"main ne saanson se guftugu ki hai saath chalne ki aarzu ki hai gum-shuda vaqt ke musaafir ko phir se paane ki justuju ki hai zang-khurda hayaat kaa kyaa zikr baat lamhon ki aabru ki hai khud mein khud ko talaash karne ki main ne koshish chahaar-su ki hai"
tiraa khayaal mujhe is tarah pukaartaa hai — Jagdish Prakash
"tiraa khayaal mujhe is tarah pukaartaa hai ki mandiron mein koi aarti utaartaa hai hilorein leti hai kuchh is tarah tiri yaadein nadi mein jaise koi kashtiyaan utaartaa hai khamoshiyon ke bichhaune pe shab ke pichhle pahar tiraa khayaal nai aarzu ubhaartaa hai tiri vafaaon ke mausam badalte rahte hain miri vafaa kaa chaman bas tujhe nihaartaa hai kuchh aahaTein si kahin ho rahi hain dil ke qarib koi to hai jo miri bazm-e-jaan sanvaartaa hai mujhe to apne aqidon ki pukhtagi hai aziiz nahin ye khauf koi sar miraa utaartaa hai"
ترا خیال مجھے اس طرح پکارتا ہے کہ مندروں میں کوئی آرتی اتارتا ہے ہلوریں لیتی ہے کچھ اس طرح تری یادیں ندی میں جیسے کوئی کشتیاں اتارتا ہے خموشیوں کے بچھونے پہ شب کے پچھلے پہر ترا خیال نئی آرزو ابھارتا ہے تری وفاؤں کے موسم بدلتے رہتے ہیں مری وفا کا چمن بس تجھے نہارتا ہے کچھ آہٹیں سی کہیں ہو رہی ہیں دل کے قریب کوئی تو ہے جو مری بزم جاں سنوارتا ہے مجھے تو اپنے عقیدوں کی پختگی ہے عزیز نہیں یہ خوف کوئی سر مرا اتارتا ہے
तिरा ख़याल मुझे इस तरह पुकारता है कि मंदिरों में कोई आरती उतारता है हिलोरें लेती है कुछ इस तरह तिरी यादें नदी में जैसे कोई कश्तियाँ उतारता है ख़मोशियों के बिछौने पे शब के पिछले पहर तिरा ख़याल नई आरज़ू उभारता है तिरी वफ़ाओं के मौसम बदलते रहते हैं मिरी वफ़ा का चमन बस तुझे निहारता है कुछ आहटें सी कहीं हो रही हैं दिल के क़रीब कोई तो है जो मिरी बज़्म-ए-जाँ सँवारता है मुझे तो अपने अक़ीदों की पुख़्तगी है अज़ीज़ नहीं ये ख़ौफ़ कोई सर मिरा उतारता है

More by Jagdish Prakash
View all →"raah ko aazmaa ke dekho to ik qadam phir baDhaa ke dekho to ek nannhi si aarzu ke liye khvaab mein ghar banaa ke dekho to ishq ik moajiza saa hotaa hai tum kabhi dil lagaa ke dekho to in savaalon se kuchh nahin hogaa tum mujhe aazmaa ke dekho to"
"jo bhi honaa thaa vo huaa achchhaa tu hai achchhaa tiraa khudaa achchhaa main saraabon mein kho gayaa thaa kahin na safar thaa na faasla achchhaa shahr teraa tujhe mubaarak ho mujh ko jangal kaa raasta achchhaa kyaa maze ki kitaab hai ye dil jis ne bhi paDh liyaa lagaa achchhaa na sahi vasl zikr-e-vasl to thaa koi lamha to mil gayaa achchhaa facebōk par kisi kaa mil jaanaa ban gayaa ek silsila achchhaa is se yuun duur mat raho 'jagdish' kuchh na kahne se to gila achchhaa"
"miri zindagi hai saraab si kabhi maujzan kabhi tishna-dam kabhi intizaar ki dhuup si kabhi qurbaton kaa koi bharam tiri chaahaton kaa ye silsila kisi dhuup chhaanv ke khel saa kabhi puus maagh ki dhuup saa kabhi naghma-khvaan kabhi chashm-e-nam mujhe chhu ke vaqt guzar gayaa zaraa ruk ke umr nikal gai jo rahaa to paas yahi rahaa kabhi apnaa dukh kabhi sab kaa gham kabhi raaston ke ghubaar mein kabhi manzilon ke khumaar mein kabhi justuju-e-bahaar mein rahe haadson se bandhe qadam tiraa naam sun ke chali pavan tiraa zikr sun ke khilaa chaman ki miri savaaneh-e-zist par tiraa naam likh ke rukaa qalam ye zaraa zaraa si shikaayatein kahin ban na jaaein hikaayatein yahi puchhte ki huaa hai kyaa kabhi ham se tum kabhi tum se ham kabhi qurbaton kaa sukun milaa kabhi furqaton kaa junun milaa kabhi kho gae sabhi raaste kabhi manzilon se mile qadam"
"baat ki baat rahe baat kaa mafhum rahe aur takhayyul miraa taaza rahe maasum rahe har nai soch ko mazmun banaa lungaa magar meraa kirdaar miri zaat se mausum rahe meri pahchaan ke sab log judaa hote gae jo bache meri tarah bebas-o-mazlum rahe aaj tak bante rahe hain jo hamaare zaamin un se ham haath milaane se bhi mahrum rahe ab to bas khud hi sunaa karte hain apni aavaaz aap ke qadmon ki aahaT se bhi mahrum rahe"
"shaahraahein nahin Dagar to hai manzilein naa sahi safar to hai duur sahraa mein ek chhoTaa saa be-samar hi sahi shajar to hai mukhtasar go hai daastaan miri us ke anjaam mein asar to hai zulmat-e-shab giraan hai ye maanaa raat ke baad phir sahar to hai hain dariche udaas dar viraan kuchh nahin phir bhi apnaa ghar to hai mere alfaaz mein kashish na sahi meri aavaaz mein asar to hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"