SHAWORDS

teri duniyaa mein chaar din huun main — Sabir Aafaque

HomeSabir AafaqueGhazal
"teri duniyaa mein chaar din huun main is liye bhi to mutmain huun main iktifaa karnaa hogaa thoDe par ek mazdur kaa tiffin huun main shaayad ik rishta paas laae hamein vaise to duur kaa cousin huun main ik taraf hijr ik taraf hai vasl jaise do kaaghazon mein pin huun main main nahin par miraa khayaal to hai tu mujhe apne saath gin huun main ham qayaamat mein saath honge magar kyaa qayaamat hai tere bin huun main"
Urdu

تیری دنیا میں چار دن ہوں میں اس لیے بھی تو مطمئن ہوں میں اکتفا کرنا ہوگا تھوڑے پر ایک مزدور کا ٹفن ہوں میں شاید اک رشتہ پاس لائے ہمیں ویسے تو دور کا کزن ہوں میں اک طرف ہجر اک طرف ہے وصل جیسے دو کاغذوں میں پن ہوں میں میں نہیں پر مرا خیال تو ہے تو مجھے اپنے ساتھ گن ہوں میں ہم قیامت میں ساتھ ہوں گے مگر کیا قیامت ہے تیرے بن ہوں میں

Hindi

तेरी दुनिया में चार दिन हूँ मैं इस लिए भी तो मुतमइन हूँ मैं इक्तिफ़ा करना होगा थोड़े पर एक मज़दूर का टिफ़िन हूँ मैं शायद इक रिश्ता पास लाए हमें वैसे तो दूर का कज़िन हूँ मैं इक तरफ़ हिज्र इक तरफ़ है वस्ल जैसे दो काग़ज़ों में पिन हूँ मैं मैं नहीं पर मिरा ख़याल तो है तू मुझे अपने साथ गिन हूँ मैं हम क़यामत में साथ होंगे मगर क्या क़यामत है तेरे बिन हूँ मैं

terī duniyā meñ chaar din huuñ maiñ
Sabir Aafaque
Sabir Aafaque
Sabir Aafaque
poet16 quotes

More by Sabir Aafaque

View all →
Quote
"phal hai gar tu to main patthar huun tiri qismat hai main agar teraa muqaddar huun tiri qismat hai kuchh ghalat likh bhi liyaa hai to miTaa le us ko main tire haath mein duster huun tiri qismat hai jaan ko jaan ghanimat to ibaadat kar le jaan huun jism ke andar huun tiri qismat hai barf raaton mein ThiThurne se to achchhaa ye hai oDh le mujh ko main chaadar huun tiri qismat hai tu hai pyaasaa to koi fikr na kar yaar mire shukr kar main bhi samundar huun tiri qismat hai mujh se ho kar to nikal aa zaraa duniyaa to dekh chaar divaari mein main dar huun tiri qismat hai puchh us shakhs se main jis ko nahin mil paayaa main tujhe jitnaa mayassar huun tiri qismat hai"
Sabir AafaqueSabir Aafaque
Quote
"manzil pahunch gayaa huun main rasta kiye baghair rusvaa kiyaa hai us ko tamaashaa kiye baghair uupar se apni pyaas bujhaataa rahaa huun main paani piyaa gilaas ko jhuTaa kiye baghair aataa hai is adaa pe mujhe pyaar vo miri har baat maan letaa hai ghussa kiye baghair vo aisi raushni hai ki jab bhi mujhe mile khulti nahin hai mujh pe andheraa kiye baghair ik shaah baaj detaa hai duuje ko vaise hi vo meri dastaras mein hai qabza kiye baghair us chor par nazar main rakhun bhi to kis liye jo haath aa gayaa mire pichhaa kiye baghair ab dil ki raushni hi karegi karishma kuchh khud ko ujaalaa karnaa hai shoala kiye baghair"
Sabir AafaqueSabir Aafaque
Quote
"sabaq kitaab kaa pakkaa nahin kiyaa main ne abhi samajhnaa hai jivan kaa falsafa main ne bujhaai pyaas nahin bas nahaa liyaa main ne liyaa hai kaam samundar se dusraa main ne bhalaa vo aankhon se gham kaa pataa lagaaegaa kyaa pahan liyaa hai ye chashma jo dhuup kaa main ne huaa hai ghair qabile ki ik hasin se ishq abhi to karnaa hai mushkil kaa saamnaa main ne kisi mazaar pe minnat se us ko paayaa hai ki ek dhaage se khinchaa hai daaera main ne misaalein dete the ustaad main samajhtaa na thaa phir us ke kahne se samjhaa thaa zaaviya main ne nishast hai nahin kah kar kai basein chhoDin tujhe bachaane mein kitnon ko kho diyaa main ne"
Sabir AafaqueSabir Aafaque

More on Hijr

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"kis ajab saaat-e-naayaab mein aayaa huaa huun tujh se milne main tire khvaab mein aayaa huaa huun phir vahi main huun, vahi hijr kaa dariyaa-e-amiq koi dam aks-e-sar-e-aab mein aayaa huaa huun kaise aaine ke maanind chamaktaa huaa main ishq ke shahr-e-abad-taab mein aayaa huaa huun meri har taan hai az-roz-e-azal taa-ba-abad ek sur ke liye mizraab mein aayaa huaa huun koi parchhaain kabhi jism se karti hai kalaam? be-sabab saaya-e-mahtaab mein aayaa huaa huun har guzarte hue lamhe mein Tapaktaa huaa mein dard huun, vaqt ke aasaab mein aayaa huaa huun kaisi gahraai se niklaa huun adam ki 'irfaan' kaise paayaab se taalaab mein aayaa huaa huun"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"rakht-e-safar kaa main ne iraada nahin kiyaa raushan charaagh-e-manzil-e-jaada nahin kiyaa tujh se bichhaD ke aur miraa dil udaas ho milne kaa is liye abhi vaada nahin kiyaa shiddat se thaa malaal shab-e-hijr kaa magar shaane pe tere sar ko nihaada nahin kiyaa dil mutmain hai baais-e-tajdid-e-dosti us ko khafaa bhi had se ziyaada nahin kiyaa sab kuchh ataa huaa tiri rahmat se is liye dast-e-talab ko aur kushaada nahin kiyaa shaayad ki meri ruuh ko baalidgi mile khud ko rahin-e-saaghar-o-baada nahin kiyaa shaayad miri jabin ko mile izn-e-bandagi dil ke varq ko is liye saada nahin kiyaa mujh ko na tamkanat kaa ho ehsaas-e-be-ziyaan qaamat ko apne aur sitaara nahin kiyaa apni talaash mein huun 'sabaa' is liye abhi su-e-haram safar kaa iraada nahin kiyaa"
Naeem SabaNaeem Saba
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kyuun vasl mein bhi aankh milaai nahin jaati vo farq dilon kaa vo judaai nahin jaati kyaa dhuum bhi naalon se machaai nahin jaati soti hui taqdir jagaai nahin jaati kuchh shikva na karte na bigaDtaa vo shab-e-vasl ab ham se koi baat banaai nahin jaati dekho to zaraa khaak mein ham milte hain kyunkar ye nichi nigah ab bhi uThaai nahin jaati kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge maangaa karo tum maut abhi aai nahin jaati vo ham se mukaddar hain to ham un se mukaddar kah dete hain saaf apni safaai nahin jaati ham sulh bhi kar lein to chali jaati hai un mein baaham dil o dilbar ki laDaai nahin jaati khud dil mein chale aaoge jab qasd karoge ye raah bataane se bataai nahin jaati chhupti hai 'jalaal' aankhon mein kab hasrat-e-didaar sau parde agar hon to chhupaai nahin jaati"
Jalal LakhnaviJalal Lakhnavi