"naddi ye jaise mauj mein dariyaa se jaa mile tum se kahin milun main agar raasta mile milti hai ek saans ki mohlat kabhi kabhi shaayad ye raat bhi tiri subhon se jaa mile jo bhi milaa vo apni anaa kaa asiir thaa insaan ko DhunDne mein gai to khudaa mile is ahd-e-intishaar mein kyaa ittifaaq hai dard-o-alam ye ranj-o-malaal ek jaa mile dil mein zaraa khulus na mehr-o-vafaa kaa rang rasman bahut 'aziz bahut aqrabaa mile meri shikast mein mire kuchh mehrbaan bhi the meri safein jo chhoD ke dushman se jaa mile us samt se bhi guzre nai rut kaa kaarvaan ghaaron ke baasiyon ko bhi taaza havaa mile 'jaanaan' ye zindagi ke 'ajab saanehaat hain kuchh log apne-aap se aksar khafaa mile"
tez havaa aur shab-bhar baarish — Janan Malik
"tez havaa aur shab-bhar baarish andar chup aur baahar baarish aise pahle kab barsi thiin aankhein aur baraabar baarish sahraa to pyaase kaa pyaasaa aur bhare dariyaa par baarish us sur-taal kaa aur mazaa thaa kachche ghar ki chhat par baarish jhuum rahe hain bhiig rahe hain peD parinde manzar baarish main ne baadal ko bheji thi ik kaaghaz par likh kar baarish mere ashkon se likkhe ko vo paDhtaa hai aksar baarish kaun ye dekhe dida-e-pur-nam ik baarish ke andar baarish yaad bahut aate hain 'jaanaan' haath mein haath aur sar par baarish"
تیز ہوا اور شب بھر بارش اندر چپ اور باہر بارش ایسے پہلے کب برسی تھیں آنکھیں اور برابر بارش صحرا تو پیاسے کا پیاسا اور بھرے دریا پر بارش اس سر تال کا اور مزا تھا کچے گھر کی چھت پر بارش جھوم رہے ہیں بھیگ رہے ہیں پیڑ پرندے منظر بارش میں نے بادل کو بھیجی تھی اک کاغذ پر لکھ کر بارش میرے اشکوں سے لکھے کو وہ پڑھتا ہے اکثر بارش کون یہ دیکھے دیدۂ پر نم اک بارش کے اندر بارش یاد بہت آتے ہیں جاناںؔ ہاتھ میں ہاتھ اور سر پر بارش
तेज़ हवा और शब-भर बारिश अंदर चुप और बाहर बारिश ऐसे पहले कब बरसी थीं आँखें और बराबर बारिश सहरा तो प्यासे का प्यासा और भरे दरिया पर बारिश उस सुर-ताल का और मज़ा था कच्चे घर की छत पर बारिश झूम रहे हैं भीग रहे हैं पेड़ परिंदे मंज़र बारिश मैं ने बादल को भेजी थी इक काग़ज़ पर लिख कर बारिश मेरे अश्कों से लिक्खे को वो पढ़ता है अक्सर बारिश कौन ये देखे दीदा-ए-पुर-नम इक बारिश के अंदर बारिश याद बहुत आते हैं 'जानाँ' हाथ में हाथ और सर पर बारिश

More by Janan Malik
View all →"aankh Tikti na thi chehre pe hasin aisaa thaa dil ki duniyaa mein koi jalva-nashin aisaa thaa dastaras mein thi magar paa na sakaa vo mujh ko dil mein ik umr se vo shakhs makin aisaa thaa ahd-o-paimaan se mukarne kaa saliqa thaa use detaa rahtaa thaa dalilein vo zahin aisaa thaa ab to banjar huaa viraan huaa barbaad huaa khitta-e-dil kabhi shaadaab-zamin aisaa thaa mujh ko jaagir samajhtaa thaa vo apni jaanaan main usi ki huun use mujh pe yaqin aisaa thaa"
"dekhiye kitne sukhan-fahm sukhan-var aae main ne ik phuul uThaayaa kai patthar aae kar chuke tark-e-ta'alluq to use sochnaa kyaa dil se niklaa hai to vo yaad bhi kyuun kar aae phir vahi raat ho baadal hon havaa chalti ho phir vahi chaand darakhton se nikal kar aae raah hamvaar muqaddar mein nahin thi shaayad paanv niklaa thaa abhi ghar se ki patthar aae ek do gaam-e-masaafat thi tiri galiyon ki saari duniyaa ki thakan laad ke ham ghar aae jang jaari hai abhi jaagte rahiye shab-bhar jaane kas oT se chhup kar koi lashkar aae kyaa koi gham ke ganvaane kaa hunar haath aayaa muskuraate hue jo ranj ke khugar aae dekh kar jis ki jhalak jaan mein jaan aati thi ab sar-e-raah use dekh ke chakkar aae is baras phuul ziyaada na sahi shaakhon par baarishein kam thiin magar rang baraabar aae ab to is niind mein chalte hue uktaa gae ham ab to behtar hai kisi moD pe Thokar aae ek do pal to faraamosh bhi kar dein us ko haan agar shakhs koi yaad baraabar aae gham-gusaaron mein mire chaaragaron mein aksar mere dushman bhi kai bhes badal kar aae log kis khvaab se rote hue uTThe 'jaanaan' jaane kis qarya-e-maatam se ye baahar aae"
"kaanTon jaisi taabirein thi phulon jaise khvaab ham ne chhoTi umron mein bhi kyaa kyaa dekhe khvaab mujh ko is malbus mein dekh ke khush the saare log aur kisi ne ye nahin puchhaa laDki tere khvaab ek jagah par sone vaale bhi kab yakjaa the apni apni nindein thiin aur apne apne khvaab main huun ab is basti ki taabiron par maamur log sunaane aa jaate hain ulTe-sidhe khvaab ek sukut thaa taariki thi vaqt ki Thahri saans miTTi ne baarish dekhi thi peD ne dekhe khvaab"
"miraa bannaa-sanvarnaa apni jaa hai tiraa dukh to vagarna apni jaa hai bahut bardaasht hai divaar-o-dar ki kahaan us ghar mein varna apni jaa hai main misl-e-sang-e-kohsaar-e-garaan huun mire andar kaa jharnaa apni jaa hai bajaa hai chaadar-e-shab ki damak bhi sitaaron kaa bikharnaa apni jaa hai ye dariyaa apni rau mein bah rahaa hai kisi kaa jinaa-marnaa apni jaa hai guzargaah-e-zamaana bhi hai lekin tiraa dil se guzarnaa apni jaa hai hasin vaade kiye the us ne 'jaanaan' unhein iifaa na karnaa apni jaa hai"
"kabhi to sochnaa tum un udaas aankhon kaa ye ratjagon mein ghiri mahv-e-yaas aankhon kaa main ghar gai thi kahin vahshaton ke jangal mein thaa ik hujum mire aas paas aankhon kaa barahnagi tire andar kahin panapti hai libaas DhunD koi be-libaas aankhon kaa tumhaare hijr kaa mausam hi raas aayaa mujhe yahi thaa ek tabiat-shanaas aankhon kaa usi ki nazr sabhi ratjage sabhi nindein aur us ki aankhon ke naam iqtibaas aankhon kaa paDi rahe tiri tasvir saamne yunhi ye zar khilaa rahe aankhon ke paas aankhon kaa khayaal thaa ki vo abr is taraf se guzregaa so ye bhi 'jaanaan' thaa vahm-o-qayaas aankhon kaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"