SHAWORDS

tujhe paane ki khvaahish phir jagi hai — Gaurav Trivedi

HomeGaurav TrivediGhazal
"tujhe paane ki khvaahish phir jagi hai magar afsos ye to khud-kushi hai mujhe aavaaz de main ji uThungaa tiri aavaaz udaasi toDti hai tiri tasvir ko dekhun to mujh ko abhi tak pyaar se hi dekhti hai agar tu khush nahin hai to chali jaa mujhe to khair bas apni paDi hai miraa kyaa hai miraa afsos bhi kyaa tire aage to puuri zindagi hai"
Urdu

تجھے پانے کی خواہش پھر جگی ہے مگر افسوس یہ تو خودکشی ہے مجھے آواز دے میں جی اٹھوں گا تری آواز اداسی توڑتی ہے تری تصویر کو دیکھوں تو مجھ کو ابھی تک پیار سے ہی دیکھتی ہے اگر تو خوش نہیں ہے تو چلی جا مجھے تو خیر بس اپنی پڑی ہے مرا کیا ہے مرا افسوس بھی کیا ترے آگے تو پوری زندگی ہے

Hindi

तुझे पाने की ख़्वाहिश फिर जगी है मगर अफ़सोस ये तो ख़ुद-कुशी है मुझे आवाज़ दे मैं जी उठूँगा तिरी आवाज़ उदासी तोड़ती है तिरी तस्वीर को देखूँ तो मुझ को अभी तक प्यार से ही देखती है अगर तू ख़ुश नहीं है तो चली जा मुझे तो ख़ैर बस अपनी पड़ी है मिरा क्या है मिरा अफ़सोस भी क्या तिरे आगे तो पूरी ज़िंदगी है

tujhe paane kī ḳhvāhish phir jagī hai
Gaurav Trivedi
Gaurav Trivedi
Gaurav Trivedi
poet16 quotes

More by Gaurav Trivedi

View all →
Quote
"toD di saare jahaan se dosti achchhaa kiyaa aur khud se bhi koi khvaahish na ki achchhaa kiyaa ik qasam jo rok sakti thi hamaari rukhsati khair tum ne vo qasam ham ko na di achchhaa kiyaa lauTtaa to dekhtaa kuchh aur pairon ke nishaan par na lauTaa main kabhi us ki gali achchhaa kiyaa logon kaa bartaav to thaa hi bahut bekaar par khud se main ne kaun saa khud bhi kabhi achchhaa kiyaa ab to jhuTe munh bhi tum kahte nahin ho pyaar hai tum ne aakhir chhoD hi di dil-lagi achchhaa kiyaa"
Gaurav TrivediGaurav Trivedi
Quote
"aur phir ham ne bhi apne dil kaa saudaa kar liyaa baa'd tere ham ne apnaa dil khilaunaa kar liyaa uf ye tere haath piile uf sinduri maang ye ik zaraa naaraazgi mein tu ne ye kyaa kar liyaa thaa nahin suraj magar itnaa andheraa bhi na thaa ham ne khud batti bujhaai khud andheraa kar liyaa koi chaara hi nahin thaa paas mere is liye teri jaisi ‘aadatein kiin khud ko tujh saa kar liyaa ab kahaan mujh saa milegaa tum ko duniyaa mein koi mujh se dhokaa kar ke tum ne khud se dhokaa kar liyaa"
Gaurav TrivediGaurav Trivedi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi