"ye tanhaai tum tak hai laai mujhe nahin chaahiye ab rihaai mujhe mire hisse mein rah gai dil-lagi mohabbat na jab raas aai mujhe nahin paas mere koi Digriyaan jachi hi nahin ye paDhaai mujhe nahin chaahiye mujh ko aisi nazar na de jis se tu hi dikhaai mujhe jo kahnaa thaa kah Daalaa chup ne tiri nahin de koi ab safaai mujhe"
tumhein bas ye bataanaa chaahte hain — Ankur Giri
"tumhein bas ye bataanaa chaahte hain tumhein apnaa banaanaa chaahte hain vo ham se aae hain milne dubaara jinhein ham chhoD jaanaa chaahte hain vahi ik shakhs hai duniyaa mein bas ab jise apnaa banaanaa chaahte hain hamein jaise sataataa thaa kabhi vo use ab ham sataanaa chaahte hain ujaalaa hi ujaalaa har taraf ho ik aisaa ghar banaanaa chaahte hain sameTo aa ke tum ik roz ham ko ham itnaa TuuT jaanaa chaahte hain vo jis mein yaad teri rah na paae ik aisaa dil banaanaa chaahte hain use ham haarne vaale hain shaayad jise ham jiit jaanaa chaahte hain sitaare toD laae hain falak se tiraa kamraa sajaanaa chaahte hain na koi dekh paae gham hamaare ham itnaa muskuraanaa chaahte hain"
تمہیں بس یہ بتانا چاہتے ہیں تمہیں اپنا بنانا چاہتے ہیں وہ ہم سے آئے ہیں ملنے دوبارہ جنہیں ہم چھوڑ جانا چاہتے ہیں وہی اک شخص ہے دنیا میں بس اب جسے اپنا بنانا چاہتے ہیں ہمیں جیسے ستاتا تھا کبھی وہ اسے اب ہم ستانا چاہتے ہیں اجالا ہی اجالا ہر طرف ہو اک ایسا گھر بنانا چاہتے ہیں سمیٹو آ کے تم اک روز ہم کو ہم اتنا ٹوٹ جانا چاہتے ہیں وہ جس میں یاد تیری رہ نہ پائے اک ایسا دل بنانا چاہتے ہیں اسے ہم ہارنے والے ہیں شاید جسے ہم جیت جانا چاہتے ہیں ستارے توڑ لائے ہیں فلک سے ترا کمرا سجانا چاہتے ہیں نہ کوئی دیکھ پائے غم ہمارے ہم اتنا مسکرانا چاہتے ہیں
तुम्हें बस ये बताना चाहते हैं तुम्हें अपना बनाना चाहते हैं वो हम से आए हैं मिलने दुबारा जिन्हें हम छोड़ जाना चाहते हैं वही इक शख़्स है दुनिया में बस अब जिसे अपना बनाना चाहते हैं हमें जैसे सताता था कभी वो उसे अब हम सताना चाहते हैं उजाला ही उजाला हर तरफ़ हो इक ऐसा घर बनाना चाहते हैं समेटो आ के तुम इक रोज़ हम को हम इतना टूट जाना चाहते हैं वो जिस में याद तेरी रह न पाए इक ऐसा दिल बनाना चाहते हैं उसे हम हारने वाले हैं शायद जिसे हम जीत जाना चाहते हैं सितारे तोड़ लाए हैं फ़लक से तिरा कमरा सजाना चाहते हैं न कोई देख पाए ग़म हमारे हम इतना मुस्कुराना चाहते हैं

More by Ankur Giri
View all →"vo apni palkon ko jhapke yuun hi bas shaam ho jaae ham us ko dekhte jaaein ye apnaa kaam ho jaae hamein tum kam samajh aae tumhein ham kam samajh aae chalo ik kaam karte hain ki ik ik jaam ho jaae ghaDi bhar dekh le ham ko jo do pal baat kar le bas baDaa bechain hai ye dil ise aaraam ho jaae bhari mahfil mein rusvaa vo mujhe har baar kartaa hai kisi ke vaaste kitnaa koi badnaam ho jaae main chal kar thak gayaa huun bas ki ab aisaa ho jaae kuchh Thahar jaae ye rasta aur safar ki shaam ho jaae sunaa hai dekh le vo gar to pakkaa jaan jaani hai ab us ke sar pe apne qatl kaa ilzaam ho jaae vahi saudaa kare dil kaa vahi phir toD de us ko yahi khvaahish hai bas apni yahi anjaam ho jaae"
"is se behtar to kuchh is duniyaa mein dekhaa hi nahin tere chehre saa yahaan koi bhi chehra hi nahin main ne aavaazein use di thiin na jaane kitni meri khaatir vo magar raah mein Thahraa hi nahin ham ne chhaani hai bahut khaak jahaan-bhar ki magar ham ko tum jaisaa yahaan koi bhi miltaa hi nahin ham ne chaahaa to yahi thaa ki vo mil jaae hamein is hatheli mein magar yaar vo rekhaa hi nahin ham ne dekhe hain nadi jhiil samundar kitne teri aankhon saa magar kuchh bhi to gahraa hi nahin"
"jo aankhon mein tumhaare khvaab the lauTaa rahaa huun main rihaa ho kar tumhaare 'ishq se ab jaa rahaa huun main mujhe ummid thi ik roz haan tum lauT aaoge vahi ummid in aankhon mein ab dafnaa rahaa huun main mujhe lauTaani hai teri har ik paai mire ai dost isi khaatir tire ehsaan sab ginvaa rahaa huun main tumhaare saath rah kar siikh li hai bevafaai bhi tumhaare jaisaa hi ab yaar bantaa jaa rahaa huun main tumhaare hijr mein kyaa kyaa nahin karnaa paDaa mujh ko ki aansu pi rahaa huun aur gham ko khaa rahaa huun main mujhe andar se jaane kitnaa tum ne toD Daalaa hai tumhein yuun saunp kar khud ko bahut pachhtaa rahaa huun main kabhi main baanTtaa phirtaa thaa sab mein raushni apni par ab be-nur kitnaa yaar hotaa jaa rahaa huun main"
"na sochaa thaa tiraa gham yuun hamein majbur kar degaa ye apne aap se ik roz ham ko duur kar degaa mohabbat mein zaruri hai sanam ko chaahnaa lekin tumhaaraa chaahnaa itnaa use maghrur kar degaa tumhein khone kaa dukh hai jo musalsal gaa rahe hain ham sanam tum dekhnaa ye gham hamein mashhur kar degaa nahin ham chaahte lenaa ghalat ab faisla koi magar ye hijr teraa jaan-e-jaan majbur kar degaa udaasi raahatein to deti hai kuchh der ko lekin ye vo marham hai jo is zakhm ko naasur kar degaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"