SHAWORDS

tu samajhtaa hai gar fuzul mujhe — Nadeem Gullani

HomeNadeem GullaniGhazal
"tu samajhtaa hai gar fuzul mujhe kar ke himmat zaraa saa bhuul mujhe ek shaffaaf aaina thaa main raaste ne kiyaa hai dhuul mujhe chor raste ke saahib-e-divaan ankhDiyaan khol kar qubul mujhe main zamaane pe teraa qarzaa huun kab karegaa bhalaa vasul mujhe"
Urdu

تو سمجھتا ہے گر فضول مجھے کر کے ہمت ذرا سا بھول مجھے ایک شفاف آئینہ تھا میں راستے نے کیا ہے دھول مجھے چور رستے کے صاحب دیواں انکھڑیاں کھول کر قبول مجھے میں زمانے پہ تیرا قرضہ ہوں کب کرے گا بھلا وصول مجھے

Hindi

तू समझता है गर फ़ुज़ूल मुझे कर के हिम्मत ज़रा सा भूल मुझे एक शफ़्फ़ाफ़ आईना था मैं रास्ते ने किया है धूल मुझे चोर रस्ते के साहिब-ए-दीवाँ अँखड़ियाँ खोल कर क़ुबूल मुझे मैं ज़माने पे तेरा क़र्ज़ा हूँ कब करेगा भला वसूल मुझे

tū samajhtā hai gar fuzūl mujhe
Nadeem Gullani
Nadeem Gullani
Nadeem Gullani
poet15 quotes

More by Nadeem Gullani

View all →
Quote
"tiri qurbatein hain sakun jaan-e-jaanaan vagarna mohabbat junun jaan-e-jaanaan jo sochun main haalaat apne vatan ke ragon mein se ristaa hai khuun jaan-e-jaanaan abhi tak ghaneri si chaadar mein huun main kisi zulf kaa hai fusun jaan-e-jaanaan fasaane mohabbat ke zinda raheinge main likkhun na chaahe likhun jaan-e-jaanaan tumhaari mohabbat kaa ab bhi qasam se mire chaar su hai fusun jaan-e-jaanaan kharidaar tu ho to khvaahish hai meri ki yusuf ke tarah bikun jaan-e-jaanaan zamaana to kahtaa hai kahtaa rahegaa ye yuun hai ye yuun hai ye yuun jaan-e-jaanaan"
Nadeem GullaniNadeem Gullani
Quote
"tumhein hamaari mohabbaton ke hasin jazbe bulaa rahe hain jo ham ne likkhe the tum pe hamdam vo saare naghme bulaa rahe hain jo haq gharibon kaa khaa rahe ho to yaad rakhnaa ai hukmraano kahin pe tum ko bhi zulmaton ke sulagte raqbe bulaa rahe hain hamaare lahje ki larzishon se samajh sako to samajh bhi jaao tumhaare gham se lage jo dil pe vo saare tamghe bulaa rahe hain 'nadim' daanishvaron ki mahfil kabhi na kuchh bhi 'ataa karegi chalo ki ''jaani-pura'' jahaan pe vo yaar kamle bulaa rahe hain"
Nadeem GullaniNadeem Gullani
Quote
"apni uljhan ko baDhaane ki zarurat kyaa hai chhoDnaa hai to bahaane ki zarurat kyaa hai lag chuki aag to laazim hai dhuaan uTThegaa dard ko dil mein chhupaane ki zarurat kyaa hai umr bhar rahnaa hai taabir se gar duur tumhein phir mire khvaab mein aane ki zarurat kyaa hai ajnabi rang chhalaktaa ho agar aankhon se un se phir haath milaane ki zarurat kyaa hai aaj baiThe hain tire paas kai dost nae ab tujhe dost puraane ki zarurat kyaa hai saath rahte ho magar saath nahin rahte ho aise rishte ko nibhaane ki zarurat kyaa hai"
Nadeem GullaniNadeem Gullani
Quote
"tumhaari mahfil se jaa rahaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa ai mere yaaro lo main chalaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa mohabbaton kaa main raasta huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa jo tum na dekho main dekhtaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa rah-e-vafaa mein fanaa huaa par kisi ke aage jhukaa nahin jo vafaaon kaa main vo qaafila huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa mujhe yaqin hai ye mere hote zamaana saaraa tyaag deinge main apne yaaron kaa hausla huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa na manzilon ki khabar hai mujh ko na raaston kaa pataa hai phir bhi main apne ghar se to chal paDaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa main thak ke saae mein jab huun baiThaa to saare saae lage hain chalne main bad-nasibi ki intihaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa mujhe khudaa ne basaaraton ki hadon se zyaada basaartein diin main band aankhon se dekhtaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa ghamon mein mere khushi chhupi hai khushi mein meri chhupe hue gham ajab laDaai main laD rahaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa mohabbaton ke saraab jhele rafaaqaton ke azaab jhele kisi ki yaadon mein ro rahaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa nahin hai jis kaa hal ab to koi 'nadim' bas ik sivaa tumhaare main ek aisaa hi masala huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa 'nadim' chaahat ye kam na hogi khudaa karegaa ki phir mileinge ye jaate jaate main kah rahaa huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa"
Nadeem GullaniNadeem Gullani

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb