SHAWORDS

tere vaade pe e'tibaar kiyaa — Ali Fraz Rezvi

HomeAli Fraz RezviGhazal
"tere vaade pe e'tibaar kiyaa muztarib dil ne baar baar kiyaa ham ne to is jahaan-e-faani mein ho sakaa jitnaa intizaar kiyaa us ko aana hai aaegaa lekin kab qazaa ne khayaal-e-yaar kiyaa daaman-e-ishq vaqt ne aakhir dekh to kaisaa taar taar kiyaa dil ke khas-khaane jab sulagne lage ham ne aankhon ko aabshaar kiyaa teri majburiyaan rahi hongi Thiik hai ham ne e'tibaar kiyaa jal uThaa tuur bujh gae dipak ham ne khud ko 'faraaz' daar kiyaa"
Urdu

تیرے وعدے پہ اعتبار کیا مضطرب دل نے بار بار کیا ہم نے تو اس جہان فانی میں ہو سکا جتنا انتظار کیا اس کو آنہ ہے آئے گا لیکن کب قضا نے خیال یار کیا دامن عشق وقت نے آخر دیکھ تو کیسا تار تار کیا دل کے خس خانے جب سلگنے لگے ہم نے آنکھوں کو آبشار کیا تیری مجبوریاں رہی ہوں گی ٹھیک ہے ہم نے اعتبار کیا جل اٹھا طور بجھ گئے دیپک ہم نے خود کو فرازؔ دار کیا

Hindi

तेरे वा'दे पे ए'तिबार किया मुज़्तरिब दिल ने बार बार किया हम ने तो इस जहान-ए-फ़ानी में हो सका जितना इंतिज़ार किया उस को आना है आएगा लेकिन कब क़ज़ा ने ख़याल-ए-यार किया दामन-ए-इश्क़ वक़्त ने आख़िर देख तो कैसा तार तार किया दिल के ख़स-ख़ाने जब सुलगने लगे हम ने आँखों को आबशार किया तेरी मजबूरियाँ रही होंगी ठीक है हम ने ए'तिबार किया जल उठा तूर बुझ गए दीपक हम ने ख़ुद को 'फ़राज़' दार किया

tere va.ade pe e'tibār kiyā
Ali Fraz Rezvi
Ali Fraz Rezvi
Ali Fraz Rezvi
poet5 quotes

More by Ali Fraz Rezvi

View all →
Quote
"is mein kyaa jurm kyaa khataa saahab dil to Thahraa hi bevafaa saahab phir kisi dusre kaa sajda ho phir nayaa ho koi khudaa saahab jo hamein yaad hi nahin the kabhi kyaa bhalaa un ko bhulnaa saahab vo bhi meri tarah bhulaa Daalein kyaa kahein kuchh kabhi huaa saahab dil taDaptaa nahin hai un ke liye kar chuke sab davaa duaa saahab hai ye mashhur apne baare mein vo kisi kaa na ho sakaa saahab ham pe tohmat ki kar diyaa badnaam is qadar jhuuT intihaa saahab zikr aksar kiyaa hai ishq kaa par naam kis kaa kabhi liyaa saahab"
Ali Fraz RezviAli Fraz Rezvi
Quote
"vo husn-e-be-misaal kahaan jalva-gar nahin apnaa qusur hai hamein taab-e-nazar nahin sunte hain chaand raat ko aayaa thaa baam tak phir is ke baad kyaa huaa kuchh bhi khabar nahin us ke saraapaa husn ki taarif kyaa karein sar-taa-qadam pari hai faqat us ke par nahin bikhre hue hain baal sitaaron ki chhaanv mein sajde mein gir paDeinge sitaare ye dar nahin guzri thi raat us ke qadam par paDe paDe dekhi phir us ke baad kabhi phir sahar nahin us ki 'faraaz' ek jhalak bhi kise nasib ek tum ke tum ne dekhaa use raat bhar nahin"
Ali Fraz RezviAli Fraz Rezvi
Quote
"uf adaaein dikhaa rahi hain vo muskuraa kar sataa rahi hain vo ham faqiro ki apne kuche mein ek mahfil sajaa rahi hain vo kab se nazrein bachaae baiThe hain ye khabar hai ki aa rahi hain vo hai gahan chaand ko lagaa dekhaa rukh se parda uThaa rahi hain vo saare aalam mein phaili bechaini zulf bikhraae jaa rahi hain vo zulf maathe pe badliyaan jaise abr si banti jaa rahi hain vo ham asir-e-nigaah-e-naaz hue kaahe aankhein milaa rahi hain vo tirchhi nazron se mere shaane par zakhm-e-kaari lagaa rahi hain vo meraa sabr-o-qaraar chhin liyaa kyaa sitam hai ki Dhaa rahi hain vo sar ko apne 'faraaz' kham kar dein sajda-e-rab mein jaa rahi hain vo"
Ali Fraz RezviAli Fraz Rezvi
Quote
"teri zulfon ke pech-o-kham ki qasam chain se hain tere sitam ki qasam jis ne dekhin so dil ganvaa baiThaa teri aankhein vo jaam-e-jam ki qasam ham to dekhaa kiye the hasrat se surkhi-e-lab ko chashm-e-nam ki qasam laDkhaDaanaa hai un ki fitrat mein kaun khaae tere qadam ki qasam jaane kab pi thi par nasha na gayaa mere saaqi tere karam ki qasam but gae but-kada hai viraana dil hai baaqi abhi haram ki qasam ho mubaarak tumhein ye bazm-e-turaab ham bhi khush hain jahaan-e-gham ki qasam"
Ali Fraz RezviAli Fraz Rezvi

More on Dil

View all →
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi