SHAWORDS

teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahaT — Naheed Virk

HomeNaheed VirkGhazal
"teri raah mein rakh kar apni shaam ki aahaT dam-ba-khud si baiThi hai mere baam ki aahaT haath ki lakiron se kis tarah nikaalun main teri yaad ke mausam, tere naam ki aahaT jab ye dil rifaaqat ki kachchi niind se jaagaa har taraf sunaai di ikhtitaam ki aahaT raat ke utarte hi dil ki suuni galiyon mein jaag uThti hai phir se tere naam ki aahaT baiTh jaati hai aa kar dar pe kyuun mire, 'naahid' tere saath ki khushbu, tere gaam ki aahaT"
Urdu

تیری راہ میں رکھ کر اپنی شام کی آہٹ دم بخود سی بیٹھی ہے میرے بام کی آہٹ ہاتھ کی لکیروں سے کس طرح نکالوں میں تیری یاد کے موسم، تیرے نام کی آہٹ جب یہ دل رفاقت کی کچی نیند سے جاگا ہر طرف سنائی دی اختتام کی آہٹ رات کے اترتے ہی دل کی سونی گلیوں میں جاگ اٹھتی ہے پھر سے تیرے نام کی آہٹ بیٹھ جاتی ہے آ کر در پہ کیوں مرے، ناہیدؔ تیرے ساتھ کی خوشبو، تیرے گام کی آہٹ

Hindi

तेरी राह में रख कर अपनी शाम की आहट दम-ब-ख़ुद सी बैठी है मेरे बाम की आहट हाथ की लकीरों से किस तरह निकालूँ मैं तेरी याद के मौसम, तेरे नाम की आहट जब ये दिल रिफ़ाक़त की कच्ची नींद से जागा हर तरफ़ सुनाई दी इख़्तिताम की आहट रात के उतरते ही दिल की सूनी गलियों में जाग उठती है फिर से तेरे नाम की आहट बैठ जाती है आ कर दर पे क्यूँ मिरे, 'नाहीद' तेरे साथ की ख़ुश्बू, तेरे गाम की आहट

terī raah meñ rakh kar apnī shaam kī aahaT
Naheed Virk
Naheed Virk
Naheed Virk
poet40 quotes

More by Naheed Virk

View all →
Quote
"abhi se taaq-e-talab par na tu sajaa mujh ko abhi to karnaa hai is dil se mashvara mujh ko abhi shabih mukammal nahin hui teri abhi to bharnaa hai ik rang-e-maavaraa mujh ko koi na koi to surat nikal hi aaegi zaraa bataao to darpesh marhala mujh ko ye baat baat pe takraar-o-bahs kyaa karnaa ki jitnaa hai tumhein aur haarnaa mujh ko main us ki zaat mein shaamil thii, us ko mil jaati duaa-e-khair samajh kar vo maangtaa mujh ko main jis mein dekh ke khud ko sanvaar luun 'naahid' abhi milaa hi kahaan hai vo aainaa mujh ko"
Naheed VirkNaheed Virk
Quote
"aks bhi arsa-e-hairaan mein rakkhaa huaa hai kaun ye aaina-ru dhyaan mein rakkhaa huaa hai shaam ki shaam se sargoshi suni thi ik baar bas tabhi se tujhe imkaan mein rakkhaa huaa hai haan tire zikr pe ik, kaaT si uThti hai abhi haan abhi dil tire bohraan mein rakkhaa huaa hai ek hi aag mein jalnaa to zaruri bhi nahin haan magar chehra vahi dhyaan mein rakkhaa huaa hai raabte us se sabhi toD ke yaad aayaa hai aakhiri vaada to saamaan mein rakkhaa huaa hai raas aataa hi nahin koi taalluq 'naahid' dil-e-khush-fahm magar maan mein rakkhaa huaa hai"
Naheed VirkNaheed Virk
Quote
"zabt honTon pe aa gayaa to phir teraa sab hausla gayaa to phir saal-haa-saal kaa akelaa-pan tujh ko andar se khaa gayaa to phir meri tanhaai kaa ye sannaaTaa har taraf gunjtaa gayaa to phir vo jo taabir ban ke aayaa hai khvaab saare jalaa gayaa to phir har taraf ye safed sunaa-pan manzaron ko jalaa gayaa to phir jhiil aankhein saraahne vaalaa in ko dariyaa banaa gayaa to phir apne sab lafz de diye us ko ab vahi boltaa gayaa to phir is ke lahje kaa rang agar 'naahid' tere lahje pe chhaa gayaa to phir"
Naheed VirkNaheed Virk
Quote
"ye jo subh ke biich divaar-e-shab si uThi lagti hai hai aks-e-tahayyur ki ye daastaan aur suni lagti hai jo main khvaahishon mein ghiri chup bhari saaatein takti huun mujhe un ke andar talak tiri khvaahish gaDi lagti hai tiraa vird karti hui aasmaan se utarti hui koi nuur jaisi du'aa chaar-su gunjti lagti hai mire aaine mein jo tasvir teri ubhar aai hai ye jhuTlaane se faaeda? mujh ko ye raushni lagti hai faqat mere chehre pe hi rang khil ke nahin utre hain shafaq shaam ki meri aankhon se bhi jhaankti lagti hai"
Naheed VirkNaheed Virk

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer