moajaza-e-ishq hai ik zinda haqiqat aate hain nazar aaj jahaan bhar mein hamin ham vaan apni rasaai na sahi dar to hai us kaa hote nahin aghyaar se yuun chin-ba-jabin ham har ik mein nazar aati hain kuchh us ki adaaein ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin ham jo chaahe kahe iizaa de yaa kuchh kare tazlil dar chhoD ke us kaa nahin jaa sakte kahin ham parvaana-e-jannat hamein dilvaate hain kyuun aap kah to diyaa sau baar ki jaaeinge nahin ham nazzaara-e-aalam hai bas ik khvaab-e-pareshaan bedaar hue gar nazar aaeinge hamin ham duniyaa mein hai nairangi-e-taqdir tamaashaa the aabla-paa kal to hain ab takht-nashin ham uff ik dil-e-'rahbar' pe hasinon ki ye takraar lalchaaein hamin ham ise paa jaaein hamin ham"
Jitendra Mohan Sinha RahbarJitendra Mohan Sinha Rahbar

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi