"maut se yaari na thi hasti se be-zaari na thi us safar par chal diye ham jis ki tayyaari na thi ham usi ki khaak se uTThe hain kundan ban ke aaj dosto jis shahr mein rasm-e-vafaadaari na thi ham ne khun-e-aarzu de kar munaqqash kar diyaa varna divaar-e-talab par aisi gul-kaari na thi mar gae sar phoD ke divaar-e-zindaan se asiir zindagi kunj-e-qafas mein maut se pyaari na thi ab shikast-e-aarzu hai baais-e-taskin-e-dil is se pahle to kabhi ye kaifiyat taari na thi jal rahaa hai har nafas ab apne gham ki aanch se saans lene mein kabhi 'mohsin' ye dushvaari na thi"
thirakti lau ki bas ik aakhiri duaa suntaa — Mohsin Ehsan
"thirakti lau ki bas ik aakhiri duaa suntaa phir us ke baad na kuchh mauja-e-havaa suntaa mujhe bhi lagti kuchh aasaan manzil-e-dushvaar jo dusron ki sadaa-e-naqush-e-paa suntaa kuchh is qadar bhi zamaane mein qaht-e-harf na thaa vo aashnaa thaa to aavaaz-e-aashnaa suntaa ba-juz zakhira-e-auhaam paas kuchh bhi nahin ye baat kaash vo girvida-e-anaa suntaa use pukaar chukaa zindagi mein haar chukaa miraa khudaa thaa to phir meri iltijaa suntaa ham ek umr se 'mohsin' khumaar-e-khvaab mein hain hamaari baat zamaane mein koi kyaa suntaa"
تھرکتی لو کی بس اک آخری دعا سنتا پھر اس کے بعد نہ کچھ موجۂ ہوا سنتا مجھے بھی لگتی کچھ آسان منزل دشوار جو دوسروں کی صدائے نقوش پا سنتا کچھ اس قدر بھی زمانے میں قحط حرف نہ تھا وہ آشنا تھا تو آواز آشنا سنتا بجز ذخیرۂ اوہام پاس کچھ بھی نہیں یہ بات کاش وہ گرویدۂ انا سنتا اسے پکار چکا زندگی میں ہار چکا مرا خدا تھا تو پھر میری التجا سنتا ہم ایک عمر سے محسنؔ خمار خواب میں ہیں ہماری بات زمانے میں کوئی کیا سنتا
थिरकती लौ की बस इक आख़िरी दुआ सुनता फिर उस के बा'द न कुछ मौजा-ए-हवा सुनता मुझे भी लगती कुछ आसान मंज़िल-ए-दुश्वार जो दूसरों की सदा-ए-नक़ूश-ए-पा सुनता कुछ इस क़दर भी ज़माने में क़हत-ए-हर्फ़ न था वो आश्ना था तो आवाज़-ए-आशना सुनता ब-जुज़ ज़ख़ीरा-ए-औहाम पास कुछ भी नहीं ये बात काश वो गिर्वीदा-ए-अना सुनता उसे पुकार चुका ज़िंदगी में हार चुका मिरा ख़ुदा था तो फिर मेरी इल्तिजा सुनता हम एक उम्र से 'मोहसिन' ख़ुमार-ए-ख़्वाब में हैं हमारी बात ज़माने में कोई क्या सुनता

More by Mohsin Ehsan
View all →"tamaashaa is baras aisaa huaa hai samundar suukh kar sahraa huaa hai hamein bhejaa to hai duniyaa mein lekin hamaare saath kuchh dhokaa huaa hai mujhe lagtaa hai jaadugar ne mujh ko kisi zanjir se baandhaa huaa hai jahaan par shaadyaane baj rahe hain miraa lashkar vahin paspaa huaa hai jo mere aur us ke darmiyaan thi usi divaar par jhagDaa huaa hai asiraan-e-qafas ye puchhte hain muqimaan-e-chaman ko kyaa huaa hai kai din se bas ik harf-e-mohabbat sar-e-nok-e-zabaan aTkaa huaa hai guzargaahon mein sannaaTaa hai 'mohsin' ghubaar-e-ham-rahaan baiThaa huaa hai"
"durusht kyuun thaa vo itnaa kalaam se pahle ki meraa naam na thaa us ke naam se pahle vo sab charaagh ki thi jin mein raushni ki ramaq bujhaa diye gae basti mein shaam se pahle vo mehrbaan bhi hue dushmani pe aamaada ham aashnaa bhi na the jin ke naam se pahle khud-e'timaad kabhi the par ab ye aalam hai hazaar vasvase dil mein hain kaam se pahle hamaare dars-e-mohabbat kaa puchhte kyaa ho kitaabi chehra paDhaa hai kalaam se pahle subuk-ravaan-e-rah-e-gham ne zindagi 'mohsin' musaafiraana guzaari qayaam se pahle"
"bahte hue lamhon ki kahaani hi badal de dariyaa to badaltaa nahin paani hi badal de yaa ghar ko mire daulat-e-aaraam-o-sukun bakhsh yaa aarzu-e-naql-makaani hi badal de kyaa us se karein zahmat-e-takraar ki jo shakhs alfaaz ke mahfum-o-maaani hi badal de tarmim-o-tanvvo hai kahaani mein zaruri raajaa to badaltaa nahin raani hi badal de us ghar ki taraf us ki nishaani pe chale ho 'mohsin' vo agar ghar ki nishaani hi badal de"
"libaas tan pe salaamat hain haath khaali hain ham ek mulk-e-khudaa-daad ke savaali hain na ham mein aql-o-faraasat na hikmat-o-tadbir magar hai zoam ki jamiyyat-e-misaali hain munaafiqat ne lahu tan mein itnaa garmaayaa ki guftugu mein riyaa-kaariyaan sajaa li hain khud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab rivaayatein hi gulistaan ki phunk Daali hain hamaare dil hain ab aamaaj-gaah-e-hirs-o-havas ki ham ne sinon mein taarikiyaan ugaa li hain nashemanon ko ujaaDaa kuchh is tarah jaise ki faakhtaaein darakhton se uDne vaali hain kisi gharib apaahij faqir ki 'mohsin' kisi amiir ne baisaakhiyaan churaa li hain"
"saae ki ummid thi taarikiyaan phailaa gayaa jo shajar phuTaa zamin se biij hi ko khaa gayaa kyaa gila tujh se ki gulshan kaa muqaddar hai yahi abr ghir kar jab bhi aayaa aag hi barsaa gayaa ab kinaaron se na maange qatre qatre kaa hisaab kyuun samundar ki taraf bahtaa huaa dariyaa gayaa meri sairaabi bhi meri tishnagi se kam na thi main misaal-e-abr aayaa surat-e-sahraa gayaa husn ke hamraah chaltaa thaa julusi-e-tishnagaan ishq tanhaa dahr mein aayaa thaa aur tanhaa gayaa 'mohsin'-ehsaan kisi baadal kaa TukDaa hai ki jo ek lamhe ke liye aayaa ghiraa barsaa gayaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"