SHAWORDS

durusht kyuun thaa vo itnaa kalaam se pahle — Mohsin Ehsan

HomeMohsin EhsanGhazal
"durusht kyuun thaa vo itnaa kalaam se pahle ki meraa naam na thaa us ke naam se pahle vo sab charaagh ki thi jin mein raushni ki ramaq bujhaa diye gae basti mein shaam se pahle vo mehrbaan bhi hue dushmani pe aamaada ham aashnaa bhi na the jin ke naam se pahle khud-e'timaad kabhi the par ab ye aalam hai hazaar vasvase dil mein hain kaam se pahle hamaare dars-e-mohabbat kaa puchhte kyaa ho kitaabi chehra paDhaa hai kalaam se pahle subuk-ravaan-e-rah-e-gham ne zindagi 'mohsin' musaafiraana guzaari qayaam se pahle"
Urdu

درشت کیوں تھا وہ اتنا کلام سے پہلے کہ میرا نام نہ تھا اس کے نام سے پہلے وہ سب چراغ کہ تھی جن میں روشنی کی رمق بجھا دیئے گئے بستی میں شام سے پہلے وہ مہرباں بھی ہوئے دشمنی پہ آمادہ ہم آشنا بھی نہ تھے جن کے نام سے پہلے خود اعتماد کبھی تھے پر اب یہ عالم ہے ہزار وسوسے دل میں ہیں کام سے پہلے ہمارے درس محبت کا پوچھتے کیا ہو کتابی چہرہ پڑھا ہے کلام سے پہلے سبک روان رہ غم نے زندگی محسنؔ مسافرانہ گزاری قیام سے پہلے

Hindi

दुरुश्त क्यूँ था वो इतना कलाम से पहले कि मेरा नाम न था उस के नाम से पहले वो सब चराग़ कि थी जिन में रौशनी की रमक़ बुझा दिए गए बस्ती में शाम से पहले वो मेहरबाँ भी हुए दुश्मनी पे आमादा हम आश्ना भी न थे जिन के नाम से पहले ख़ुद-ए'तिमाद कभी थे पर अब ये आलम है हज़ार वसवसे दिल में हैं काम से पहले हमारे दर्स-ए-मोहब्बत का पूछते क्या हो किताबी चेहरा पढ़ा है कलाम से पहले सुबुक-रवान-ए-रह-ए-ग़म ने ज़िंदगी 'मोहसिन' मुसाफ़िराना गुज़ारी क़याम से पहले

durusht kyuuñ thā vo itnā kalām se pahle
Mohsin Ehsan
Mohsin Ehsan
Mohsin Ehsan
poet58 quotes

More by Mohsin Ehsan

View all →
Quote
"maut se yaari na thi hasti se be-zaari na thi us safar par chal diye ham jis ki tayyaari na thi ham usi ki khaak se uTThe hain kundan ban ke aaj dosto jis shahr mein rasm-e-vafaadaari na thi ham ne khun-e-aarzu de kar munaqqash kar diyaa varna divaar-e-talab par aisi gul-kaari na thi mar gae sar phoD ke divaar-e-zindaan se asiir zindagi kunj-e-qafas mein maut se pyaari na thi ab shikast-e-aarzu hai baais-e-taskin-e-dil is se pahle to kabhi ye kaifiyat taari na thi jal rahaa hai har nafas ab apne gham ki aanch se saans lene mein kabhi 'mohsin' ye dushvaari na thi"
Mohsin EhsanMohsin Ehsan
Quote
"tamaashaa is baras aisaa huaa hai samundar suukh kar sahraa huaa hai hamein bhejaa to hai duniyaa mein lekin hamaare saath kuchh dhokaa huaa hai mujhe lagtaa hai jaadugar ne mujh ko kisi zanjir se baandhaa huaa hai jahaan par shaadyaane baj rahe hain miraa lashkar vahin paspaa huaa hai jo mere aur us ke darmiyaan thi usi divaar par jhagDaa huaa hai asiraan-e-qafas ye puchhte hain muqimaan-e-chaman ko kyaa huaa hai kai din se bas ik harf-e-mohabbat sar-e-nok-e-zabaan aTkaa huaa hai guzargaahon mein sannaaTaa hai 'mohsin' ghubaar-e-ham-rahaan baiThaa huaa hai"
Mohsin EhsanMohsin Ehsan
Quote
"thirakti lau ki bas ik aakhiri duaa suntaa phir us ke baad na kuchh mauja-e-havaa suntaa mujhe bhi lagti kuchh aasaan manzil-e-dushvaar jo dusron ki sadaa-e-naqush-e-paa suntaa kuchh is qadar bhi zamaane mein qaht-e-harf na thaa vo aashnaa thaa to aavaaz-e-aashnaa suntaa ba-juz zakhira-e-auhaam paas kuchh bhi nahin ye baat kaash vo girvida-e-anaa suntaa use pukaar chukaa zindagi mein haar chukaa miraa khudaa thaa to phir meri iltijaa suntaa ham ek umr se 'mohsin' khumaar-e-khvaab mein hain hamaari baat zamaane mein koi kyaa suntaa"
Mohsin EhsanMohsin Ehsan
Quote
"libaas tan pe salaamat hain haath khaali hain ham ek mulk-e-khudaa-daad ke savaali hain na ham mein aql-o-faraasat na hikmat-o-tadbir magar hai zoam ki jamiyyat-e-misaali hain munaafiqat ne lahu tan mein itnaa garmaayaa ki guftugu mein riyaa-kaariyaan sajaa li hain khud apne aap se kad is qadar hamein hai ki ab rivaayatein hi gulistaan ki phunk Daali hain hamaare dil hain ab aamaaj-gaah-e-hirs-o-havas ki ham ne sinon mein taarikiyaan ugaa li hain nashemanon ko ujaaDaa kuchh is tarah jaise ki faakhtaaein darakhton se uDne vaali hain kisi gharib apaahij faqir ki 'mohsin' kisi amiir ne baisaakhiyaan churaa li hain"
Mohsin EhsanMohsin Ehsan
Quote
"saae ki ummid thi taarikiyaan phailaa gayaa jo shajar phuTaa zamin se biij hi ko khaa gayaa kyaa gila tujh se ki gulshan kaa muqaddar hai yahi abr ghir kar jab bhi aayaa aag hi barsaa gayaa ab kinaaron se na maange qatre qatre kaa hisaab kyuun samundar ki taraf bahtaa huaa dariyaa gayaa meri sairaabi bhi meri tishnagi se kam na thi main misaal-e-abr aayaa surat-e-sahraa gayaa husn ke hamraah chaltaa thaa julusi-e-tishnagaan ishq tanhaa dahr mein aayaa thaa aur tanhaa gayaa 'mohsin'-ehsaan kisi baadal kaa TukDaa hai ki jo ek lamhe ke liye aayaa ghiraa barsaa gayaa"
Mohsin EhsanMohsin Ehsan

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi