SHAWORDS

thi jo duniyaa-e-rang-o-bu tujh se — Nazish Ansari

HomeNazish AnsariGhazal
"thi jo duniyaa-e-rang-o-bu tujh se ab lage hai lahu-lahu tujh se tu ki uTh kar kabhi kaa jaa bhi chukaa main ki huun mahv-e-guftugu tujh se mere harf-o-navaa mein tu zinda sikhaa izhaar-e-aarzu tujh se ab ufuq tak nazar nahin jaati dil ko thi teri justuju tujh se ai mire mujh se ruThne vaale ab na bolungaa be-vuzu tujh se"
Urdu

تھی جو دنیائے رنگ و بو تجھ سے اب لگے ہے لہو لہو تجھ سے تو کہ اٹھ کر کبھی کا جا بھی چکا میں کہ ہوں محو گفتگو تجھ سے میرے حرف و نوا میں تو زندہ سیکھا اظہار آرزو تجھ سے اب افق تک نظر نہیں جاتی دل کو تھی تیری جستجو تجھ سے اے مرے مجھ سے روٹھنے والے اب نہ بولوں گا بے وضو تجھ سے

Hindi

थी जो दुनिया-ए-रंग-ओ-बू तुझ से अब लगे है लहू-लहू तुझ से तू कि उठ कर कभी का जा भी चुका मैं कि हूँ महव-ए-गुफ़्तुगू तुझ से मेरे हर्फ़-ओ-नवा में तू ज़िंदा सीखा इज़हार-ए-आरज़ू तुझ से अब उफ़ुक़ तक नज़र नहीं जाती दिल को थी तेरी जुस्तुजू तुझ से ऐ मिरे मुझ से रूठने वाले अब न बोलूँगा बे-वुज़ू तुझ से

thī jo duniyā-e-rang-o-bū tujh se
N
Nazish Ansari
Nazish Ansari
poet7 quotes

More by Nazish Ansari

View all →
Quote
"jo raat bhar tire khvaabon mein ghumtaa hogaa vo main nahin miri surat kaa dusraa hogaa haqiqaton kaa mujhe tajraba nahin main chalaa koi saraab miri raah dekhtaa hogaa hamaari qabr kaa koi nishaan nahin phir bhi hamaari qabr par ik shakhs ro rahaa hogaa junun bane to sharaara vafaa bane to gulaab vo dil ke baare mein itnaa to jaantaa hogaa tumhaare haath tumhin ko halaak kar deinge hamaare baa'd tumhaaraa bhi faisla hogaa har ek lamha hai masruf phir bhi be-maqsad hamaare ahd kaa anjaam jaane kyaa hogaa"
N
Nazish Ansari
Quote
"kyon le aae sar-e-baazaar suno ai logo main na fankaar na shahkaar suno ai logo TuTte harfon kaa nauha huun labon par chun lo ik sadaa kaa huun talabgaar suno ai logo har ta'aaruf pe nahin jhukti nigaah-e-taslim aankh hoti hai samajhdaar suno ai logo ik siyah-bakht chamak kar jahaan bujh jaaegaa koi ho jaaegaa bedaar suno ai logo main ki khush huun mujhe duuri kaa na ehsaas dilaao kyon uThaate ho ye divaar suno ai logo sukhe zakhmon ke chaTakne ki sadaa bhi anmol dil se baDh kar nahin fankaar suno a logo"
N
Nazish Ansari

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud