Quote
"muddatein ho gaiin jise khoe dil use baar-baar kyon roe khuun hi to hai aarzuon kaa koi daaman ko apne kyon dhoe fasl kaa intizaar karnaa hai ham ne kheton mein qahqahe boe jis ko jaanaa thaa vo ravaana huaa rone-dhone se kuchh nahin hoe niind bachpan mein jaise aati thi phir kabhi is tarah nahin soe dil ko patthar banaa liyaa lekin ek din be-sabab bahut roe"
I
Irfan Jafari