Quote
"daraaz hai shab-e-gham soz-o-saaz saath rahe musaafiro mai-e-minaa-gudaaz saath rahe qadam qadam pe andheron kaa saamnaa hai yahaan safar kaThin hai dam-e-shoala-saaz saath rahe ye koh kyaa hai ye dasht-e-alam-fazaa kyaa hai jo ik tiri nigah-e-dil-navaaz saath rahe koi rahe na rahe ek aah ik aansu ba-sad khulus ba-sad imtiyaaz saath rahe ye mai-kada hai nahin sair-e-dair sair-e-haram nazar-afif dil-e-paak-baaz saath rahe"
