Quote
"ik qatre ko dariyaa samjhaa main bhi kaisaa paagal huun har sapne ko sachchaa samjhaa main bhi kaisaa paagal huun beach dilon ke vo duuri thi tai karnaa aasaan na thaa aankhon ko ik rasta samjhaa main bhi kaisaa paagal huun baDaa kiyaa thaa paal-pos kar phir bhi ik din bichhaD gae khvaabon ko ik bachcha samjhaa main bhi kaisaa paagal huun kaanTe si khud meri shohrat har-pal dil mein chubhti hai fan ko khel-tamaashaa samjhaa main bhi kaisaa paagal huun tan par to ujle kapDe the lekin man ke kaale the un logon ko achchhaa samjhaa main bhi kaisaa paagal huun"
